Page 1 of 1

Ghazal: zahe naSeeb! غزل: زہے نصیب

Posted: Tue Sep 13, 2011 12:44 am
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-bazm: aadaab!

Urdu Anjuman meN t^araH dee gayee hai:

chiraaGh a'ql-o-Khirad ke bujhaa diYe too ne

is t^araH meN meree Ghazal pesh hai. shukriyah

Sarwar A. Raz "Sarwar"
===========================
Ghazal

zahe-naSeeb! ba-raNg-e-dawaa diYe too ne
jo dard bhee diYe, Had se siwaa diYe too ne!

niyaaz-o-naaz ke jhagRe miTaa diYe too ne
woh raaz-e-a'ashiqee pyaare sikhaa diYe too ne!

nigaah-e-shauq peh pehre biThaa diYe too ne
hazaar shehr-e-Kharaabaat Dhaa diYe too ne!

tire siwaa naheeN jachtaa koyee nigaahoN meN
woh saaGhar-e-mai-e-do-aatishaa diYe too ne

Khushee se ham ne jinheN Hirz-e-jaaN banaayaa hai
kuchh aise ranj bhee naam-e-Khudaa diYe too ne!

bhalaa ho teraa Gham-e-yaad-e-raftagaan-e-shauq
qadam qadam gul-o-laalah khilaa diYe too ne!

yeh a'arifaanah tajaahul, yeh rasm-e-kam-nigahee
t^araH t^araH se fareb-e-wafaa diYe too ne!

har ek Zarrah hai aa,eenah meree Hairat kaa
Hijaab saare yeh kaise uThaa diYe too ne?

adaa ho shukr tiraa kis t^araH shab-e-hijraaN?
keh yaad kitne fasaane dilaa diYe too ne!

lagaa ke rog muHabbat kaa kis liye "Sarwar"
"chiraaGh a'ql-o-Khirad ke bujhaa diYe too ne?"

==========================
[/size][/b]

Re: Ghazal: zahe naSeeb! غزل: زہے نصیب

Posted: Wed Sep 14, 2011 11:54 am
by azeezbelgaumi
gazal bahut khoob hai.. mubarak ho Raaz shb

Re: Ghazal: zahe naSeeb! غزل: زہے نصیب

Posted: Fri Sep 23, 2011 11:54 pm
by sajhashmi
azeezbelgaumi wrote:gazal bahut khoob hai.. mubarak ho Raaz shb

Janab Sarwar Alam Raaz saheb:


زہے نصیب غزل آپ کی پڑھی سرور۔۔۔۔کرشمے اپنے سخن کے دکھادیے تو نے
اتنی عمدہ غزل پر مبارکباد اور دعا کہ اللہ کرے حسن رقم اور زیادہ

Re: Ghazal: zahe naSeeb! غزل: زہے نصیب

Posted: Sun Sep 25, 2011 3:04 pm
by Nayeem Khan
Bohat khoob.