Page 1 of 1

Jugnu ki tarah chamka howa.......(Sajjad Bukhari)

Posted: Fri Jan 13, 2012 6:39 am
by Sajjad Bukhari

Jugnu ki tarah chamka howa kaisa laga hoo'N
Main sath tere chalta howa kaisa laga hoo'N

Mehfil se teri nikla howa kaisa laga hoo'N
Galyoun me teri bikhra howa kaisa laga hoo'N

Hansta howa logon ko bahut acha laga tha
Ab tu hi bata rota howa kaisa laga hoo'N

Paa kar main sar-e-shaam teri yaad ka saawan
Darya ki tarah behta howa kaisa laga hoo'N

Tara bhi bana chanda bhi khusboo-ay gulistaa'N
Phir gham. Me tere tadpa howa kaisa laga hoo'N

Aaraam se laittay howay "sajjad"ne poocha
Kaandhe pe tere mehka howa kaisa laga hoo'N

Main iss ghazal ko "Shad Bijnori" ke naam karta hooN

Re: Jugnu ki tarah chamka howa.......(Sajjad Bukhari)

Posted: Sun Jan 15, 2012 11:05 am
by obaid
Aapki ghazal par meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

Re: Jugnu ki tarah chamka howa.......(Sajjad Bukhari)

Posted: Sun Jan 15, 2012 11:42 am
by Sajjad Bukhari
obaid wrote:Aapki ghazal par meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
obaid wrote:Aapki ghazal par meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Nawazish

Aapki iss qadar mohabbat aur hoasla afzaai ka tah-e-dil se mashkoor hooN
:rose1: