Page 1 of 1
Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN......................
Posted: Thu Apr 14, 2005 3:12 pm
by jawaid badauni
G H A Z A L
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
Kya mila hai jo ab milega tujhe
Ai falak bijliyaN giraane se
Har taraf se GhamoN ne gher liya
Hum jo nikle sharaab Khane se
Ban kar aate haiN aslihah saare
Amn waloN ke kaarKhane se
BaRh gaya ahl-e fun se yarana
"Urdubandhan" meN aane jane se
MaiN hooN ik zaat-e jawidaaN "Jawaid"
Khaak miT paooNga miTane se
------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Posted: Thu Apr 14, 2005 8:53 pm
by Anis Hasan
jawaid badauni wrote:
G H A Z A L
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaan ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
Kya mila hai jo ab milega tujhe
Ai falak bijliyaN giraane se
Har taraf se GhamoN ne gher liya
Hum ji nikle sharaab Khane se
Ban kar aate haiN aslihah saare
Amn waloN ke kaarKhane se
BaRh gaya ahl-e fun se yarana
"Urdubandhan" meN aane jane se
MaiN hooN ik zaat-e jawidaaN "Jawaid"
Khaak miT paooNga miTane se
------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
Wah wah Jawaid bhai kiya khubsurat ghazal likhi hai aap nay aur hamaisha ki tarah is ghazal main bhi husn-e-kalam kay saath saath sochnay aur samajhnya kay liyay bhi buhat kuch hai. Meri jaanib say bharpoor daad qabool kijiyay.
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Posted: Thu Apr 14, 2005 10:33 pm
by najma
jawaid badauni wrote:
G H A Z A L
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaan ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
Kya mila hai jo ab milega tujhe
Ai falak bijliyaN giraane se
Har taraf se GhamoN ne gher liya
Hum ji nikle sharaab Khane se
Ban kar aate haiN aslihah saare
Amn waloN ke kaarKhane se
BaRh gaya ahl-e fun se yarana
"Urdubandhan" meN aane jane se
MaiN hooN ik zaat-e jawidaaN "Jawaid"
Khaak miT paooNga miTane se
------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
janab j.badayuuni sahib
bohat umdah kalaam ataa kiya hay aap ne.mubarak aur daad qubool kijiye
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Posted: Sat Apr 16, 2005 6:10 pm
by Ameen Asim
Assalam o Alaikum
janaab-e-Jawaid Badauni sahib
aap ki ghazal parri, achchi ghazal hay,
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
qatl====== aur dil dukhana
mairay khayaal meiN , ,,,,,,, dil say jaan qimti hay,,,, dil ka kia hay, yeh to roz toot'ta aur jurrta rehta hay,
bas shair logooN nay dil ko sar pe charra rakha hay,
yooN hi dil say kuch khhafa hooN aaj, iss liyay keh raha hooN, warna meiN bhi shair hooN,
mairi taraf say dili daad qabool kijiay
Wassalam,
Ameen Asim
Posted: Mon Apr 18, 2005 8:12 am
by Ibn-e-siddique
Jawaid saHib:
salaam arz hai
janaab aap ki ye ghazal hameN pasand aayee
khaaksaar sirf daad hi pesh kar sakta hai, voh qubool farmaa lijiye
amjad
Posted: Mon Apr 18, 2005 3:19 pm
by jawaid badauni
Dosto ! Salam qubool kijiye
Main un tamam members ka marhoon-e minnat hooN jinhoN ne meri Ghazal per "reply" bheje aur ashAAr ki pazeeraaii bhi farmayee.
MaiN aajkal salana ruKhsat per apne watan-e azeez meN hooN. YahaN Internet ki raftaar bahut bahut sust hai. Yehee sabab hai ke fardan fardan shukriya adaa karne ki bajye ek mushtarakah paiGham bhej raha hooN. Ummid hia nagaware Khatir na hoga.
Ek baar phir aap sub ka bahut bahut shukriya.
Mukhlis,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
Posted: Mon Apr 18, 2005 3:31 pm
by najma
aap ki itnii haseen maa,zrat hamare sir aankhoN par.
dua hay keh aap apni chuttiyaaN enjoy kareN.
khair andesh
najma
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Posted: Mon Apr 18, 2005 8:06 pm
by naheedv
janaab Jawaid saahab,
aadaab,
aap kee ghazal paRhee aur pasaNd aayee, daad qubool kijiye!
agar aap ijaazat deN tau 2 baateN kehnaa chaahooN gee jo aap kee ye paRhte huve mere zehn meN aayeeN.
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
aap kaa ye she'r kuch ajeeb tarz kaa mehsoos huvaa hai. aap ke nazdeek insaan kee ehmiyat kuch' naheeN hai aur uss ke "dil" kee hai, ye baat maiN samajhne se qaaSir rahi.
hameN insaan hone ke naate apne ehsaasaat par tau qaaboo hai, magar insaani jaan chale jaaye tau hum usey vaapis laane meN mukhtaar naheeN haiN. mere nazdeek aap kaa ye she'r khayaal ke havaale se islaah chaahataa hai. agar naheeN tau aap iss kee tashreeh kar dijiye taa ke maiN apne khayaal kee islaah kar sakooN.
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
aap kee tazmeen kaa she'r samajh naheeN aa sakaa hai, agar aap is par thoRee roshni Daal sakeN tau mamnoon hooN gee.
umeed kartee hooN ke meree koyee baat naa.gavaar naheeN guzree ho gee.
mukhliS
Naheed
Bahut khoob waah waah
Posted: Thu Apr 21, 2005 3:03 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaram
Jawaid Badaayunii Saahib,
============
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki yeh TaraHi ghazal bahut pasand aayii. Saare ashAar bahut khoob heiN mashaallah. Aapki shayeri kii khaasiyat yeh ke akcar aapki ghazlaoN meiN koii nah koii paigham houtaa hei jo unkii manaviyyat ko char chand lagaadetaa hei.
Khaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/u]
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Posted: Thu Jun 02, 2005 11:18 am
by Anmol
jawaid badauni wrote:
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Adaab, Jawaid Sahib!
Aap ki taraHee ghazal bohot pasand aayi, daad aur mubarakbaad pesh hay.
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Posted: Thu Jun 02, 2005 12:30 pm
by jawaid badauni
Anmol wrote:jawaid badauni wrote:
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Adaab, Jawaid Sahib!
Aap ki taraHee ghazal bohot pasand aayi, daad aur mubarakbaad pesh hay.
Bahut bahut shukriya Anmol SahibaH
Mukhlis
Jawaid