Page 1 of 1

Khud shaah se paihle shaah ke wafaadaar aaga'ey

Posted: Thu Jun 09, 2011 9:17 am
by ismail ajaz
Yaaraan e bazm urdubandhan se juRe bandhan kee Khaatir ek kalaam jo aap kee wus'At e qalbee o gaihree nazar kaa mutlaashee hai
baad az Aadaab ke arz e Khidmat hai



Khud shaah se paihle shaah ke wafaadaar aaga'ey
ghar baar chhoR , bar sar e paikaar aaga'ey

izzat anaa kaa aaj aisaa ma'Arkah huwaa
dastaar nah paaposh ! bas sarkaar aaga'ey

aagey kaa kuchh patah hai naa peechhe kee kuchh Khabar
Adoo kee jaNg jeente GhamKhwaar aaga'ey

aaNkhoN meN barq bhar ke mire paas mere lowg
phir aashiyaaN jalaane ko tayaar aaga'ey

bulbul tow qayed kar nah sake tum magar Sayyaad
daam e Khayaal meN Zad e kirdaar aaga'ey

abb aa'inah dikhaane kee karte haiN baat woh
haathoN meN jin ke taiGh aur talwaar aaga'ey

aap se hargiz naheeN shiwah , gilah humeN
yuN darmiyaan aap kyuN bekaar aaga'ey

yeh jaNg hai nifaaq aur kufr o shirk se
laRne ke liye mujh se mire yaar aaga'ey

kuchh tow "khayaal" keejiye kuchh saath deejiye
suKhanwaree ke aap Alamdaar aaga'ey

Ismail Ajaz Khayaal

Re: Khud shaah se paihle shaah ke wafaadaar aaga'ey

Posted: Fri Jun 17, 2011 1:40 pm
by Nayeem Khan
Bohat achchi ghazal hai. daad hazir hai.

Re: Khud shaah se paihle shaah ke wafaadaar aaga'ey

Posted: Sun Sep 18, 2011 3:51 am
by ismail ajaz
"Nayeem Khan"
Bohat achchi ghazal hai. daad hazir hai.
janaab moHtaram Nayeem Khan SaaHeb
ummeed hai aap baKhair o Aafiyat hoN ge eemaan o Amaal kee Hifaazat o maiHnat meN koshaaN hoN ge,aap kee Khidmat meN Haazir hone meN bohot taaKheer ho ga'ee ,mu'Aaf farmaa'iye gaa
daad aur HauSlah afazaa'ee ke liye mamnoon hooN
apne duAa'oN meN yaad rakhiye
wassalaam