Page 1 of 1

Aalami Mushairah Guzarish#55,1 Nov, 2013

Posted: Sat Nov 02, 2013 10:07 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
MoHtaram Aarakeen e bazm e Urdubandhan :salaam2:

Guzarish#55 1 Nov, 2013 ke liye taraHee miSra' pesh e khidmat hai mulaHiZah keejiye,

'terY Gesu to abhee aor pareshaaN honGe'

yeh misra' kuliyaat e Rais Amrohvi 1914-1988 se muntakhib kiya geya hai.

beHer kee is shakl ko beHer-e-ramal makhboon meHZoof maqt^ooa' kehte haiN. yeh beHer-e-ramal kee woh aaTh rukanee shakl hai. jis meN tarteebwaar faae'latun ke makhboon meHZoof maqt^ooa' Zahaaf ko baroo-e-kaar layaa geyaa hai.


afaae'il= faa'ilaa'tun…fa'ilaa'tun…fa'ilaa'tun …fe'lun
=2122.........1122.........1122........22
=/0//0/0.......///0/0........///0/0....../0/0


In arkaan ke pahle rukan ko "fa'ilaa'tun" istea'maal karne kee ijaazut hei aur Ghair-qaafiyah-band miSraa'oN ke aakhiree rukn ko "fe'lun" kee bajaaye "fa'ilun" istea'maal karne kee ijaazut hei.

Quwaafi, numayaaN, garebaN, HaeraN,HijraN, WaGhaerah.

radeef, hoNGe.

Ummeed kee jatee hai keh sabhee SaaHibaan-e-fan apne jaohor-e-qalam kaa muz^aahirah karte huwe dilkash GhazleeN takhleeq farma kar nah Sirf diye gae t^arHee miSra' ko Zindah-o-jawaid kareeN ge balkeh intez^aamiyah Urdubandhan ko mamnoon bhee farmaeeN ge.

mutamanni-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan