Page 1 of 9
Lafz par Ashaar#7--" MAUSAM"
Posted: Fri Apr 15, 2005 10:02 am
by syed bilal armaan
is martaba unwan " MAUSAM" diya ja raha hai. agle 15 din'oun tak is unwan par app apne pasandida ashar likhein..(-BILAL)
Lijiye main yahan se shuruwaat karta hoon..
be mausam hi aankh'oun may bhar jate hain
ansoo bhi tou chalaki kar jate hain.
Posted: Fri Apr 15, 2005 10:24 am
by najma
sard mausim meiN kaheeN saaNs na jamne paey
jism ke khol meiN ik shola, sadaa ka rakhna
Posted: Sat Apr 16, 2005 12:16 am
by Hashmat Usmani
phir se mausam bahaaroN kaa aane ko hai
phir se rangiiN zamaanaa badal jaayegaa
ab kii bazm-e-charaaGaaN sajaa leNge ham
yeh bhii armaaN dil kaa nikal jaayegaa
Zahid
Posted: Sat Apr 16, 2005 12:29 am
by najma
samaaN ho khushi ka, ya Gham ka ho mausim
ham apna fasanah sunate raheNgay
najma
Posted: Sun Apr 17, 2005 6:33 am
by Ibn-e-siddique
zard mausam ko na raas aayee, bahaaroN ki dua
abr aaye bhi to sailaab ki soorat aaye
Posted: Sun Apr 17, 2005 2:53 pm
by najma
noch le shaakh-e-shajar ka pair,han jis dam khizaaN
mausamoN ki phir siyasat meiN aTak jaatii hay shaakh
najma
mausam
Posted: Sun Apr 17, 2005 5:07 pm
by Abdullah Nazir
iltifaat bhii kam hei, mujh se baat bhii kam hei
kiyuN badal gayaa mere ghamgusaar kaa mausam.
Nazir.
Posted: Sun Apr 17, 2005 11:06 pm
by najma
rut na badle, to bhi afsurdah shajar lagta hay
aur mausim ke taGhayyur se bhi Dar lagta hay
Posted: Mon Apr 18, 2005 12:42 am
by Hashmat Usmani
maan mausam kaa kahaa, chhaaii ghaTaa, jaam uThaa
aag se aag bujhaa, phuul khilaa, jaam uThaa
Bashiir Badr
"mausam"
Posted: Mon Apr 18, 2005 11:42 am
by Abdullah Nazir
mausamaoN kii tabdeeli hei mizaaj meiN tere
aur mere dil meiN hei sirf piyaar kaa mausam.
Nazir.
Posted: Mon Apr 18, 2005 1:08 pm
by syed bilal armaan
kiya us ne hamara naam liya , kiya us ne hume kabhi yaad kiya
aane wale tou hi bata de pyaar ke mausam kaise hain ...
Posted: Mon Apr 18, 2005 2:43 pm
by najma
GhunchoN ka naaz, gul ki haya bech,te rahay
kya kya na mausimoN ke khuda, bech,te rahay
nafis ahmad siddiqui
Posted: Tue Apr 19, 2005 1:54 am
by najma
mausim-e-gul meiN, girftaar-e-bahaar!
phaR,phaRa kar jashn-e-aazaadii manaa
yaa salasil toR kar bahar nikal!
jashn se phir jashn-e-aazaadii namaa
rabia siddiqui sham,a
"mausam"
Posted: Wed Apr 20, 2005 5:33 am
by Abdullah Nazir
mausam-e-gul hou, gulistaaN meiN baham saath chaleN
Aur tum mujh se ye poocho keh maiN kyaa chaahtaa hooN
Nazir.
Posted: Thu Apr 21, 2005 12:26 am
by Hashmat Usmani
majbuurii ke mausam meN bhii jiinaa paRtaa hai
thoRaa saa samjhautaa, jaanam! karnaa paRtaa hai
Zafar Gorakhpuri