naz^m: shab-gaZeedah saHar
Posted: Tue Apr 12, 2005 6:35 am
yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!
aaj hee ek naz^m ("shab-gaZeedah saHar") huyee hai jo pesh kar rahaa hooN. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh` diYe haiN. mumkin hai keh kisee ko Z^aroorat ho.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================
SHAB-GAZEEDAH SAHAR
shab-gaZeedah hai saHar, us peh yeh tanhaayee hai!
zindagee kh`eeNch ke mujh` ko kahaaN le aayee hai?
dil giraaN-Haal, jigar soKhtah , lab haiN Khaamosh!
doosroN kee Khabar ab aur nah hee apnaa hosh!
i'shq Hairaan-o-pareshaan hai HirmaaN-bar-dosh!
Husn aur us kee ra,o'onat! keh hai ikraam-farosh!
waqt ne kar diyaa har lamHah-e-guZaraaN bad-hosh!
zindagee Hasrat-e-naakaam kee hai Halqah-bagosh!
har Khudaa apnee Khudaayee ke nashe meN madhosh!
ab yahaaN koyee naheeN gosh-bar-aawaaz-e-sarosh!
aur aise meN tiree yaad chalee aayee hai!
=========================
shab-gaZeedah = raat kee kaaTee (maaree) huyee
giraaN-Haal = buree Haalat meN
soKhtah = jalaa huwaa
HirmaaN = Gham, ranj
dosh = kandh`aa
HirmaaN-bardosh = kandh`oN par Gham kaa bojh` liYe
ra,o'onat = Ghuroor (=arrogance)
ikraam-farosh = apnee muHabbat faroKht karne waalaa
lamHah-e-guZaraaN = guZartaa huwaa waqt
Halqah = bundah (ring)
Halqah-bagosh = kaan meN kisee ke naam kaa bundah pehne (=us kaa Ghulaam)
gosh-bar-aawaaz = aawaaz par kaan lagaaYe
sarosh = farishtah