Page 1 of 1

moHtaram Shaam-e-be_nawaa saaHib ko Khush-aamded!

Posted: Mon Dec 20, 2004 7:16 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

aaj hamaare darmiyaan moHtaram janaab-e-"Shaam-e-be_Nawaa" saaHib tashreef le aaye haiN. aaiye ham janaab-e-waalaa ka pur_zor isteqbaal kareN.


[h2][rainbow]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman[/h2][/rainbow]

Shaam bhaaii ko ham meN se bahot se aHbaab pahle se hii jaante haiN magar un logoN ke liye jo mausoof se waaqif nahiiN haiN, bas itnaa kahuuNga ki aap urdu ke maaya-e-naaz shaKhsiyat haiN. aap kisi ta'arruf ke mohtaaj nahiiN haiN. is site ke jo sutoon haiN ilm o adab ke un men se aap ek haiN. urdu kii baRi Khidmat karte haiN aur hamaarii Khush qismati hai ki vo hamaarii meHfil meN tashreef laaye. shukria shaam bhaaii.

ummeed hai ki aap aate jaate raheNge aur apnii nigaarishaat se navaazte raheNge aur ham nau-sikkhiyoN kii Hasalah_afzaaii aur reh_numaaii kii kaar_kardagii farmaate raheNge.

faqat aHqar,

Hashmmat

yeah kiss ka zikr hai ?

Posted: Mon Dec 20, 2004 8:43 am
by shaheen
Mohtaram Hashmat bhaee
tasleem

Mohtaram
App nay yeah kiss ka raaruf karwaya hai -- ( mera to har giz nahee) k
MAN AANAM K MAN DANUM

zubana e urdu ka aik adna sa kahdim to main bay shak hooN k
Baqol e hzt shayer dehlavi
ham hi moojid e baab e fasahat hazrat e shayer
zamana seekhta hai hum say hum WOH DILLI walay hain
Tau mohtaram kiyunkay hum bhi dilli walay hain issi nisbat say hameN khadim e urdu to kaha jasakta hai.
baqi un tamam jazbaat o ehsaasat ko main aap ki mohabbat say to taa'beer kar sakta hoon ( ya shayerana taa'li say) lekin mera woh muqam bahar haal nahee.
Main URDUBANDHAN K arbaab e hall o qad KO MUBARKBAD Paish karta hoon aur saath hi shukr guzaar bhi hooN k aik site zuban e urdu ki khidmat aur ahaliyaan e urdu zubaan ki tashnagi ki taskeen k liyay wujood main layay.
Meri dua hai k yeah qabool e khaas o aam ho aur ahbaab e urdu ko mustafeez ( zaal say) aur mutafeez ( zuad say) karay.

wassalam

sham e be nawaa
aik ruswaa

Posted: Mon Dec 20, 2004 9:38 am
by riaz ahmed saraa
Janaab Sham-e-Benawaa SaHib

aadaab

aap ko bazm meiN khush aameed kehtaa huN aur ummeed hai k aap se hamaiN bohat kuchch seekhne to mile gaa

riaz

Posted: Mon Dec 20, 2004 12:27 pm
by Shummu
Assalam-o-alaikum Shaam Bhai!

Kaise hain aap? Ek arse baad aap ko dekh kar bahut khushi hui..hum bhi aap ka tah-e-dil se istaqbaal karte hain is nayi anjuman mein..ummeed hai aap aate jaate rahenge :D

Shumaila

Posted: Mon Dec 20, 2004 1:26 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

MoHtarami Shaam-e-benawaa SaaHib,

Ham aap ko is meHfil maiN tah-e-dil se khush-aamadeed kehte haiN , aur umeed karte haiN k aap k aane se hamari shaameN be-nawaa nahiN hoNge , balke naghma-saraa hoNge :wink: . shukriya.

MokhliS : Zia Baloch

KHUSH AAMADED

Posted: Thu Dec 30, 2004 1:43 pm
by Abdullah Nazir

Muhtarami
SHAM-E-BENAWA Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat aur aapki apni site per tah-e-dil se khushaamaded.



Urdubandhan meiN tou ham aap ko hamaishah hii pahli saf meiN dekhte aaye heiN is liye hamari khushi dobaalaa hougaii ke aapka dast-e-shafqat hamaare siraoN per hei. Aapka kehnaa bilkul bajaa hei keh Urdu ke taAlluq se Dilli ke ilm o fazl kaa kaun moAtarif nahiN. Aaj tak bhii Dilli waalaoN ne urdu kii khidmat meiN koiee kami nahiN kii. Unki rehumaayi aur teHqeeqaat ne zubaan kii aan baan baaqi rakkhi hei.

MaiN dobaarah aapkaa shukriyah adaa kartaa hooN ke yahaaN aakar ham khaadiman-e-Urdu kii hauslah afzaayi farmaayi.


Aapka Mukhlis,

Nazir.