Page 1 of 1
Jadoo Master ka Salam!
Posted: Wed Dec 29, 2004 6:27 pm
by JadooMaster
Aap sab ko humara salam!!!
Aye hain hum yahan urdu seekhnae kae lyae....
Shaer or shaeri hum ko aati nahi lekin koshish zaroor karaingae....
hai agar urdubandhan kidmateurdu aur taskeen e zauk ke liey
kya nahi nasr'e khuda kaif'e ghaib lisane' ali shaer shayei ke lyae
Shukriya
Posted: Thu Dec 30, 2004 7:48 am
by Abdullah Nazir
Muhtarami
JaadooMaster Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Aap ki karam farmaayi hei ke aap ne site kii mushkilaoN ko hal karne ka silsilah bahut hii kaamyaabi ke saath shurooA kiya aur aasani se suspended site ko bahaal kardiyaa.
Is tarah se aap ne Urudbandhan ke saare members kii hauslah afzaayi farmaayi hei. Khush rehiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Thu Dec 30, 2004 11:09 am
by Hashmat Usmani
salaam Jaadoo-master saaHib,
[h2]
[rainbow]Khus-aamded/Welcome/Shubh-aagaman[/rainbow][/h2]
aaiye, aaiye aur tashreef rakhiye aur hameN apne jaadooaana 'amaal se maHzooz kijiiye. ham aapke masHoor andaaz se mutaa'assir huye aur aapkii shaai'raana salaaHiyatoN ko saraahane waale haiN.
ummeed hai ki aapkaa waqt is meHfil meN behtar se behtar taur par guzregaa aur aap hamaarii is meHfil maanind-e-shamm'-e-faraazaaN ban kar zeenat baKhsheNge.
faqat aHqar,
Hashmat
Re: Jadoo Master ka Salam!
Posted: Wed Jan 05, 2005 2:18 pm
by Mahtab Qadr
JadooMaster wrote:Aap sab ko humara salam!!!
Aye hain hum yahan urdu seekhnae kae lyae....
Shaer or shaeri hum ko aati nahi lekin koshish zaroor karaingae....
hai agar urdubandhan kidmateurdu aur taskeen e zauk ke liey
kya nahi nasr'e khuda kaif'e ghaib lisane' ali shaer shayei ke lyae
JadooMaster walaikum salaam
aap ki tareef aur naam sunkar acha laga.. khushaamdeed .
aap urdubandhan se apna bandhan qayem rakhye aur apni jadooi charhi se masayel hal karte raha kijye , mujhe yaqeen hai ke aap ko aik din na sirf urdu achi aajaigi balke aap bhi sher kahne aur sunne lagiaiNge. koNke ye aik infectious disease hai :) jis ka ham sab to shikar haiN hi pahle se. waise aapki id se shaksiat tak pahoNchne ki khwahish bahut hai hameiN kabhi aajaiyega jadooi charhi ghar par rakhkar , lutf ayega aapko bhi ahbaab se milkar.
shukria
Mahtab Qadr