Page 1 of 1
Shikast-e-jaam se pehle
Posted: Mon Dec 20, 2004 3:53 am
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,
Yaraan-e-meHfil, aadaab !
kal ghuroob-e-shaam ka manzar dekh kar achanak do she'ar hogaye , to socha kyoN na aap k saath share karoN :D . umeed hai k pasand aayeNge. shukriya
1. Na bujhne do, kabhi rindo ! chiraagh-e-bazm-e-maikhaana
Agar doobe, yeh dil meraa, ghuroob-e-shaam se pehle
2. Na phir maiN hosh maiN aaoN qayaamat tak, mire saaqi
Pilaa meenaa, mujhe itnaa, shikast-e-jaam se pehle 8)
MokhliS : Zia Baloch
Posted: Mon Dec 20, 2004 5:31 am
by Hashmat Usmani
salaam moHtaramii Zia saaHib,
subHaan Allah, waah waah, marHaba, kia kahne! mukarrar irshaad [kaash kah paataa!]. Zia saaHib aapne shaam luuT lii, yaqeen jaaniye. maiN ise apne Haafize meN maHfooz karne ke jatan kar rahaa huuN. bahot Khoob Huzoor-e-waalaa bahot Khoob. pahlaa she'r uff taubaa kia Khayaal pesh kiya hai, iimaan se sadqe jaauuN. aur bhai saaHib dusra she'r bhi pahle waale se kisii soorat kam nahiiN balki savaa hii hogaa. kaash aap aise manaazir aur dekheN aur hameN aur ash'aar se maHzooz karvaayeN. mubaarkaaN janaab mubaarkaaN.
faqat aHqar,
Hashmat
Posted: Mon Dec 20, 2004 6:34 pm
by Star Mind
Hashmat Usmani wrote:salaam moHtaramii Zia saaHib,
subHaan Allah, waah waah, marHaba, kia kahne! mukarrar irshaad [kaash kah paataa!]. Zia saaHib aapne shaam luuT lii, yaqeen jaaniye. maiN ise apne Haafize meN maHfooz karne ke jatan kar rahaa huuN. bahot Khoob Huzoor-e-waalaa bahot Khoob. pahlaa she'r uff taubaa kia Khayaal pesh kiya hai, iimaan se sadqe jaauuN. aur bhai saaHib dusra she'r bhi pahle waale se kisii soorat kam nahiiN balki savaa hii hogaa. kaash aap aise manaazir aur dekheN aur hameN aur ash'aar se maHzooz karvaayeN. mubaarkaaN janaab mubaarkaaN.
faqat aHqar,
Hashmat
W/Salaam ,
Hashmat bhai, aap ne to mujhey aasmaan par chaRadiya
maiN is qaabil kahaaN huzoor? aap to hamesha mujhey sharmindah karte haiN , itni ta'areef kar k . kaheN esa na ho k maiN khud ko real maiN esa hi samjhoN . bahut bahut shukriya Hashmat bhai. umeed hai k aaindah bhi HoSla-afzaai farmaate raheNge. :D
Manazir to ham roz dekhte haiN huzoor, magar kabhi kabhi Shairi ki deevi ji bhi saath hoti haiN . bahut bahut shukriya
MokhliS : Zia Baloch
Re: Shikast-e-jaam se pehle
Posted: Fri Dec 31, 2004 9:14 am
by Shummu
Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,
Yaraan-e-meHfil, aadaab !
kal ghuroob-e-shaam ka manzar dekh kar achanak do she'ar hogaye , to socha kyoN na aap k saath share karoN :D . umeed hai k pasand aayeNge. shukriya
1. Na bujhne do, kabhi rindo ! chiraagh-e-bazm-e-maikhaana
Agar doobe, yeh dil meraa, ghuroob-e-shaam se pehle
2. Na phir maiN hosh maiN aaoN qayaamat tak, mire saaqi
Pilaa meenaa, mujhe itnaa, shikast-e-jaam se pehle 8)
MokhliS : Zia Baloch
Wah Wah Wahhhhhhhhhh Zia sahab..kya kehna...bahut khoob andaaz-e-bayaan aur khoob mazaameen ko sheroN mein Dhaalne mein aap to maahir ho chale hain....iin do ashaar pe daad qubool farmaayein aur Allah akre zor-e-qalam aur ziyaada!! :)
Shumaila