Page 1 of 1

muHabbat ko tuu ne yeh kyaa kar diyaa

Posted: Sun May 22, 2011 7:48 pm
by ismail ajaz
ek taazah kalaam aiHbaab kee nazr ba'Ad az aadaab o tasleemat ke,bilaa hichkichaahaT ke agar kisee bhee qism kaa tarddud ho tow aap mujh se is taiHreer par baat kar sakte haiN

arz e Khidmat hai


muHabbat ko tuu ne yeh kyaa kar diyaa
keh maHboob ko hee Khudaa kar diyaa

fehem o Zakaa se woh maiHroom hai
keh jis ne Khirad ko Khataa kar diyaa

SaHeeH kee nafee aur Ghalat kaa Cabaat
Khudaa kee qasam yeh buraa kar diyaa

namood o numaa'ish ke har kaam ne
jazaa ko badal kar sazaa kar diyaa

gawaah ho ga'ey tere munkir nakeer
likhaa teraa , jo kuchh adaa kar diyaa

yaqeeN aa'ey gaa jab yeh nikle gaa damm
keh apne liye tuu ne kyaa kar diyaa

naheeN haiN bajuz iske jin o bashar
Ebaadat kareN ! faiSlah kar diyaa

jahanum Thikaanah hai uskaa suno !
keh jis ne sunaa , naa sunaa kar diyaa

nutfe se tujh ko nawaazaa "Khayaal"
diyaa waqt naZr e qaZaa kar diyaa


Ismail Ajaz Khayaal

Re: muHabbat ko tuu ne yeh kyaa kar diyaa

Posted: Thu May 26, 2011 6:48 pm
by sbashwar
Mohtaram Ismail Ajaz Khayal Saheb
Asslam Alaikom

Masha-allah, eman afroz ghazalhai.
Allah aapki saee ko qubool farmaye, aur hum sabko naik taufeeq de, ameen.

Aaj kal sehat sahi nahin chalne ke sabab online par tawajeh kam ho gayi hai. dua mein yaad rakhiyega.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: muHabbat ko tuu ne yeh kyaa kar diyaa

Posted: Mon May 30, 2011 3:45 am
by ismail ajaz
sbashwar wrote:Mohtaram Ismail Ajaz Khayal Saheb
Asslam Alaikom

Masha-allah, eman afroz ghazalhai.
Allah aapki saee ko qubool farmaye, aur hum sabko naik taufeeq de, ameen.

Aaj kal sehat sahi nahin chalne ke sabab online par tawajeh kam ho gayi hai. dua mein yaad rakhiyega.

Mukhlis
Salem Bashwar

janaab moHtaram Salem Bashwar SaaHeb

humaaree duAa hai keh Allah rabbul izzat aap ko SeHat e kaamilah Aajilah ataa farmaa'ey ,apnaa bohot Khayaal rakhiye ,apnee duAa'oN meN yaad rakhiye
wassalaam