Page 1 of 2
"phool khiltey hain muskaraney se" Tarhi ghazal
Posted: Fri Apr 22, 2005 8:29 pm
by zmufti
Aziz membran
meri kuch basat tou nahin magar phir bhi meri yeh kawish hazir hai aap ki aara ka intizar rahey ga
zmufti
unko fursat nahiN zamaney se
Hamko Sapney naye sajaney se
Wadi-I-khawab hi tou hai ke jahaN
”Phool khiltey haiN muskaraney se “
Aur barh jaye gi yeh ruswaai
Zakhm-e-dil aap ko dikhaney se
Dard ke is bayaaN se kiya hoga
Kuch bhee hasil nahiN sunaney se
Tu Sitamgar sahi magar phir bhi
Kia miley ga hameN rulaney se
Yaad-e-mazi tu lout ke mat aa
Baaz aa ja hameN sataney se
Bhool jaa ham khata shuaaron ko
Koi ja ke kehay zamanay se
ab tu Aajiz hee aa chukey hain hum
Dard kay boojh ko uthaney se
Posted: Sat Apr 23, 2005 12:09 am
by najma
zmufti sahiba
apki kosh achi hay.ise jaree rakhiye
mash rahay gii to taraqqi bhi karengaii.wazn ki kafii khamiyaaN haiN, lekin waqt ke saath door hojaeiNgii.bas asaatizah jo mashware deN, un par amal kar ke mashq jari rakhiye ga
daad qubool kijiye
Re: "phool khiltey hain muskaraney se" Tarhi ghaza
Posted: Sat Apr 23, 2005 12:16 am
by Hashmat Usmani
salaam Mufti saaHib,
ummeed hai ki apke mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
aapkii taraHii Ghazal paRh kar bahot lutf aayaa. aapkii musalsal Ghazal mujhe bahot bhaaii...aapne mazaameen ko achchhe andaaz meN Khayaal meN Dhaalaa hai. ek achchhi koshish thii aapkii. sabhii ash'aar munaasib haiN aur Khoob haiN magar zel ke ash'aar ziyaada pasand aaye:
Aur barh jaye gi yeh ruswaai
Zakhm-e-dil har eik ko dikhaney se
Dard ke bayaaN se kiya hoga bhala
Kuch bhi hasil nahiN sunaney se
Bhool bhi jaaye ham gham ke maroN ko
Koi ja ke keh bhi do zamanay se
teri Qasam ab tou Aajiz haiN hum
Dard kay boojh ko uthaney se
par, Huzoor e waalaa! maqt'a to nadaarad hai!
Hashmat
Posted: Sat Apr 23, 2005 5:34 am
by zmufti
Najma Jee,
Adab
Aap Ki raaye ka buhat shukria abhi wazn sahi karney nahin aye shayad maths kamzoor raha ho ya music sense kamzoor hai Aap ki hosla afzaai aur rahnumai donon darkar hein
dua go
zarqa
Posted: Sat Apr 23, 2005 5:41 am
by zmufti
Janab Usmani sahib
Adab
Aap ki hosla afzaai ka be had shukria Aap nay shayad ghour nahin kia aur mujhe doosri baar sahiba ki jagah sahib likh diya
Na janey kiyon mujhe aakhri sher ya maqta mein apna naam likhna acha nahin lagta aur shayad yeh intihai zarori bhi nahin
thanks again
dua go
zarqa
Re: "phool khiltey hain muskaraney se" Tarhi ghaza
Posted: Sat Apr 23, 2005 12:29 pm
by Mahtab Qadr
zarqa ji aapki koshish pasand aai , likhti rahiye
zmufti wrote:Aziz membran
meri kuch basat tou nahin magar phir bhi meri yeh kawish hazir hai aap ki aara ka intizar rahey ga
zmufti
Tumko fursat nahiN zamaney se
Hamko Sapney naye sajaney se
micl-e-jannat hai Wadi-I-khawab jahaN
”Phool khiltey haiN muskarney se “
Aur barh jaye gi yeh ruswaai
Zakhm-e-dil har eik ko dikhaney se
Dard ke bayaaN se kiya hoga bhala
Kuch bhi hasil nahiN sunaney se
Tu Sitamgar sahi magar phir bhi
Kia miley ga hameN rulaney se
Yaad-e-mazi tu lout ke mat aa
Baaz aa ja hameN sataney se
Bhool bhi jaaye ham gham ke maroN ko
Koi ja ke keh bhi do zamanay se
teri Qasam ab tou Aajiz haiN hum
Dard kay boojh ko uthaney se
Re: "phool khiltey hain muskaraney se" Tarhi ghaza
Posted: Sat Apr 23, 2005 9:40 pm
by Anis Hasan
zmufti wrote:Aziz membran
meri kuch basat tou nahin magar phir bhi meri yeh kawish hazir hai aap ki aara ka intizar rahey ga
zmufti
Tumko fursat nahiN zamaney se
Hamko Sapney naye sajanayse
Aur barh jaye gi yeh ruswaai
Zakhm-e-dil har eik ko dikhaney se
Tu Sitamgar sahi magar phir bhi
Kia miley ga hameN rulaney se
Yaad-e-mazi tu lout ke mat aa
Baaz aa ja hameN sataney se
Mohtarma Zarqa Sahiba achi koshish ki hai aap nay misra-e-tarah par ooper kay ashaar ziyada behtar lagay mashq jaari rakahin.
