Guzarish#55 ke liye meree adna see kawish!
Posted: Sat Nov 09, 2013 9:39 pm
A'zeezaan -e-MeHfil
Mah-e-rawaN ke mushae'rah ke liye apnee ma'moolee see koshish pesh-e-khidmat hai, mulaHizah keejiye.
Ghazal
Ham to samjheY they shareek-e-Gham-e-hijraaN hoN geY,
kiya khabar thee keh who Gharat Gar-e-imaaN hoN gaY.
dafa'ta" kaTne lagee hai miree taar-e-infaas,
AasteenoN meN kaheeN khanjar-e-pinhaN hong
(Q)
Gharq hona hi muqaddar hai to aeY jazbah-e-shaoq,
maoj-e-darya se nah ham log hirasaaN hoN gaeY.
naa khuda sael-e-bala khez se itna keh de,
Doob jaaeeN ge nah minnat kash-e-tufaaN hoN geY.
bujh ke kuch aor faroZaN huwe u'shshaaq ke dil,
ham to samjheY they qateel-e-shab-e-hijraaN hoN geY.
SubH-e-nao ham bhee kabhee jalwah gah-e-e'shrat meN,
meHv-e- mushshatagee-e-Zulf-e-parishaaN hoN geY,
ham ko ma'loom hai anjaam-e-tamannaa kiya hai?
waSl ke khwaab faqat khwaab-e-pareshaaN hoN geY.
jaaN balab pehleY hee they qatl gah-e-a'alam meN,
"terY Gesu to abhee aor parishaaN hoN geY"
Chashm-e-qatil se Muzaffar tu jo bach bhee niklaa,
tereY jese to shaheed-e-Gul-e-khandaN hoN geY.
Muzaffar AHmed Muzaffar
.Ghazal