ek nazm: maayoosee!مایوسی: ایک نظم
Posted: Wed Aug 17, 2011 5:12 am
yaaraan-e-bazm: aadaab!
ek naz^m kayee saal qabl kahee thee. aaj naz^ar aa gayee. sochaa keh pesh kar dooN. so HaaZir hai. shukriyah
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=======================================================
Maayoosee
Dar rahaa hooN keh mulaaqaat nah ho jaaYe kaheeN!
aaNkhoN aaNkhoN meN koyee baat nah ho jaaYe kaheeN!
nauHah-KhwaaN shorish-e-jaZbaat nah ho jaaYe kaheeN!
munkashif Khud peh miree Zaat nah ho jaaYe kaheeN!
aur bayaaN Soorat-e-Haalaat nah ho jaaYe kaheeN!
wo tiree neem-nigaahee, wo tab-o-taab-e-jamaal
tere abroo kaa takabbur, tiree qaamat kaa jalaal
thartharaate huwe lab, tere woh ruKhsaar, woh Khaal
i'shq-e-Khushkaam kee sargoshee kaa raNgeen woh jaal
saaz-e-dil par woh dhaRakte huwe sur aur woh taal
mauj-e-naGhmah ho koyee yaa kisee shaa,i'r kaa Khayaal
saaNs ukhRee huwee ghaRiyoN kee, woh lamHe be-Haal
garmee-e-joshish-e-jaZbaat sar-e-shaam-e-wiSaal
dil woh deewaanah! keh be-gaanah-e-afkaar-o-malaal
nah Gham-o-ranj-o-taraddud, nah koyee Khauf-e-ma,aal
mujh ko sab yaad hai teraa woh judaa ho jaanaa
apne Haalaat peh bandoN kaa Khudaa ho jaanaa!
woh mah-o-saal, woh din raat kahaaN se laa,ooN?
saath guzre huwe lamHaat kahaaN se laa,ooN?
too naheeN hai nah sahee, yeh dil-e-barbaad to hai!
luT gayaa saaraa jahaaN, ek tiree yaad to hai!
mujh ko ma'loom hai ab tujh ko naheeN paa,ooN gaa
maiN kaheeN door, bohat door chalaa jaa,ooN gaa!