Sarwar Raz wrote:muHtarimah Najma SaaHebah: aadaab!
Ghazal par apnee naacheez ma'rooZ^aat pesh karne aayaa to dekh`aa keh us par kaafee a'alimaanah beHc pehle hee ho chukee hai. lekin chooN.k maiN likh` hee chukaa th`aa is liYe us meN munaasib tabdeeliyon ke ba'd do ek baateN a'rZ^ karne meN koyee harj naheeN ma'loom hotaa hai. ek mushkil yeh hai keh ap aap kee Ghazal naz^ar naheeN aa rahee hai! achh`aa huwaa keh maiN ne pehle hee likh` lee th`ee. to ijaazat?
-------------------------
mire dil kee dh`aRkanoN se tiraa Gham hai aashkaaraa
keh yehee Gham-e-muqaddas mire dil kaa hai sahaaraa
mujh` ko "Gham-e-muqaddas" kee tarkeeb a'jeeb see lagee. lekin yeh meree raaYe hai, aur kuch` naheeN. :mire dil: kee takraar bh`ee Ghair-Z^arooree lagee. yooN kar ke dekh` leN?
dukh`e dil kee dh`aRkanoN se tiraa Gham hai aashkaaraa
tiraa Gham hee reh gayaa hai mire dil kaa ik sahaaraa
========mujhe aap se ittifaaq hay aur ab maiN yehi tarkeeb rakhooN gii jo mujhe ziyada pasand bhii aaee hay========
----------------------------
woh agar milaa bh`ee mujh` ko to yeh kaisee be-basee hai?
nah majaal-e-guftgoo hai nah sukoot kaa hee yaaraa
achh`aa Khayaal hai. agar bandish chust kar dee jaaYe to shaayad behtar ho jaaYe?
woh milaa bh`ee gar to kyaa hai? miree bebasee to dekh`o!
nah majaal-e-guftgoo hai nah sukoot kaa hee yaaraa
=========waaaaah, bohat khoob
yahaaN to she,r ko husn milgaya hay .bohat khoob!aap ki raey sir aaNkhoN par======
----------------------------
kayee raNg meN numaayaaN huwaa shaahid-e-Haqeeqat
kabhee ---------------------
aap :shaahid-e-Haqeeqee: to naheeN kehnaa chaahtee th`eeN? :shaahid-e-Haqeeqat: ya'nee kyaa?
======jee, yahaaN mujhe ''shahid-e-haqeeqat'' aur''haqeeqee meiN ma,nawii farq na to pehle mehsoos hua tha aur na hi ab hua.please aap hi raushni daaliye ga?
======
----------------------------------
#4: is she'r ne mujh` ko muta,accir naheeN kiyaa. ek naz^ar aur dekh lene meN harj naheeN hai.
--------------------------------
too naheeN to zindagaanee shab-e-taar hai keh jis meN
na fiZ^aa ---------------------
she'r achh`aa hai. daad qubool kareN. haaN, :shab-e-taar hai keh jis meN: ko :shab-e-taar ho gayee hai: kaheN to?
=====bohat beh,tar janaab!
aapka ye mashwara bhi mujhe bohat pasand aayaa hay.maiN esa hi karoongii.shukriya!
=====
---------------------------------
palaT aa bich`aRne waale keh bh`aRak rahaa hai kab se
mire jism ke qafas meN miree rooH kaa sharaaraa
is ko ek baar ph`ir dekh` leejiYe. ek to :palaT aa bich`aRne waale: ko :shaa,iraanah: banaane kee Z^aroorat hai. doosre kisee :qafas: meN :sharaarah: kaa bh`aRaknaa kabh`ee dekh`aa nah sunaa. bijlee bh`ee aashyaaneh par girtee hai, qafas par naheeN. mazeed yeh bh`ee qaabil-e-Ghaur hai keh agar :jism ke qafas: meN :rooH kaa sharaarah bh`aRak: bh`ee rahaa hai to meHbooh kee waapasee se kyaa ho gaa? sharaarah apnee fit^rat ke taqaaZ^eh se yaa to bujh` jaaYe gaa yaa aag ban jaaYe gaa aur qafas ko Khaak kar de gaa. donoN SooratoN meN aap ko koyee faa,idah naheeN ho gaa! ek nuktah aur hai keh sharaarah :bh`aRaktaa: naheeN hai. haaN :sho'lah: Z^aroor bh`aRaktaa hai. yaa maiN hee Ghalat^ee par hooN?
----------------------------
dam-e-ruKhSat apne dil kee kyaa a'jeeb kaifiyat th`ee
woh naz^ar kee iltijaaYeN keh nah bh`oolnaa Khudaa-raa
doosraa miSra' bohat kamzor hai. pehle meN :kyaa: ko :ik: kar denaa behtar hai jaisaa keh aap ne likh`aa hai. doosre ko yooN kar ke dekh`eN to kyaa harj hai?
dam-e-ruKhSat apne dil kee ik a'jeeb kaifiyat th`ee
miraa har nafas th`aa Hasrat, miree har naz^ar ishaaraa
-------------------------------
hai GhamoN ke tuNd t^oofaaN kee shinaawaree hee a'z^mat
woh kahaaN shaheed-e-a'z^mat jise mil gayaa kinaaraa?
baat a'jeeb see ho kar reh gayee hai. jo t^oofaan meN tair sake woh to a'z^eem hai aur jo usee t^oofaan se laR kar kinaare par poNhach jaaYe woh naheeN hai! HaaolaaN.k doosraa shaKhS pehle se kaheeN behtar hai! aap tashreeH kar deN to behtar ho gaa.
------------------------------
Ghazal dekh` kar jo Khayaalaat Zehn meN aaYe woh be-kam-o-kaast likh` rahaa hooN. lillaah inheN kisee qism kee :iSlaaH: se ta'beer nah keejiYe gaa. agar baat pasand naheeN hai yaa Ghalat^ hai to mustarad kar deN.
ek achh`ee koshish ke liYe daad!
Sarwar A. Raz :Sarwar: