Page 1 of 1

غزل (Poet: Jabbar Wasif)

Posted: Sun Jun 10, 2012 1:00 pm
by Jabbar Wasif
ُPoet: Jabbar Wasif

Ghazal............

Kayi Khawabon kay Madfan Hein Kayi Arman Pinha'n Hein
Meri Aankhon Mein Wehshat kay boht Toofan Pinha'n Hein

Jidhar Bhi Dekhiye Bas Hai Hajoom-e Be- Kara'n Sahib
Karoron Aadmi Zahir Hein Per Insan Pinha'n Hein

Hararat Zindagi Ki Mein Bhala Suraj Se kiyun Mangun
Jab Us k Jism k Kamray Mein Aatishdan Pinha'n Hein

Mere Alfaz Darya Hein, Mera Lehja Samundar Hai
K Mujh Mein Gharq Honay K sabhi Saaman Pinha'n Hein

Meri Bas Ik Ghazal Sun Kar Tum Apnay Hosh Kho Bethay
Abhi To Meray Seenay Mein Kayi Deewan Pinha'n Hein

Ameer-e Shehr Se keh Do Bacha Le Shehr Wo Apna
Meray Ash'aar Mein Bhonchal K Imkan Pinha'n Hein

Tmhari Khawahisho'n Ki Aik Gul Tskeen Kia Karta
Tmharay Dil Mein To WASIF kayi Guldaan Pinha'n Hein

(Jabbar Wasif - Rahim Yar Khan - Pakistan)

Email: jabbarwasif_ryk@yahoo.com

Facebook: http://www.facebook.com/jabbarwasif

Cell: +92 333 658 6661

Re: غزل (Poet: Jabbar Wasif)

Posted: Mon Jun 11, 2012 2:52 pm
by najeeb
Khush-Aamdeed urdubandhan par.
Aapki ghazal par meri dad pesh hai.