Page 1 of 1

Tanwir Phool Saheb ki Nazm ka Charba

Posted: Fri Jun 21, 2013 4:41 pm
by raushanjahan
:salaam:
Tanwir Phool Saheb ki yeh Nazm mahnama "Ghuncha" Karachi , February 1964
ke page No.17 par chhapi thi.Us ke baad yeh Nazm mukhtalif resalon aor akhbar
ke bachchon ke edition main chhapti rahi.Yeh Nazm kulliyat "Khushbu Bhini Bhini"
main bhi shamil hai jo July,2009 main chhapi aor jis main April.2009 tak ka kafi
matbua kalam shamil hai. Is Nazm ka charba Rafi Yusufi Mahram ke naam se
6 March,2013 ke roznama "Jang" ke children edition main chhapa jis main
original Nazm ka koi hawala naheen hai.Attachments mulahza keejiey.
Mukhlis : Raushan Jahan
KBB-SardiKaaGeet.jpg
KBB-SardiKaaGeet.jpg (257.92 KiB) Viewed 1561 times
SardiKaaGeet.jpg
SardiKaaGeet.jpg (94.72 KiB) Viewed 1561 times
6March2013kaJang.jpg
6March2013kaJang.jpg (246.31 KiB) Viewed 1561 times

Re: Tanwir Phool Saheb ki Nazm ka Charba

Posted: Sat Jun 29, 2013 8:11 am
by sarwar
:walikum2:
Waah , aap ne to kamal kar diya !
Khaksar : Sarwar

Re: Tanwir Phool Saheb ki Nazm ka Charba

Posted: Sun Jun 30, 2013 2:49 pm
by Tanwir Phool
:walikum:
Shukriyaa Raushan Jahan Sahiba
aur Sarwar Sb. Du'aaoN maiN yaad rakhi'ey
:jazak:

Re: Tanwir Phool Saheb ki Nazm ka Charba

Posted: Sun Jul 28, 2013 3:29 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
MoHtarmah Raoshan JahaN SaHibah tasleemaat!

janaab Tanweer Sb kee nazm ko itnee bebaakee se chura kar apne naam se pesh karne par be Had dukh huwa aesi Harakat yaqeena" nihayat sharmnaak amr hai, kamyaab Book wale chaheeN to roznamah Jand ko agah kar ke muqadmah bhee chala sakte haiN chunkeh jumlah Huqooq to baharHaal un ke paas meHfooz haiN.

wese aap apne taor par jang ko is Harakat se yeh muwaad arsaal kar keh agah kar deN ta keh is mutshaai'r kee nishaandahee ho sake.

khaer andesh
Muzaffar.