Page 1 of 1

Kitaab-e-Aroozکتاب عروض

Posted: Sun Oct 16, 2011 4:25 pm
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-Adab: tasleemaat!

i'lm-e-A'rooz achhee aur SaHeeH shaa,i'ree ke liYe jitnaa Z^arooree hai utnee hee is kee kitaabeN mushkil haiN! a'rooZ par ek aasaan kitaab kee saKht Z^aroorat hameshah hee meHsoos kee gayee hai. al-Hamdu-lillah keh yeh kamee maiN ne :Aasaan A'rooz aur Nikaat-e-Shaa,i'ree: likh kar pooree kar dee hai. is kitaab meN i'lm-e-a'rooZ nihaayat aasaan aur a'am-fehm zabaan meN bayaan kiyaa gayaa hai. beHr, taqt^ee', ziHaafaat, qaafiyah waGhairah par mufeed guftgoo kee gayee hai aur taqt^ee' ko baRee juz-rasee ke saath be-shumaar micaaloN se waaZ^eH kiyaa gayaa hai. kitaab India/Pakistan meN Publishers ke Zari,e'h aur bairoon-e-mulk mujh se HaaSil kee jaa saktee hai. tafSeel darj-e-Zel hai.

yeh waaZ^eH karnaa Z^arooree hai keh kitaab kee saaree aamadnee waqf-e-fee-sabeel-Allah kar dee gayee hai. aap se guzaarish hai keh kitaab Z^aroor leN. i'lm-e-a'rooz kee aap ko Z^aroorat naheeN hai lekin is ko aglee nasloN tak poNhchaanaa Z^arooree hai. yeh kitaab is maqSad ko baKhoobee pooraa kartee hai. aap ke ta,a'awun aur madad kaa intiz^aar hai.

kitaab kee tafSeel munsalikah parwaaneh (flyer) meN dee jaa rahee hai. Publisher kee tafSeel Khat^ ke neeche darj hai. shukriyah!

Sarwar A. Raz
1220 Indian Run Drive, Apt.116
CARROLLTON, TX 75010, USA

(817) 917-9551 : cell
=========================
Publishers:

M. Safdar Malik
Al-Fath Publications
392-A, St. 5-A, Lane-5,
Gulraiz Housing Scheme-2, Rawalpindi, Pakistan

92-300-5192543
92-51-5814796

e-mail: vprint.vp@gmail.com[/b]
[/color][/size]

Re: Kitaab-e-Aroozکتاب عروض

Posted: Fri Nov 18, 2011 1:46 pm
by samina1230
tahnk you its really nice and great sharing, i really like it and i hope that every one here will like, appreciated