Page 1 of 43

Shair ka jawab shair main dejeye

Posted: Wed Mar 30, 2005 8:53 am
by Aanchal
assalamalikum
ham apni is Anjuman main aik or thread ka izafa kartay hain :grin: is main aap ko ashar hi likhnay hain or aglay member ko us shair kay jawab main koi shair likhna hoo ga theek hai ?
yeh koi naya sisila nahi hai sab ko ata hoo ga kay kaisay kheelna hai yeh :grin:
aisay threads say humaye kafi kuch seekhnay ko milta hai :-)


to chlian janab sab say pehlaye main shuru karti houn



Aap aye bazm main itna to Meer nay deekha
pher is kay bas charaghoun main roushni na rahi

Posted: Thu Mar 31, 2005 12:15 pm
by Ibn-e-siddique
assalam-o-alaikum

bahot acha silsila hai, bas she'r likhte vaqt is baat ka khayaal rakha jaaye ke javaaban jo she'r likha jaa rahaa hai, us ka koi na koi rabt pichle she'r se hona chaahiye :)

lijiye aap ke javaab meiN she'r Haazir hai :

maiN chalaa hooN tiree bazm se is tarHa
zakhm khaate hue, gham uThaate hue

Posted: Thu Mar 31, 2005 1:46 pm
by Aanchal
Yeh akhri khat , akhri tasweer bhi lay ja
main bhoolnay waloun ki nishani nahi reakhta



yehi jawab hoo sakta hai is ka lolz

Ham bhoolne waalaoN

Posted: Thu Mar 31, 2005 5:06 pm
by Abdullah Nazir



Ham bhoolne waalaoN ko bhulaadete heiN lekin

dete heiN jo toHfah, kabhii waapus nahiN lete.



Nazir.


Posted: Fri Apr 01, 2005 12:09 pm
by Ibn-e-siddique
bhoole haiN kis taraH se unheN muddatoN meiN ham
qistoN meiN khudkushi ka mazaa ham se poochiye

javab

Posted: Sat Apr 02, 2005 2:18 pm
by Abdullah Nazir



Kisko hei khauf-e-kharzaar-e-alam

jab miraa ghamguzaar baaqii hei.




Nazir.


Posted: Sun Apr 03, 2005 4:29 am
by Hashmat Usmani
Khabar-e-taHaiyur-e-'ishq sun, na junuuN rahaa, na parii rahii
na to tuu rahaa, na to maiN rahaa, jo rahii so b_Khabarii rahii

javaab

Posted: Tue Apr 05, 2005 1:42 am
by Abdullah Nazir



saaqi kii ek nigaah ne, mastiy-e-umr bakhsh dii

jaane kidhar ko rind ne, baadah o jaam rakh diyaa.



Nazir.


Posted: Thu Apr 07, 2005 3:02 am
by Hashmat Usmani
Ghair leN maHfil meN bose jaam ke
ham raheN yuuN tashna_lab paiGhaam ke

Javaab

Posted: Thu Apr 07, 2005 5:41 pm
by Abdullah Nazir



"binaay-e-kaAbah paRti hei jahaaN ham khisht-e-khum rakhdeN

jahaaN saaghar paTak deN chashma-e-zam-zam ubaltaa hei."




Nazir.


Posted: Fri Apr 08, 2005 1:15 am
by Hashmat Usmani
zindagii sirf moHabbat nahiiN, kuchh aur bhii hai!
zulf-o-ruKh_saar ki jannat nahiiN, kuchh aur bhii hai!
bhookh aur pyaas ki maari huyii is dunyaa meN
'ishq hii ek Haqeeqat nahiiN, kuchh aur bhii hai!

Posted: Sat Apr 09, 2005 3:00 am
by Hashmat Usmani
moHabbat kii tabii'at meN 'ajab takraar kii Khuu hai
k yeh iqraar ke lafzoN ko sunaane se nahiiN thaktii
bichhaRne kii ghaRii ho, yaa koii milne kii saa'at ho
ise bas ek hii dhun hai
kaho mujh se moHabbat hai!
kaho mujh se moHabbat hai!

javaab

Posted: Sat Apr 09, 2005 3:12 am
by Abdullah Nazir



"MuHabbat ko muHabbat kii nishaani kaun kehtaa hei

tiri kaafir javaani ko javaani kaun kehtaa hei".



Nazir


Posted: Sat Apr 09, 2005 3:24 am
by Hashmat Usmani
aisaa nahiiN k un se moHabbat nahiiN rahii
jazbaat meN vo pahlii sii shiddat nahiiN rahii

Posted: Mon Apr 11, 2005 3:14 am
by Hashmat Usmani
ruuH be_chain hai, ik dil kii aziiyat kia hai
dil hii sho'la hai to ye soz-e-moHabbat kia hai
vo mujhe bhuul gaii, iskii shikaayat kia hai
ranj to ye hai k ro-ro ke bhulaayaa hogaa