Page 1 of 1

" le jaarahaa hai shauq chalaa jaarahaa hooN maiN "

Posted: Mon Oct 10, 2011 4:58 am
by ismail ajaz
ek taraHee Ghazal ke saath Khayaal kaa urdubandhan aur uske chaahne waaloN ko aadaab
Arz e Khidmat hai


Khud ko na'ey Khwaab jo dikhlaa rahaa hooN maiN
gaanaa suroN se haT ke Zaraa gaa rahaa hooN maiN

aage kaa kuchh pataa hai nah peechhe kee kuchh Khabar
" le jaarahaa hai shauq chalaa jaarahaa hooN maiN "

manzil kee justujoo meN kaheeN raastah Ghalat
le kar nah jaa'ey soch ke ghabraa rahaa hooN maiN

mastaanee chaal cahlte haiN sarkaar aap tow
tarz e Kharaam e naaz peh laihraa rahaa hooN maiN

aap apnee paarsaa'ee kaa mat auRhiye naqaab
sach jhoT kyaa hai saamne hee laa rahaa hooN maiN

thoRaa saa muskuraa ke milaa keejiye Huzoor
milne ke liye aap ke ghar aa rahaa hooN maiN

aa'eenah dekh dekh ke itraa rahe haiN aap
aur dekh dekh aap ko sharmaa rahaa hooN maiN

abb itnee tow naaraaZgee achhee naheeN "Khayaal"
pachhtaa'eN ge phir aap , yeh batlaa rahaa hooN maiN

Ismail Ajaz Khayaal

Re: " le jaarahaa hai shauq chalaa jaarahaa hooN maiN "

Posted: Mon Oct 10, 2011 1:03 pm
by Tanwir Phool
SUBHAAN ALLAH , bahut khoob
Tazmeen kaa jawaab naheeN
Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey

Re: " le jaarahaa hai shauq chalaa jaarahaa hooN maiN "

Posted: Tue Oct 11, 2011 1:47 am
by Hasan Aatish
ایسی غزل ہے آپ کی خیال،بصد شوق
پڑھ پڑھ کے ،داد نام کئے جا رہا ہوں میں