Page 1 of 1

aik ghazal

Posted: Mon Apr 04, 2005 5:11 pm
by Dawood_Rizwan
aoa
doosto aik ghazal kay sath hazir hoon
rizwan

Bahut khoob waah waah

Posted: Tue Apr 05, 2005 10:20 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Dawood Rizwaan Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,


Bahut dinaoN ba'd aapki aek behad khoobsoorat aur dilkush ghazal paRhne ko mili. Saare ke saare ashAaar hii bahut umdah heiN.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Re: aik ghazal

Posted: Tue Apr 05, 2005 7:35 pm
by naheedv
Dawood_Rizwan wrote:aoa
doosto aik ghazal kay sath hazir hoon
rizwan
Rizwan ji,

aap kee ye nayee ghazal paRhne ko milee aur pasaNd aayee.
tamaam ghazal khoob hai aur matla' aur maqta' khoob.tar heiN.

iss kaavish par meree daad qubool kijiye!

mukhliS
Naheed

Posted: Tue Apr 05, 2005 8:06 pm
by Anis Hasan
Motaram Dawood Rizwan saheb buhat khubsurat ghazal say nawaza hai aap nay saray hi ashaar behtreen hain meri daad qabool kijiyay.

aoa

Posted: Wed Apr 06, 2005 5:46 pm
by Dawood_Rizwan
janab a webmaster, myhtrama naheed sahiba aur anis hasan g ghazal pasand karnay ka buhat buhat shukria
rizwan

Posted: Thu Apr 07, 2005 5:46 am
by Hashmat Usmani
salaam Rizwaaan saaHib,

ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

aapkii Ghazal paRhii aur paRh kar be_saaKhta daad o teHseen ke kalimaat muNh se nikle. aapkii Ghazar har aitebaar se ek kaamiyaab aur aalaa Ghazal hai. aapko merii jaanib se be_Had mubaarakbaad, gar qubool uftaad.

tamaam ash'aar e Ghazal Khoob haiN aur alfaaz o bayaan se murass'a hai.

Allah kare zor e qalam aur ziyaada!

Hashmat