Page 1 of 2

kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

Posted: Wed Apr 13, 2005 12:26 pm
by Mahtab Qadr
Aik Taaza Ghazal pesh khidmat hai apni aara aur naqd o basar se nawaaziye
Mahtab Qadr

jis roop mai tu chaahe maiN dhaltaa rahoN hardam?
mousam to nahi hoN ke badaltaa rahoN hardam!

jis cheez ko jee chaahe uthaaloN na kioN barhkar
kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

tujhko bhi khyaal aaye kabhi apni wafaa ka
kioN raah e waaf per yoNhi chaltaa rahoN hardam

mujhko bhi khushi ho kabhi apne hi kiye par
maiN kioN kaf e afsoos hi maltaa rahoN hardam

ek bazm e tarab mai, maiN kisi shookh haseeN ka
aNchal to nahi hoN ke jo dhaltaa rahoN hardam

tu bhi to kabhi aa ke meraa saath nibhaaye
kioN tere tasawwur se bahaltaa rahoN hardam

maiN aabla pa hoN to mere hamsafar to bhi
dochaar qadam chal, ke maiN chaltaa rahoN hardam

mahtaab sar e shaam nikaltaa hoN maiN ghar se
haN shamma nahi hoN ke pighaltaa rahoN hardam

_________________

Re: kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

Posted: Wed Apr 13, 2005 1:57 pm
by najma
Mahtab Qadr wrote:Aik Taaza Ghazal pesh khidmat hai apni aara aur naqd o basar se nawaaziye
Mahtab Qadr

jis roop mai tu chaahe maiN dhaltaa rahoN hardam
mousam to nahi hoN ke badaltaa rahoN hardam

jis cheez ko jee chaahe uthaaloN na kioN barhkar
kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

tujhko bhi khyaal aaye kabhi apni jafaa ka
kioN raah e waaf per yoNhi chaltaa rahoN hardam

mujhko bhi khushi ho kabhi apne hi kiye par
maiN kioN kaf afsoos hi maltaa rahoN hardam

ek bazm e tarab mai, maiN kisi shookh haseeN ka
daman to nahi hoN ke jo dhaltaa rahoN hardam

tu bhi to kabhi aa ke meraa haath bataaaye
kioN tere tasawwur se bahaltaa rahoN hardam

maiN aabla pa hoN to mere hamsafar to bhi
dochaar qadam chal, ke maiN chaltaa rahoN hardam

mahtaab sar e shaam nikaltaa hoN maiN ghar se
haN shamma nahi hoN ke pighaltaa rahoN hardam

_________________

janab mahtab qadr sahib
adaab
aap ka kalaam pasand aayaa.

yahaaN doosre misr,a meiN lafz''kaf-e-afsos'' hay.shayad typo hua hay

aur

yahaaN pehla misr,a kharij az behr horaha hay kisi sabab, mumkin hay typo hi ho

kalaam bohat khoob hay
daad qubool kijiye
:-)

Re: kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

Posted: Wed Apr 13, 2005 7:12 pm
by Mahtab Qadr
najma wrote:

Najma sahib mashkoor hoN pahle wali typo to durust karli hai, dosre sher ke muamile mai maiN mutmain hoN ke vo wazan se kharij nahi hai.baharhal ghalati ki nishandahi , raye aur tabsera ka shukria
Mahtab Qadr

Posted: Wed Apr 13, 2005 7:26 pm
by zmufti
Mahtab sahib
Buhat khoob Aap ki yeh ghazal pasand aayi dad qabool kijye
mujhe kuch ziyada ilm to nahin magar meray khayal mein kissi shokh haseena ka daman nahin Aanchal dhalkta hai
allah hafiz
zmufti

Re: kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

Posted: Wed Apr 13, 2005 7:33 pm
by najma
Mahtab Qadr wrote:

bohat shukriya
yaqeenan phir maiN hi ghalat hooN.
maa,zrat
:grin:

Posted: Thu Apr 14, 2005 5:24 am
by Sarwar A. Raz
muHibbee Mehtab SaaHeb:aadaab!

