anta_aksharii...gaanoN kii bait_baazii
Posted: Sat Apr 16, 2005 12:49 am
salaam dosto,
ham she'roN kii bait_baazii ka khel to khel hii rahe haiN, lihaaza sochaa ki ab ek laRii gaanoN kii bait_baazii [anta_aksharii: ant=end; akshar=Harf] kheli jaaye. kia Khayaal hai? aap Indian ya Pakistanii filmoN ke gaane QOUTE kar sakte haiN. THEEK?
maiN ne yeh baat NOTE kii hai ki jis qism kii "bait-baazii" kaa khel ham khel rahe haiN us meN urdu ke Huroof-e-tahajjii iste'maal karte haiN...yeh baat hai to munaasib magar is meN ek mushkil dar_pesh aatii hai...aur vo yeh hai ki hamaare diye gaye she'roN kaa Khaatima chand Huroof par hii hote haiN, masalan YE, ALIF, NOON, HE [majhoola] aur kisi Had tak VAAO, is taraH khel meN dil_chaspii baaqii nahiiN rahtii.
is noqs ko raf'a karne ke liye maiN ne ek tarkeeb sochii hai. aur vo tarkeeb hai:
she'r ke jawaab meN aap jo bhii she'r deNge vo AAKHRI lafz ke AAKHIRI Harf se shur'uu hone ke bajaaye she'r ke PAHLE lafz ke PAHLE Harf se shur'uu hogaa, masalan:
she'r:
kia se kia ho gaya, be_vafaa! tere pyaar meN
chaahaa kia, kia milaa! be_vafaa! tere pyaar meN
ab agla she'r diye gaye she'r ke aaKhirii lafz ke aaKhirii Harf Harf-e-"NOON" se shur'u hone ke bajaaye she'r ke pahle lafz ke pahle Harf se shur'u hogaa. ya'nii Harf-e-"KAAF". Theek?
so, lets get ROLLING:
pahle gaane ke bol haiN:
aane se uske aaye bahaar
jaane se uske jaaye bahaar
baRi mastaanii hai merii meHbooba
merii zindagaanii hai merii meHbooba
gulukaar: MoHammad Raf'ii
film: Jeene Kii Raah
agla naGhma Harf-e- "ALIF" se marHamat farmaayeN. shukria