Page 1 of 1

:: Zia rahe na rahe , us ki justujoo to rahe ::

Posted: Fri Apr 29, 2005 3:44 am
by Star Mind
moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil , aadaab :)

jaisa k aap sab jaante haiN ,maiN Haalat-e-safar maiN hoN , is binaa par aaj kal Mehfil maiN aanaa bahut kam hogayaa hai, laken ba-har-haal choNke ab kaam us Had tak puhNch gayaa hai k maiN aap ko kam se kam aek Ghazal to sunaasakoN !! :wink: ye kehte howe k :
"aati hai jaan-e-man ye qayaamat kabhi kabhi" !! :lol: :lol:

mere khyaal maiN ab aap Ghazal sun'ne keleye be-taab na sahii, tayyar zaroor haiN !! :lol:

to lejeye Ghazal Haazir hai , par Khudaara apne iHsaasaat se aagaah zaroor farmaayegaa !! agar aap ki nigaah paRtee hai Ghazal par , aur phir aap ko Ghazal achchi lage yaa buree lagee , raye-zani zaroor kejeyega , aakhir aap log samajhte kyoN nahiN ! shaai'r ka dil TooT jaataa hai :cry: :cry:

achcha to Ghazal Haazir hai

:: Urdu Version ::

Image

:: Roman Version ::

1. diyaar-e-dil maiN tire koii aarzoo to rahe !
:Zia: rahe na rahe, us ki justujoo to rahe ! :P

2.
mujhe tiree hi moHabbat ka aasraa mat^loob !
koii rahe na rahe mere saNg, tuu to rahe ! :evil:

3.
usey bulaa k kaheN sey , kahoo ye qaatil se !
maiN jaan bhi doN khushee sey, voh roo-ba-roo to rahe ! :cry:

4.
nishaan-e-manzil-e-gum-karda mil hi jaayegaa !!
koii qadam to chale, koi justujoo to rahe ! :evil:

5(a).
nigaah-e-dahr se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-jahaaN pe magar , meri guftugoo to rahe ! :evil:

5(b).
nigaah-e-yaar se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-Sanam pe magar, meri guftugoo to rahe !! :twisted:

aur ab maqt^a'

6.
machalte naachte Khanjar pe jaan dey de :Zia:
lahoo bahe to sahii, dil ki aabroo to rahe ! :twisted:

.............................................................................................
hmmm, paRh chuke na Ghazal aap ? achcha Theek hai , abhi jaasakte haiN , magar reply dena mat bholeyega !! :wink:

moKhliS :
Zia Baloch 8)

Posted: Fri Apr 29, 2005 9:40 am
by najma
janab zia baloch sahib!

shukr hay apki masroofiyat me itni to kami aaee keh ham aap hameiN apne khoobsoorat kalam se nawaz sake :grin:
ham to samjhe thay keh ye ek manzoom safar-namah hoga. :grin:
to janaab!
masha allaah masroofiyat ke ba-wujood itna waqt aur itna khoobsoorat kalam :o
waah waah bohat khoob


1. diyaar-e-dil maiN tire koii aarzoo to rahe !
:Zia: rahe na rahe, us ki justujoo to rahe !

bohat khoob janaab! matl,a bohat nikala hay aap ne :grin: pasand aya.aur daad bhi qubuul kije

2.
mujhe tiree hi moHabbat ka aasraa mat^loob !
koii rahe na rahe mere saNg, tuu to rahe !

wallaaah, kya aasraa hay, fikr na kijiyey :-) ham bhi dua go rahengay. :-) :-)

3.
usey bulaa k kaheN sey , kahoo ye qaatil se !
maiN jaan bhi doN khushee sey, voh roo-ba-roo to rahe !

wallaaah, kya jigra paya hay aapne, un ke roo-ba-roo rehne ki ye khoobsoorat tamanna :o zara phir soch lijye :wink: :-)

4.
nishaan-e-manzil-e-gum-karda mil hi jaayegaa !!
koii qadam to chale, koi justujoo to rahe !

