Page 1 of 1

aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa

Posted: Sun May 22, 2011 7:58 pm
by ismail ajaz
ek kalaam aiHbaab kee Khidmat meN baad az aadaab o tasleemat ke

arz kiyaa hai


aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa
kufr kiyaa jis ne bhee woh maGhZoob gayaa

nafs aur shayetaaN se hokar maGhloob gayaa
raGhbat e dunyaa jo lekar mansoob gayaa

pohNch gayaa woh apnee manzil par aaKhir
jo bhee ban kar Allah kaa maHboob gayaa

jaate huwe jo rab ko raaZee kar le gaa
baNdah mo'min dunyaa se woh Khoob gayaa

likkhaa jo bhee qismat meN thaa kaatib ne
mujh ko har dam har pal hee marGhoob gayaa

Sabr o shukr kaa daaman jis ne nah chhoRaa
"Khayaal" falaaH kaa paikar woh maNdoob gayaa

Ismail Ajaz Khayaal

Re: aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa

Posted: Mon May 23, 2011 6:50 pm
by Tanwir Phool
Bahut paakeeza kalaam hai
JAZAAK ALLAH
Du'aaoN maiN yaad rakhi'ey

Re: aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa

Posted: Tue May 24, 2011 11:37 am
by munir-armaan-nasimi
Jaatey huye jo RAB ko Raazi kar lega
Bandah Maumin Duniya se woh Khoob Gaya

Waah bhai Waah... kya Khoob Ghazal hai aur Kya hi nek "Khayaal" hai.

Armaan

Re: aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa

Posted: Sat May 28, 2011 3:55 pm
by sbashwar
:mashallah:

Re: aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa

Posted: Mon May 30, 2011 3:47 am
by ismail ajaz
Tanwir Phool wrote:Bahut paakeeza kalaam hai
JAZAAK ALLAH
Du'aaoN maiN yaad rakhi'ey

janaab moHtaram Tanwir Phool SaaHeb

salaam aap kee Khidmat meN ,aap kaa beHad shukriyah ,apnee dAa'oN meN yaad rakhiye

mamnoon

Re: aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa

Posted: Mon May 30, 2011 3:49 am
by ismail ajaz
munir-armaan-nasimi wrote:Jaatey huye jo RAB ko Raazi kar lega
Bandah Maumin Duniya se woh Khoob Gaya

Waah bhai Waah... kya Khoob Ghazal hai aur Kya hi nek "Khayaal" hai.

Armaan
janaab moHtaram munir-armaan-nasimi SaaHeb

dil kee gaihraa'iyoN se maiN aap kaa sipaasguzaar hooN ,meraa salaam qubool farmaa'iye

mamnoon

Re: aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa

Posted: Mon May 30, 2011 3:50 am
by ismail ajaz
sbashwar wrote::mashallah:

janaab moHtaram sbashwar SaaHEb

salaam aur shukriyah aap kee Khidmat meN pesh hai ,qubool farmaa'iye

mamnoon