Page 1 of 1
Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Fri Jul 12, 2013 2:47 am
by sbashwar
Mere chote bhai Hasan Bashwar Saheb jo kafi arse se aleel thay July 10 ko inteqal kar gaye.
Allah apni rehmat se jannat mein aala muqam de. ameen.
Dua'on ki darkhwast hai.
Re: Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Fri Jul 12, 2013 3:19 am
by nafeesa
Re: Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Sun Jul 14, 2013 4:30 am
by Tanwir Phool
Mujhay 2 saal pahlay apnay chhoTay bhaa'ee ki wafaat
yaad aa ga'ee jo mere Pakistan se USA aanay ke 15 din
ba'ad hui thi. ALLAH Ta'aalaa aap ke bhaa'ee aur tamaam
marHoomeen ke saath ham sab ki maGhfirat Farmaaey
aur sab ko Apni RaHmat ke saa'ey talay rakhay
Re: Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Sun Jul 14, 2013 4:32 am
by Tanwir Phool
" Pasti-e-aa'lam maiN milnay ko judaa hotay haiN ham
AarZi furqat ko daa'em jaan kar rotay haiN ham"
(Allama Iqbal)
Re: Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Sun Jul 14, 2013 11:47 am
by Aanchal
Inna Lillahi wa inna elahi rajeoun ..Allah Tala marhoom ki maghfarat farmaye ..ameen
Re: Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Thu Jul 18, 2013 12:27 pm
by sbashwar
Aap tamaam ka shukria.
Re: Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Thu Jul 18, 2013 12:43 pm
by Nayeem Khan
Re: Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Sun Jul 21, 2013 7:47 am
by aabarqi
محترم سالم احمد باشوار کے چھوٹے بھائی حسن احمد باشوار کے سانحۂ ارتحال پر منظوم اظہارِ تعزیت
احمد علی برقی اعظمی
میرے محسن اور مشفق سالم احمد باشوار
اپنے چھوٹے بھائی کی رحلت سے ہیں اب سوگوار
اُن کے پسماندوں کو دے ربِ جہاں صبرِ جمیل
اُن کے غم میں ہیں جو محزوں ان کو آ جائے قرار
آسمان اُن کی لحد پر شبنم افشانی کرے
مہرباں ہو جنت الفردوس میں پروردگار
صدمۂ جانکاہ سہنے کی اُنہیں توفیق دے
بھول جائیں رنج و غم سب اپنے سالم باشوار
نام برقی اعظمی بھائی کا تھا اُن کے حسن
ایک فطری غم ہے جس سے کیوں نہ ہوں وہ دلفگار
Re: Salem Bashwar ke Bhai ka Inteqal
Posted: Sun Jul 21, 2013 10:31 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
MoHtaram Salim A Bashwar
Aap ke ChoTe Bhai Janaab Hasan Bashwar Sb ke intiqaal kee dilkaraash khabar milee yaqeena" yeh Sadmah aesa hai keh juz Sabr o bardaasht charah naheeN qanoone qudrat aor manshaae rabbanee ke aage ham sab kaa sare tasleem kham hai, jo dunyaae faanee meN bhejaa geya hai use anjaame kaar is daare faanee se muntaqil bhee hona hai ham sab isee Surate Haal se do chaar hone wale haiN.
meree dua'a hai keh rabbe ezzaojal aap aor deegar jumlah luwaaHeqeen ko Sabre jameel se nawaaze aor marHoom ko apnee shaane maGhfirat o raHeemee se jannat tul firdoos meN arfa'a maqaal a'taa farmde
Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar