Page 1 of 1

Posted: Thu Apr 28, 2005 3:16 pm
by najma
dunya sahiba!
bohat umda kalam ata kiya hay aapne.meri janib se dheroN daad qubuul kijiye.
dunya sahiba!
masha allaah apki grif to qalam par itni mazboot hay keh kya hi acha ho, agar aap yahaN naeu sho,raa ki bhi sarparastii farmaeiN.
inayat hogii.isii silsile meiN ek post aap ''baat cheet'' meiN dekhiye.ummeed hay is se ittifaq karengii.
khair andesh
najma
:-)

Posted: Thu Apr 28, 2005 5:58 pm
by naheedv
Dear "Dunya"

aap kee ghazal pasaNd aayee, khaas taur par radeef pasaNd aayee.
aap kee ghazal to pehle hee behr meN hai, iss par mazeed kyaa islaaH aap leN gee :)

ghazal par daad paish karti hooN.

mukhliS
Naheed

Posted: Sat Apr 30, 2005 12:44 am
by Ibn-e-siddique
dunya jee:

aap ki ye ghazal, aur is ki zameen dono hi bahot pasand aaye

hamaari jaanib se daad haazir hai, qubool farmaaiN :)

amjad

Posted: Sun May 01, 2005 7:50 am
by zmufti
Duniya jee
Aap ki ghazal buhat pasand aayii
I like this one best

Mit gayii is k tabasum ki latafat jab se
Roushnee ho na sakee meray andhere ghar mein

take care
zarqa

Posted: Mon May 02, 2005 4:23 am
by Raji
where is ghazal ?

Posted: Mon May 02, 2005 11:09 pm
by irfan abid
dunya sahiba, aadaab!

aap kii Ghazal Khuub hai, aur pasand aayii. merii jaanib se daad haazir hai.

niyaazmand,
Irfan :Abid: