Page 1 of 1

Sang Dil Aasmaan Kitna Hay (Ghazal)

Posted: Thu Apr 14, 2005 6:50 pm
by Ameen Asim
Assalam o Alaikum

Aap Ahbaab Ki Khidmat meN Aik Ghazal Paish hay, kuchh dostooN nay pehlay bhi parri ho gi,

Wassalam
Ameen Asim

Posted: Thu Apr 14, 2005 8:42 pm
by najma
ameen asim sahib!
bohat hi khoob ghazal kahii hay aapne.khayalaat ko bohat khoob baandha hay.ese kalaam paRh kar bohat acha lagta hay.allaah kare zor-e-qalam aur ziyadah
bhar-pur daad quboolo kijiye
:-)

Posted: Thu Apr 14, 2005 10:10 pm
by Hashmat Usmani
salaam "Aasim saaHib,

aapkii Ghazal paRhii aur bahot lutf_andoz huaa. bahot umda Ghazal kahii hai aapne. merii jaanib se DheroN mubaaraak_baad aur daad qubool farmaaiye. subHaan Allah. waah waah waah! masha Allah. sabhii ash'aar umda aur 'aalaa haiN.

Hashmat

Posted: Sun Apr 17, 2005 6:27 am
by Ibn-e-siddique
sochta hooN ke khud mire Haq meiN
mera apna bayaan kitna hai


vaah, asim saHib, bahot khoob ghazal hai, taqreeban tamaam ash'aar pasand aaye,

daad qubool kijiye

amjad

Re: Sang Dil Aasmaan Kitna Hay (Ghazal)

Posted: Mon Apr 18, 2005 7:52 am
by Mahtab Qadr
Ameen Asim wrote:Assalam o Alaikum

Aap Ahbaab Ki Khidmat meN Aik Ghazal Paish hay, kuchh dostooN nay pehlay bhi parri ho gi,

Wassalam
Ameen Asim
Ameen Asim sahib is choti baher mai itni khoobsurat ghazal kahna yaqeenan aap ke kuhnamashqi aur qudrat e kalam ki daleel hai. behad pasand aai aapki Ghazal aur uski zameen bhi. her sher shandaar hai.

maqta khas taur se bahut acha lagaa.
Mahtab Qadr

Posted: Mon Apr 18, 2005 11:12 am
by waqar_masood
ameen asim sahib

kamal ki ghazal hay janab, parh ker dil bagh bagh ho gia, is qadar khubsoorat takhleeq per meri janib say daad wusool kejay ,

niaz mand

waqar masood

Posted: Wed Apr 20, 2005 2:09 pm
by Sarwar A. Raz
mukarramee Asim SaaHeb: aadaab!

aaj yeh Ghazal naz^ar se guZree. Ghazal dilkash aur kaamyaab hai. daad HaaZ^ir hai. Sirf maqta' kaa doosraa miSra' maHall-e-naz^ar hai:

HauSileh meN chaTaan :kitnaa: hai

meraa Khayaal hai keh yeh miSra' behtaree chaahataa hai. aap ne :chaTaan: kee qaafiyah-paimaayee Z^aroor kee hai lekin miSra' Ghazal meN kh`ap naheeN rahaa hai. yooN aap maalik haiN!.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Wed Apr 20, 2005 8:13 pm
by rahmed25682
Salam Ameen sahab...

bohat bohat shukriya k aap nay itna achha kalaam share kia ..
waqai parh kar bara lutf aaya k khayalat aur alfaaz ka chunaao khoob hay..

Khush rahain

Khair andesh

Raheel Ahmed

Posted: Tue May 10, 2005 6:52 pm
by Ameen Asim
Assalam O Alaikum
Najma Sahiba, Hashmat Usmani Sahib, Ibn-e-Siddique sahib, Waqar Masood sahib, Mehtaab Qadr sahib, Sarwar Alam Raz Sahib aur Raheel Ahmed sahib

meN aap ahbaab ka dili shukr guzaar hooN ki aap nay mairi ghazal ko parra aur pasand kia , aur apni raay ka izhaar kia,

Janaab-e- Raz sahib, aap mairi rehnumaai farmaiyay, meN to barray shairooN aur barray shehrooN (citiess) say door aik chhotay say gaaon meiN reh kar shairi karta hooN, aur apnay khayalaat ko lafzi jaama pehnaanay ki koshish karta hooN, mairay yahaaN koi shair to darkanaar koi shehr sunanay wala bhi muyassar nahaiN ,
b'har haal aap ka shukria
Wassalm
Ameen Asim