waah, waah! kyaa Khoob-Soorat zameen muntaKhib kee hai! is kee naGhmagee aur zer-o-bam bohat dilkash haiN aur aap ne jaZbaat kee a'kkaasee bh`ee u'mdah kee hai. ba'Z^ miSre' to nihaayat hee dilkash haiN. Ghazal par meree daad HaaZ^ir hai! qubool keejiYe.

agar ijaazat ho to do ek baateN sar-e-raah a'rZ^ karooN?
----------------------------------------
jis roop mai tu chaahe maiN dhaltaa rahoN hardam?
mousam to nahi hoN ke badaltaa rahoN hardam!

mat^la' bohat achh`aa hai! waah, waah! Sirf itnaa kar ke dekh` leN ke pehle miSre' ke ba'd ? aur doosre ke aaKhir meN ! lagaa deN. shaayad koyee farq meHsoos ho.
---------------------------------
jis cheez ko jee chaahe uthaaloN na kioN barhkar
kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

she'r pasand aayee. albattah pehlaa miSra' doosre ke muqaabileh meN sust naz^ar aayaa. mumkin ho keh meree naz^ar kaa quSoor ho. maiN ne yooN sochaa:

taqdeer badal dooN nah maiN kyoN haath` baRh`aa kar?
kyoN aatish-e-Hasrat hee meN jaltaa rahooN har dam?
------------------------------------
tujhko bhi khyaal aaye kabhi apni jafaa ka
kioN raah e waaf per yoNhi chaltaa rahoN hardam

bohat Khoob! ab :apnee jafaa: ko :kaash wafaa: se badal kar dekh` leN to kyaa harj hai!
----------------------
mujhko bhi khushi ho kabhi apne hi kiye par
maiN kioN kaf afsoos hi maltaa rahoN hardam

doosraa miSra' baRaa achh`aa hai. pehlaa us kaa saath` naheeN de rahaa hai. kam se kam meraa yehee Khayaal hai. yooN soch sakte haiN:

kyaa mujh` ko koyee Haq hee naheeN lut^f-o-Khushee kaa?
maiN kyoN kaf-e-afsos hee maltaa rahooN har dam?
------------------------------
ek bazm e tarab mai, maiN kisi shookh haseeN ka
daman to nahi hoN ke jo dhaltaa rahoN hardam

SaaHeb! yeh bandish to jaane kyaa kyaa maZ^aameen sujh`aa gayee! :daaman ke Dh`alne meN: mujh` ko kuch` lut^f naheeN aayaa aur dil neh yooN aawaaz dee:

maiN Gham to naheeN hooN keh mujh`e roYe yeh dunyaa!
aaNsoo to naheeN hooN keh Dh`alaktaa rahooN har dam?
--------------------------
tu bhi to kabhi aa ke meraa haath bataaaye
kioN tere tasawwur se bahaltaa rahoN hardam

:haath` baTaaYe:-------------->: saath` nibh`aaYe: ?
-------------------------
maiN aabla pa hoN to mere hamsafar to bhi
dochaar qadam chal, ke maiN chaltaa rahoN hardam

dekh`iYe ke :hamsafar: se :too: par intiqaal (transition) kh`aTak rahaa hai aur rawaanee majrooH ho rahee hai. yooN keh sakte haiN:

maiN aablah-paa hooN, kabh`ee too bh`ee to mire saath`
do chaar qadam chal, keh maiN chaltaa rahooN har dam!
-----------------------------
mahtaab sar e shaam nikaltaa hoN maiN ghar se
haN shamma nahi hoN ke pighaltaa rahoN hardam

yahaaN mujh` ko donoN miSro'N kaa rabt^ samajh` meN naheeN aayaa. agar shama' kaa pigh`alnaa buraa hai to mehtaab bh`ee to Doob jaataa hai! aap ke hee Khayaal kee ek Soorat yooN ho saktee hai.

