Page 1 of 1

Ghar ki Lakeer dekh lain (Sajjad Bukhari)

Posted: Fri Jan 13, 2012 6:14 am
by Sajjad Bukhari
Ghar ki lakeer dekh lain be ghar ke hath par
Ik aisa mo'jza ho qalandar ke hath par

Ham ne nibhahi youn bhi gham-e-zindagi ke saath
Tinka ho jaise mouj-e-samandar ke hath par

Chunte rahe hain khar zameen se hamaare hath
Girte rahe hain phool baraabar ke hath par

Aankhain khuli hoi hain hawaoun ke darmeyaaN
Sheesha numa ye dil bhi he pathar ke hath par

Qismat ko aazmaane chale hain rayees bhi
Dekha jo taj shaahi gadaagar ke hath par

"Sajjad"kis tarah se ho tahreer pur sukooN
Jab khoon gir raha sukhanwar ke hath par

Re: Ghar ki Lakeer dekh lain (Sajjad Bukhari)

Posted: Fri Jan 13, 2012 1:25 pm
by sbashwar
Ham ne nibhahi youn bhi gham-e-zindagi ke saath
Tinka ho jaise mouj-e-samandar ke hath par

Bohat khoob.

Re: Ghar ki Lakeer dekh lain (Sajjad Bukhari)

Posted: Sat Jan 14, 2012 4:37 am
by Sajjad Bukhari
Mohtaram Salim Ahmad Bashwar sahib

Ghazal parhne post karne aur iss me aik sheir pasand farmaane ka

shukria


:jazax: