ik turfah tamaashaa: taraahee Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ik turfah tamaashaa: taraahee Ghazal

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-adab: salaam!

Urdu Anjuman ke maah-e-rawaaN ke mushaa,i're kee Ghazal esh hai. miSra' hai:

ik aag kaa daryaa hai aur Doob ke jaanaa hai

Sarwar A. Raz "Sarwar"
========================
GHAZAL

ik t^urfah tamaashah yeh hastee kaa fasaanaa hai
kal aur zamaanaa thaa, ab aur zamaanaa hai!

kuchh apnee kahee hotee, kuchh meree sunee hotee
yeh kaisee muHabbat hai, aanaa hai nah jaanaa hai!

kis soch me baiThaa hai too apnee Khudee kho kar
is raah-e-muHabbat men khonaa hee to paanaa hai!

aa jaa,o kisee heele, sun jaa,o kisee u'nwaaN
dischasp kahaanee hai, rangeen fasaanaa hai!

ik aan meN tolaa hai, ik aan meN maashaa hai
dil ek hee naadaaN hai, kyaa is kaa Thikaanaa hai

kehtaa hai sabhee kee see, kartaa hai magar apnee
kyaa Khoob mu,a'mmah yeh andaaz-e-zamaanaa hai!

kyaa koyee sune "Sarwar" din raat tiraa ronaa
andaaz nayaa ho gaa par raag puraanaa hai!
Attachments
g-ikturfah.gif
g-ikturfah.gif (15.41 KiB) Viewed 303 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Nayeem Khan
-
-
Posts: 280
Joined: Sun Jan 13, 2008 2:32 pm
Location: Mahbubnagar, India.
Contact:

Re: ik turfah tamaashaa: taraahee Ghazal

Post by Nayeem Khan »

Iss ghazal par meri daad pesh hai.
Post Reply