"Mehtab" hooN aur jalwah-t^araazee hai miraa kaam!
maiN shama' naheeN hooN keh pigh`altaa rahooN har dam!
=======================
Khudaa-raa in ma'rooZ^aat ko siwaaYe :fikr ba-aawaaz-e-baland: kuch` aur nah samajh`iYe gaa! aap ke Khayaalaat kaa intizaar rahe gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Posted: Thu Apr 14, 2005 7:47 am
by Mahtab Qadr
zmufti wrote:Mahtab sahib
Buhat khoob Aap ki yeh ghazal pasand aayi dad qabool kijye
mujhe kuch ziyada ilm to nahin magar meray khayal mein kissi shokh haseena ka daman nahin Aanchal dhalkta hai
allah hafiz
zmufti
aap ki baat bahut sahi hai , mere zahn mai anchal hi tha magar shayed likhte waqt ghalat likh gaya ,baharhaal aapke mashware sahi rahnumai ki. mashkoor hoN.
Mahtab Qadr

nawazish

Posted: Thu Apr 14, 2005 8:22 am
by Mahtab Qadr
Sarwar Raz wrote:muHibbee Mehtab SaaHeb:aadaab!

waah, waah! kyaa Khoob-Soorat zameen muntaKhib kee hai! is kee naGhmagee aur zer-o-bam bohat dilkash haiN aur aap ne jaZbaat kee a'kkaasee bh`ee u'mdah kee hai. ba'Z^ miSre' to nihaayat hee dilkash haiN. Ghazal par meree daad HaaZ^ir hai! qubool keejiYe.

agar ijaazat ho to do ek baateN sar-e-raah a'rZ^ karooN?
----------------------------------------
jis roop mai tu chaahe maiN dhaltaa rahoN hardam?
mousam to nahi hoN ke badaltaa rahoN hardam!

mat^la' bohat achh`aa hai! waah, waah! Sirf itnaa kar ke dekh` leN ke pehle miSre' ke ba'd ? aur doosre ke aaKhir meN ! lagaa deN. shaayad koyee farq meHsoos ho.
---------------------------------
jis cheez ko jee chaahe uthaaloN na kioN barhkar
kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

she'r pasand aayee. albattah pehlaa miSra' doosre ke muqaabileh meN sust naz^ar aayaa. mumkin ho keh meree naz^ar kaa quSoor ho. maiN ne yooN sochaa:

taqdeer badal dooN nah maiN kyoN haath` baRh`aa kar?
kyoN aatish-e-Hasrat hee meN jaltaa rahooN har dam?
------------------------------------
tujhko bhi khyaal aaye kabhi apni jafaa ka
kioN raah e waaf per yoNhi chaltaa rahoN hardam

bohat Khoob! ab :apnee jafaa: ko :kaash wafaa: se badal kar dekh` leN to kyaa harj hai!
----------------------
mujhko bhi khushi ho kabhi apne hi kiye par
maiN kioN kaf afsoos hi maltaa rahoN hardam

doosraa miSra' baRaa achh`aa hai. pehlaa us kaa saath` naheeN de rahaa hai. kam se kam meraa yehee Khayaal hai. yooN soch sakte haiN:

kyaa mujh` ko koyee Haq hee naheeN lut^f-o-Khushee kaa?
maiN kyoN kaf-e-afsos hee maltaa rahooN har dam?
------------------------------
ek bazm e tarab mai, maiN kisi shookh haseeN ka
daman to nahi hoN ke jo dhaltaa rahoN hardam

SaaHeb! yeh bandish to jaane kyaa kyaa maZ^aameen sujh`aa gayee! :daaman ke Dh`alne meN: mujh` ko kuch` lut^f naheeN aayaa aur dil neh yooN aawaaz dee:

maiN Gham to naheeN hooN keh mujh`e roYe yeh dunyaa!
aaNsoo to naheeN hooN keh Dh`alaktaa rahooN har dam?
--------------------------
tu bhi to kabhi aa ke meraa haath bataaaye
kioN tere tasawwur se bahaltaa rahoN hardam

:haath` baTaaYe:-------------->: saath` nibh`aaYe: ?
-------------------------
maiN aabla pa hoN to mere hamsafar to bhi
dochaar qadam chal, ke maiN chaltaa rahoN hardam

dekh`iYe ke :hamsafar: se :too: par intiqaal (transition) kh`aTak rahaa hai aur rawaanee majrooH ho rahee hai. yooN keh sakte haiN:

maiN aablah-paa hooN, kabh`ee too bh`ee to mire saath`
do chaar qadam chal, keh maiN chaltaa rahooN har dam!
-----------------------------
mahtaab sar e shaam nikaltaa hoN maiN ghar se
haN shamma nahi hoN ke pighaltaa rahoN hardam

yahaaN mujh` ko donoN miSro'N kaa rabt^ samajh` meN naheeN aayaa. agar shama' kaa pigh`alnaa buraa hai to mehtaab bh`ee to Doob jaataa hai! aap ke hee Khayaal kee ek Soorat yooN ho saktee hai.