bohat pukhtagii hay azm meiN, waah, bohat khoob sahib! :grin:

5(a).
nigaah-e-dahr se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-jahaaN pe magar , meri guftugoo to rahe !

naheeN janab! apka kalam apko kisi se chupne naheeN de sakta.waqt to apko masha allaah itna raas aya hay ke ye apko ubharta hi rahega :twisted:


5(b).
nigaah-e-yaar se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-Sanam pe magar, meri guftugoo to rahe !!

ye bhi bohat khoob hay , lekin muqabilatan ''a'' ziyada hi acha laga hay
:-)



aur ab maqt^a'

6.
machalte naachte Khanjar pe jaan dey de :Zia:
lahoo bahe to sahii, dil ki aabroo to rahe !


hmmmmm
apka maqt,a to hamesha hi Ghzab Dhata huaa ---------- :lol:

.............................................................................................
hmmm, paRh chuke na Ghazal aap ? achcha Theek hai , abhi jaasakte haiN , magar reply dena mat bholeyega !!


jee janaab paRhaa aur baar baar paRhaa :lol: aur apne ta,assuraat bhi qalam-band kar diye
ab ye aap par hay keh aap is bhar-pur daad ko kese wusuul kijiye, ham to khuloos ki tashtarii meiN rakh ke pesh kar rahay haiN.
:grin:

moKhliS :
Zia Baloch

zia baradaram!
mana keh aap mukhlis haiN, lekin ham bhi kisi se kam naheeN, :lol: :lol: :lol:

ek bar phir dilii daad qubool kijiye aur sada khush rahiye
:grin:

Posted: Fri Apr 29, 2005 2:06 pm
by Sarwar A. Raz
muHibbee Zia SaaHeb: salaam-e-muHabbat!

aap jaldee se :suffer: se waapas aa jaa,iYe. log aap ke muntaz^ir haiN! Ghazal dekh`ee. suniYe janaab! aap meN she'ree SalaaHiyat hai aur bohat hai lekin aap ko apnee soch kuch` ooNchee karnee ho gee! ma'moolee se alfaaz^ meN a'am baat keh dene ko :she'r mauzooN karnaa: kehte haiN. usee Khayaal ko baland kar ke behtar t^aur se keh deejiYe to shaa,i'ree ho gayee! aap kaheN ge keh yeh maiN kyaa falsafah le baiTh`aa! chaliYe to aap kee Ghazal par :machalte naachte: Khanjar aazmaate haiN! :-) yeh :iSlaaH: naheeN hai bal.k ek hee baat ko kisee aur t^araH kehne kee koshish(-e-naakaam?) hai!
----------------------
1. diyaar-e-dil maiN tire koii aarzoo to rahe !
:Zia: rahe na rahe, us ki justujoo to rahe !

Khyaal bohat Khoob hai lekin aap jaise :a'ashiq-mizaaj: se kuch` yooN sochne kee ummeed hai!

(dayaar-e-dil meN "Zia"! ek aarzoo to rahe
balaa se woh nah rahe, us kee justjoo to rahe!)
--------------------------------------------
2.
mujhe tiree hi moHabbat ka aasraa mat^loob !
koii rahe na rahe mere saNg, tuu to rahe !

:mat^loob:? :saNg:? in ko badal deN to behtar ho gaa. yooN aap kab meree sunte haiN! :-)

(rah-e-wafaa meN tiree aarzoo hee kaafee hai
koyee rahe nah rahe mere saath`, too to rahe!)
---------------------------------------
3.
usey bulaa k kaheN sey , kahoo ye qaatil se !
maiN jaan bhi doN khushee sey, voh roo-ba-roo to rahe !

pehlaa miSra' bohat kamzor hai. is ko yooN soch sakte haiN:

(woh aaYe to sahee maqtal meN, kyaa takalluf hai?
maiN jaan dooN gaa Khushee se, woh roo-ba-roo to rahe!)
--------------------------------
4.
nishaan-e-manzil-e-gum-karda mil hi jaayegaa !!
koii qadam to chale, koi justujoo to rahe !

