Page 1 of 1

hosh_mandaan-e-adab hoNT siyaa karte haiN...taazah Ghazal

Posted: Mon Apr 04, 2005 2:41 pm
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

aaj aapkii Khidmat meN apnii ek taazah ba taazah Ghazal le kar Haazir huaa huuN is qawii ummeed ke saath ki aapkii tab'a-e-naazuk par baar-e-giraaN na saabit hogii. shukria.

to, Gahzal mulaaHizah farmaaiye:


1.
log jab shikwa-e-be_daad o jafaa karte haiN
hosh_mandaan-e-adab hoNT siyaa karte ahiN

2.
haath kiuN khiiNch liyaa dete huye daulat-e-Gham
dene_waale to yeh Khairaat diyaa karet haiN

3.
koii Haalaat kii tafseer kare, yaa na kare
ham nigaahoN se bhii pahchaan liyaa karte haiN

4.
ai'hl-e-dil aaj bhii Khaamosh haiN Ghairat ke tufail
log dil_waaloN ko bad_naam kiyaa karte haiN

5.
noor hii noor, ujaalaa hii ujaalaa har soo
kis kii aamad ke yeh aasaar hua karte haiN!

6.
kia karoge Gahm-e-hastii kii davaa, chaarah_garo!
daaGh dil ke to ba_har rang jalaa karte haiN

7.
tum bhii, Sai'hbaa!, na karo shaikwa-e-be_mehrii-e-dost
ranj be_gaane nahiiN, apne diyaa karte haiN

Bahut khoob

Posted: Tue Apr 05, 2005 1:02 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Hashmat Usmani Saihba Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,


Aapki ghazal bahut pasand aayi khaas Taur per SheAr No.2, 6 aur maqTaA. Waise saare ke saare ashAar bahut achche heiN.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Thu Apr 07, 2005 10:59 pm
by asad
Mohtaram Janab Hashmat Usmani Sahib,
Adab!

aap ki Ghazal behad pasaNd aayee!.... khaastaur pe ye sh'er to kamaal kaa hai!

kia karoge Gahm-e-hastii kii davaa, chaarah_garo!
daaGh dil ke to ba_har rang jalaa karte haiN

nacheez ki jaanib se mubarakbaad qubool farmaayeN!

talib-e-dua
asad

Posted: Fri Apr 08, 2005 1:51 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab e Naazir saaHib,

salaam,

ummeed hai ki aapke mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

aapne merii adnaa sii kaavish ko na sirf paRha balkii apne qeemtii auqaat meN se kuchh waqt nikaal kar tabsirah bhii kiyaa, yeh mere liye baa'is e faKhr aur sad masarrat hai. aapko Ghazal ke ash'aar pasand aaye, yeh merii Khush_qismatii hai. aapkaa ek baar phir se shukria adaa kartaa huN ki aapne apnii nazar-e-karam baKhshii. shukria.

faqat Khaadim,

Hashmat

Posted: Fri Apr 08, 2005 1:55 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab e asad saaHib,

salaam,

ummeed hai ki aapke mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

aapne merii adnaa sii Ghazal ko tavajjoh 'ataa farmaayii aur usko [pasand bhii farmaayaa jiske liye amiN aapkaa mamnoon huN aur shukr_guzaar bhii. aapko jo she'r pasand aayaa vo umooman sabhi ko hii pasand aaye. shukria. yeh aapkii zauq e nazar hii hai varna maiN is sitaaish ka na hii ai'hl huuN aur na hii Haqdaar. shukria.

faqat Khaak_saar,

Hashmat

Posted: Sat Apr 09, 2005 2:45 am
by irfan abid
Usmani Sb, aadaab!

aap kii ye Ghazal pasand aayii. daad haazir hai! do ek ash.aar aap kuchh bahtar banaa sakte the. mauqa mile to koshish keejiyegaa.

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sat Apr 09, 2005 2:54 am
by Hashmat Usmani
irfan abid wrote:Usmani Sb, aadaab!

aap kii ye Ghazal pasand aayii. daad haazir hai! do ek ash.aar aap kuchh bahtar banaa sakte the. mauqa mile to koshish keejiyegaa.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
moHtaram Abid saaHib salaam arz hai,

ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge. mujhe aapkaa yeh Khat dekh kar be_had masarrat huii aur is baat kii Khushii bhi ki aapko merii adnaa sii kaavish na sirf bhali lagi balki waqt nikaal kar apne ta'assuraat marHamat farmaaye. aapkii tashKhees durust hai...mujhe bhii kuchh aisa hii maHsoos huaa thaa magar Ghazal ko chaspaaN karne ke ba'd hii. insha Allah koshish karuuNga aapke Hukm ko bajaa laane kii. shukria Abid saaHib.

Hashmat