"Mehtab" hooN aur jalwah-t^araazee hai miraa kaam!
maiN shama' naheeN hooN keh pigh`altaa rahooN har dam!
=======================
Khudaa-raa in ma'rooZ^aat ko siwaaYe :fikr ba-aawaaz-e-baland: kuch` aur nah samajh`iYe gaa! aap ke Khayaalaat kaa intizaar rahe gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Mohatram Sarwar Raz sahib ,tasleemat
bila shuba aapki mushfiqaana raye aur mashware mere lye bhi utne hi qeemti hain jitne aapke telamiza ke lye hote hoNge. bahut hausla milta hai jab koi kuhna mashq sukhanwar apni raye deta hai meri kisi nigarish par. behad mamnoon hoN aapki daad o sitayesh ka.

matle mai aapki raye pasand ai,inshallah aise hi karoNga

dosre sher aapka mashwara bahut khoob magar mere sher ki shinakht maar kharahi hai islye tarmeem mushkil hai.

teesre sher ke baare mai aapne jo kaha ke jafaa ko wafaa se badal kar dekhoN waqai zaban ka lutf de rehi hai ye tabdeeli, shukria huzoor.(waise jafaa ko wafaa se badalna aasan nahi:) ).

chotha sher jo aapne tahreer kia bahut khoobsurat hai, magar mera khyal bilkul mukhtalif hai . main jo kahna chahta hoN vo usi andaaz mai ziada wazeh dikhai deta hai.

paNchwein sher aapka dia huva misra khoob hai magar mera maafiuzzameer ada nahi ho raha hai .

chay no.ke sher mai zmufti ki yaaddihaani par mai daman ko anchal se badal raha hoN. aapke sher ka mazmoon bilkul mukhtalif hai.

saatweiN tarmeem bhi manzoor hai. shukria

aapki raye bahut umda hai. magar humsafar ka apna lutf hai.islye tabdeeli naguzeer nahi.

Maqta mai aapka misra ziaada jaandar hai magar rabt ye hai ke ,mahtab sar e shaam tulu hota hai , subh ghuroob hota hai , zindagi ke asaar dikhaii dete hain. jabke shamma sirf pighal pighal kar apni zaat ko fana ki taraf le jaati hai.

aapke naqd o basar ka mashkoor hoN.
Mahtab Qadr

Posted: Thu Apr 14, 2005 12:54 pm
by Sarwar A. Raz
muHibbee Mehtab SaaHeb:aadaab!

jawaab kaa shukriyah. aap ko to i'lm hee hai keh mujh` ko :ustaadee: kaa koyee da'wah naheeN hai aur isee liYe mere :talaamiZah: naa-paid-o-mafqood haiN! is Husn-e-z^an kaa shukriyah!

meree raaYe Sirf ek raaYe hai. aap ko mukammal Haq hai keh jo chaaheN apnaaYeN aur nah chaaheN to mustarad kar deN. tabaadilah-e-Khayaal Z^arooree hai aur yehee in teHreeroN kaa maqSad bh`ee hai.

aaKhir meN a'rZ^ hai keh meree tajaaweez ke Hawaale se aap mere :mashkoor: naheeN ho sakte haiN! albattah :shukr-guZaar: Z^aroor ho sakte haiN!

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Posted: Thu Apr 14, 2005 12:59 pm
by Hashmat Usmani
salaam Mahtab saaHib,

aapkaa taaza ba taazah kalaam paRh kar bahot lutf aayaa aur aapkii aur janaab e Sarwar saaHib kii guftugu se mujhe bahot kuchh seekhne ka mauq'a mila. sach to yeh hai ki aapkaa kalaam mujhe bahot pasand aayaa hamesha kii taraH. saare she'r bahot Khoob haiN. shukria.

