Page 1 of 1

"Haazrat-e-insaan"...'allaamah Iqbaal kii nazm

Posted: Sat Dec 18, 2004 7:08 am
by Hashmat Usmani
bhaiye salaam,

Iqbaal ka kalaam "hazrat-e-insaan" pesh kar rahaa huN. mulaahezah farmaaiye:


jahaaN meN daanish~o~beenash ki hai kis darja arzaani
koi shai chup nahiN sakti ki yeh aalam hai nooraani

koi dekhe to hai baareek fitrat ka hijaab itna
numaayaaN hai farishtoN ke tabassum~haa-e-pinhaani

yeh dunya daavat-e-deedaar hai farzand-e-aadam ko
ki har mastoor ko baKhsha gaya hai zauq-e-uryaani

yehi farzand-e-aadam hai ki jiske ashk-e-khooni se
kiya hai hazrat-e-yazdaaN ne daryaaoN ko toofaani

falak ko kia khabar yeh khaak~daaN kiska nasheman hai
Gharaz anjum se hai kiske shabistaaN ki nigeh~baani

agar maqsood-e-kul huN maiN to mujh se maa_varaa kia hai?
mire hangaama~haa-e-nau~banoo ki intehaa kia hai?