Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain
Posted: Mon Mar 17, 2014 10:51 am
Dosto.n kaafee arse ke baad ek ghazal paise-khidmat mai hai, behr kuchh is tarah hai 1222/1222/1212. insallah pasand aaye to qubool farmaiyega, aur ye naacheez aap ki raay ka muntziir bhi rahega agar koi ghalti bhi nazar aaye to bataaiyega zaroor
Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain
Mahobbat ka teri hee woh malaal hain
Na tumhe chhoo ke gujre gham koii kabhi
Meri sab rehmato me yeh khayaal hai
Mukammal ho gayi kyun phir ghazal meri
Tune jo padh liyaa us ka kamaal hai
Terii hii bewafaayi ka sila hai yeh
Mujhe ashqon se jo itna vishaal hai
Ameerii sab gayi gurbat lo aa gayi
Judaa tum ho gaye tab se yeh haal hai
Tabassum hee tera hai apni jindagii
Tere bin yun to jinaa bhi muhaal hai
Zamana jo puchhe gar kyaa ye ishq hai
Mahobbat hee hamaari ek mishaal hai
aap ki raay ka muntzir
manu
Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain
Mahobbat ka teri hee woh malaal hain
Na tumhe chhoo ke gujre gham koii kabhi
Meri sab rehmato me yeh khayaal hai
Mukammal ho gayi kyun phir ghazal meri
Tune jo padh liyaa us ka kamaal hai
Terii hii bewafaayi ka sila hai yeh
Mujhe ashqon se jo itna vishaal hai
Ameerii sab gayi gurbat lo aa gayi
Judaa tum ho gaye tab se yeh haal hai
Tabassum hee tera hai apni jindagii
Tere bin yun to jinaa bhi muhaal hai
Zamana jo puchhe gar kyaa ye ishq hai
Mahobbat hee hamaari ek mishaal hai
aap ki raay ka muntzir
manu