Hashmat

Posted: Thu Apr 14, 2005 11:39 pm
by Mahtab Qadr
Hashmat Usmani wrote:salaam Mahtab saaHib,

aapkaa taaza ba taazah kalaam paRh kar bahot lutf aayaa aur aapkii aur janaab e Sarwar saaHib kii guftugu se mujhe bahot kuchh seekhne ka mauq'a mila. sach to yeh hai ki aapkaa kalaam mujhe bahot pasand aayaa hamesha kii taraH. saare she'r bahot Khoob haiN. shukria.

Hashmat
w.salaam Hashmat sahib ,inayat hai aaapki aur zarra nawazi hai ke aapne isqadar walihana andaaz mai daad di.

Re: kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

Posted: Wed Apr 20, 2005 12:36 pm
by Mahtab Qadr
sara_j wrote:mahtab saahib,

adaab arz hai.

aapki taaza ghazal pasand aayi. sabhi ashaar bohat khoob hain!

lekin itni nadamat ke jis tarah dhaalo tou aap taiyyar hain dhalne ko :-)

ghazal aprhte hue muskuraati rahi.

sab hi ashaar bohat pasand aaye daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara

sara ji aap ki daad aur mubarakbad donoN qubool ki :) waise aapne likha haike mai kafi compromising nazar aaraha hoN is ghazal mai , halaNke kisi aur sathi ne to is ghazal ko 'maghroor' ghazal ka naad dia hai, ab kis ki bat ka yaqeen karoN. baharhaal shukria
Mahtab Qadr
Mahtab Qadr wrote:Aik Taaza Ghazal pesh khidmat hai apni aara aur naqd o basar se nawaaziye
Mahtab Qadr

jis roop mai tu chaahe maiN dhaltaa rahoN hardam?
mousam to nahi hoN ke badaltaa rahoN hardam!

jis cheez ko jee chaahe uthaaloN na kioN barhkar
kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

tujhko bhi khyaal aaye kabhi apni wafaa ka
kioN raah e waaf per yoNhi chaltaa rahoN hardam

mujhko bhi khushi ho kabhi apne hi kiye par
maiN kioN kaf e afsoos hi maltaa rahoN hardam

ek bazm e tarab mai, maiN kisi shookh haseeN ka
aNchal to nahi hoN ke jo dhaltaa rahoN hardam

tu bhi to kabhi aa ke meraa saath nibhaaye
kioN tere tasawwur se bahaltaa rahoN hardam

maiN aabla pa hoN to mere hamsafar to bhi
dochaar qadam chal, ke maiN chaltaa rahoN hardam

mahtaab sar e shaam nikaltaa hoN maiN ghar se
haN shamma nahi hoN ke pighaltaa rahoN hardam

_________________

Re: kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

Posted: Sat Apr 23, 2005 9:42 am
by Mahtab Qadr
najm wrote:
Mahtab Qadr wrote:Aik Taaza Ghazal pesh khidmat hai apni aara aur naqd o basar se nawaaziye
Mahtab Qadr

jis roop mai tu chaahe maiN dhaltaa rahoN hardam?
mousam to nahi hoN ke badaltaa rahoN hardam!

jis cheez ko jee chaahe uthaaloN na kioN barhkar
kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

tujhko bhi khyaal aaye kabhi apni wafaa ka
kioN raah e waaf per yoNhi chaltaa rahoN hardam

mujhko bhi khushi ho kabhi apne hi kiye par
maiN kioN kaf e afsoos hi maltaa rahoN hardam

ek bazm e tarab mai, maiN kisi shookh haseeN ka
aNchal to nahi hoN ke jo dhaltaa rahoN hardam

tu bhi to kabhi aa ke meraa saath nibhaaye
kioN tere tasawwur se bahaltaa rahoN hardam

maiN aabla pa hoN to mere hamsafar to bhi
dochaar qadam chal, ke maiN chaltaa rahoN hardam

mahtaab sar e shaam nikaltaa hoN maiN ghar se
haN shamma nahi hoN ke pighaltaa rahoN hardam

_________________

Mahtab SaaHeb, meri taraf se is haseen ghazal par daad qubool farmaaYeN.
Niazmand,
Najm
Najm sahib inayatoN aur daad ka shukria

Mahtab Qadr