Page 1 of 6

Lafz par Ashaar#5--" ZAKHAM"

Posted: Thu Mar 31, 2005 6:38 am
by syed bilal armaan
IS DAFA "ZAKHAM" UNWAN HAZIR HAR HAI .ASHAR KE LIYE . APP APNE PASANDEDA ASHR BHEJYEIN...(-BILAL)

Murjha gaye hain phool tou taza rahe ZAKHAM
ye baagh tou khaza'n main bhi viraa'n nahi hua...

Posted: Thu Mar 31, 2005 12:05 pm
by Ibn-e-siddique
Haal-e-dil apna sunaane meiN mujhe deir lagee
zakhm-e-dil apna dikhaane meiN mujhe deir lagee

Nabeel

"zakhm"

Posted: Thu Mar 31, 2005 4:58 pm
by Abdullah Nazir



Souzish-e-zakhm-e-jigar-chaak nah samjhe gaa koii

laakh izhaar karuN, khaak nah samjhe gaa koii.



Nazir.


zakhm

Posted: Fri Apr 01, 2005 3:12 am
by Abdullah Nazir



Zakhm-e-dil, sakhm-e-jigar, pyaar meiN kyaa kuch nah milaa

umr baaqii hei jo ab, usko guzarjaane de.



Nazir.


Posted: Fri Apr 01, 2005 12:07 pm
by Ibn-e-siddique
chara-saazon se alag hai meraa mayaar ke mai.n
zaKhm khaaun gaa to kuchh aur sanvar jaaun gaa

Posted: Sat Apr 02, 2005 8:44 am
by syed bilal armaan
app ne tou mera haal-e-dil puch kar
mere zakham'oun ki jaise zabaan khul di hai...

"zakhm"

Posted: Sat Apr 02, 2005 2:04 pm
by Abdullah Nazir



Ilaaj-e-zkham-e-dil-e-nasaboor kar na sake

aur us pah kehte hou tum ghamguzaar hou mere.



Nazir.


Posted: Sat Apr 02, 2005 4:36 pm
by Hashmat Usmani
zaKhm jo aap kii 'inaayat hai, is nishaanii ko kia naam deN ham
pyaar diivaar ban ke rah gayaa hai, is kahaanii ko kia naam deN ham

Posted: Sun Apr 03, 2005 1:03 pm
by syed bilal armaan
Log'oun ko kiya mila mera chahera khured kar
jo zakham tha woh rooh ki gaheraiy'oun may tha..

"zakhm"

Posted: Sun Apr 03, 2005 5:24 pm
by Abdullah Nazir



zakhm-e-aazurdagiy-e-dil jou diyaa hei tuu ne

souchtaa hooN ke muHabbat kii nishaani tou nahiN



Nazir.


Posted: Mon Apr 04, 2005 3:11 am
by Hashmat Usmani
phuuloN kii aarzuu meN baRe zaKhm khaaye haiN
lekin, chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye haiN

Posted: Mon Apr 04, 2005 8:26 am
by Ibn-e-siddique
nazar lage na kahii.n usake dast-o-baazuu ko
ye log kyo.n mere zaKhm-e-jigar ko dekhate hai.n

Posted: Tue Apr 05, 2005 12:09 am
by najma
maiN ne dil ka diya jalaya hay
''ZAKHM''-e-eh,saas ramg layaa hay
najma

Posted: Tue Apr 05, 2005 12:09 am
by najma
najma wrote:maiN ne dil ka diya jalaya hay
''ZAKHM''-e-eh,saas rang layaa hay
najma

"zakhm"

Posted: Tue Apr 05, 2005 1:08 am
by Abdullah Nazir



zakhm sehte rahe jafaa'oN ke

Lab pah faryaad tak nahiN aayii.



Nazir.