Posted: Tue Apr 26, 2005 4:26 am
by zmufti
Mahataab Qadar sahib
Aap ka behad shukria
dua go
zarqa
Posted: Tue Apr 26, 2005 4:32 am
by zmufti
Sara jee
Aap ka be had shukria yeh Aap ka bara pan hai keh meri hosla afzaai kar rahi hein
Anis hasan Sahib
Meri koshish ko parhney ka shukria
Dua go
zarqa
Posted: Thu May 05, 2005 3:55 am
by Star Mind
Zarqaa SaaHiba, aadaab :)
aap se shaayad pehlee baar hamkalaam hone ki sa'aadat HaaSil horahee hai ! :)
aap ki Ghazal bhi maashaa Allah Khoob rahee !!. tamaam ash'aar jee jaan se pasand aaye, kis kis shea'r ko daad deN ? hameN to sabhi ash'aar ne bahut luT^f diyaa , daad qabool kejeye :)
shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Posted: Thu May 05, 2005 7:12 pm
by zmufti
Zia sahib,
Adaab,
Aap ki hosla afzaii kay liye behad mamnoon hon umeed hai ayinda bhee shukria ka mouqa den gay
allah hafiz
zarqa
Posted: Fri May 06, 2005 8:40 pm
by zmufti
Dunya jee
Aap ki hosla afzaai Kay liye meiN behad mamnoon hon
Aap ka mashwara bhee acha hai magar yeh sher mein nay kuch is tarah kar diya hai
"Aur barh jaye gi yeh ruswaai
Zakhm-e-dil aap ko dikhaney se"
Aap sab say pehli post ko agar dekhien
Aap ki raye aur mubarakbad meray liye buhat eham hain
shukria
zarqa
Posted: Thu Jun 02, 2005 11:11 am
by Anmol
zmufti wrote:Adaab, Zara Ji!
Aur barh jaye gi yeh ruswaai
Zakhm-e-dil aap ko dikhaney se
Khoob.
Tu Sitamgar sahi magar phir bhi
Kia miley ga hameN rulaney se
Haan na aur kya.
Yaad-e-mazi tu lout ke mat aa
Baaz aa ja hameN sataney se
Yaad-e-mazi azaab hay yaaRab
Chheen le mujhse haafza mera
Bhool jaa ham khata shuaaron ko
Koi ja ke kehay zamanay se
Very very nice. Isey paRh kar apna aik sher yaad aa gaya,
miree her Khataa yaad dunya rakhe gi
har ik ki nazar ta'na kastee rahay gi
Zara ji, aap ki ghazal bohot khoob hay, daad aur mubarakbaad qubool kijiye. :)
Posted: Thu Jun 02, 2005 7:29 pm
by zmufti
Anmol jee
Aap ki purkhaloos daad ka buhat shukria
Asal maiN khushi ghami udasi zindagi k yeh rang sab dekhtay haiN aur apney dhang se keh daitay haiN ilfaaz ka thora buhat faraq reh jaata hai
zarqa