Page 1 of 1

Posted: Wed Apr 20, 2005 2:00 pm
by Sarwar A. Raz
muHibbee Najm SaaHeb: aadaab!

aap kee Ghazal dekh`ee. mufaSSil tabSirah is kee takmeel par likh`ooN gaa. is waqt Sirf :raseed: dene chalaa aayaa! mujh` ko Ghazal meN KhaaSah ibhaam aur ishkaal dikh`aayee diyaa. Ghazal mukammal karte waqt agar aap asha'ar kee ma'naviyyat aur us ke muKhtalif ajzaa ke baahamee rabt^ par ek aur naz^ar Daal leN to behtar ho gaa. aap kee is koshish se masarrat huyee. albattah is par eHbaab kee Khaamoshee se isee qadar Hairat bh`ee huyee! Khudaa jaane log apnee sochee samjh`ee raaYe dene se kyoN bh`aagte haiN! Khair, mukammal Ghazal kaa intiz^aar rahe gaa.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Re: Hasrat-e-izhaar ka lut^f!

Posted: Sat Apr 23, 2005 4:57 am
by Raji
najm wrote:Sara SaaHeba, salam arz kiya chaahta hooN. Ye Ghazal Sawar SaaHeb ko hidiYa-e-a'qeedat pesh karnaYe ki liYe kahii hai. Haq to Ye hai k Haq adaa na hovaa! woh SaaHeb-e-fann haiN aur kehaaN maiN ghareeb. koshish kii thii k Ye dard-e-aam ba-rang-e-KhaaS laikar aa'ooN.... khoshish ki hai aur HaaSil ba-juz Hastrat-e-izhaar kuch bhi naheeN... Ye Ghazal abhi natamaam hai.... chaNd aek aur khayaal zehn meN haiN dekheN seena-e-Qirtaas pae utreiN!

merii sarisht meiN hai k kaNtaYe chun kar phool dosroN ki liYe choR daita hooN. :grin: aap ne is waadiY-e-pur.Khaar meiN qadam rukh kar merii adna kavish ki pazeeraaii ki jis k liYe dilii tor par aap ka mamnoon hooN
Sara sis kyaa aap ko yeh jawab samajh meN aaya :lol:

Bahut achchikaawish per mubarakbad

Posted: Sun Apr 24, 2005 4:49 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaram
Najm Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houii. Bahut hii kaamyaab koushish hei jis per meri daadaur mubaarakbaad Haazir hei.

Saara Saahibah aur Raji Saahibah kii comments aur aapke javaabaat paRhne se aapkii apni istiqaamat dekhkar maiN behad mutssirhouaa.

Sarwar Saahib ne shikwah kiyaa thaa ke kisii ne bhii koii haqeeqi tabsirah nahiN kiyaahei. Is maiN muntazir thaa ke unki giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milegaa. Lekin abhi tak unkii navaazishnahiN houii hei.

Dobaar daad aur mubaarakbaad haazirhei.



Aapka Mukhlis,
Nazir.