Javaab Haazir hei
Posted: Mon Apr 04, 2005 10:37 am
MuHtaramah
Saara Saahibah
Purkhuloos Tasleemaat,
TaraHi ghazal ke liye diye houe misreA kii gireh Ke taAlluq se aapke sawaal ka mukhtasar javaab yeh hei:
KitabaoN se paRhne waalaoN ko ghalaTfehmi housakti hei kiyoonke akcar jagah yehi likhkhaa hei ke diye houe misreA per doosra misrA lagaanaa. Loag doosraa ke mani tarteeb ke liHaaz se doosraa samajhkar ghalaTi karjaate heiN.
Asl Tareeqa-e-kaar tou yehi hei ke diye houe misreA per apnaa misraA lagaanaa chaahiye.
Isticnaayi soorat yeh housakti hei ke jis shayer kii ghazal se wo misrA liyaa gayaa hei wo uski ghazal ke kisi sheAr ka pahlaa misraA hou.
Doosri isticnaayi shakl yeh housakti hei ke kisi ne Aam qaaAide se inHiraaf karte houe TaraHi misreA ko pahlaa miSraA baandhaa hou aur apne misreA ko doosre miSreA kii haiciat se isteAmaal kiyaa hou. (is soorat meiN asaatizah is liye nazar andaaz kardete heiN keh aajkal ghazal ke saath jiddat ke naam per jo kuch hourahaa hei usko nazar meiN rakhkheN tou yeh inHiraaf bilkul maAmooli hei.)
Teesri isticnaayi Haalat yeh housakti hei ke kisi ne apni ghazal meiN gireh nahiN lagaayi hou. (gireh lagane ke lughavi mani meHfooz karne ke heiN). TaraHi ghazal kehne waalaoN ka maqsad yehi houtaa thaa ke wo diye houe misreA kii Hifaazat kareN.
Agar TaraHi mushaaAiraoN ke bayaanaat aur taareekh paRhi jaaye tou maAloom houtaa hei ke rasm o rivaaj ke iAtibaar se yehi zaahir houtaa hei ke gireh kaa misraA diye houe TaraHi miSreA se pahle hounaa chaahiye.
Hamaari mushkil yeh hei ke ham isticnaayi tareeqaoN ko aek qaanoon tasleem karlete heiN aur asl tareeqaoN ko isticnaayi kaifiyyat shumaar karte heiN.
Ummeed ke aapke sawaal ka tashaffi bakhsh javaab de sakaa.
Aapka Mukhlis,
Nazir.