"chale" ko "uTh`e" kar ke dekh` leN. Khanjar chalte haiN, zabaan chaltee hai, lekin qadam :uTh`te: haiN!
--------------------------------
5.
nigaah-e-dahr se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-jahaaN pe magar , meri guftugoo to rahe !

achh`aa she'r hai! kahaaN se churaayaa hai miaaN? :-) aur haaN lafz^ :guftgoo: hai :guftugoo: naheeN!
---------------------------
6.
machalte naachte Khanjar pe jaan dey de :Zia:
lahoo bahe to sahii, dil ki aabroo to rahe !

itne achh`e doosre miSre' kaa :machalte naachte Khanjar: se yooN to Khoon nah kareN!

(maqaam-e-shauq meN kyaa sochnaa "Zia" SaaHeb!
lahoo bahe to bahe, dil ki aabroo to rahe !)
==========================
jab GhuSSah kam ho jaaYe to ek lafz^ :shukriyah: kehnaa nah bh`ooliYe gaa! :-)

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Posted: Sun May 01, 2005 6:01 am
by Ibn-e-siddique
StarMind wrote:

to lejeye Ghazal Haazir hai , par Khudaara apne iHsaasaat se aagaah zaroor farmaayegaa !! agar aap ki nigaah paRtee hai Ghazal par , aur phir aap ko Ghazal achchi lage yaa buree lagee , raye-zani zaroor kejeyega , aakhir aap log samajhte kyoN nahiN ! shaai'r ka dil TooT jaataa hai :cry: :cry:
zia saHib

aadaab-o-tasleemaat ;)

is se pehle ke aap ka "nannhaa" sa dil TooT jaaye (kyuNke dil-e-shaair to hota hi nannhaa aur maasoom sa hai :D), ham ne socha ke ham apne taacuraat qalam band kar deN :twisted:


1. diyaar-e-dil maiN tire koii aarzoo to rahe !
:Zia: rahe na rahe, us ki justujoo to rahe ! :D
matla acha hai, aur bavaqt-e-zaroorat misra-e-caani ko ham maqte mein "convert" bhi kar sakte hain :D
mujhe tiree hi moHabbat ka aasraa mat^loob !
koii rahe na rahe mere saNg, tuu to rahe ! :evil:
sarwar saHib ki raaye pasand aayee hai, vaise Huzoor koi aur ho na ho ;), ham to aap ke saath haiN , aap jaante hain na :D :D

usey bulaa k kaheN sey , kahoo ye qaatil se !
maiN jaan bhi doN khushee sey, voh roo-ba-roo to rahe ! :cry:
theek hai, qatil saHib isi meHfil mein haiN, main keh deta hooN :twisted:

nishaan-e-manzil-e-gum-karda mil hi jaayegaa !!
koii qadam to chale, koi justujoo to rahe ! :evil:
khoob kahaa, lutf aaya, daad qubool kijiye :)
5(a).
nigaah-e-dahr se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-jahaaN pe magar , meri guftugoo to rahe ! :evil:

5(b).
nigaah-e-yaar se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-Sanam pe magar, meri guftugoo to rahe !! :twisted:
dono hi soorate achi haiN, magar "a" zyaada pasand aayee, vaise bavaqt-e-zaroorat aap "b" ka bhi iste'maal kar sakte haiN ;)

machalte naachte Khanjar pe jaan dey de :Zia:
lahoo bahe to sahii, dil ki aabroo to rahe ! :twisted:
mohtaram sarwar saHib aur mohtarma Anmol saHiba ki tajaaveez ko yakjaa kar dijiye, maqte ko chaar chaaNd lag jaaiN ge ;) :)

hamesha ki taraH aik umda ghazal sunaane ke liye bahot bahot shukria, magar ye kia, itne kam ash'aar ? :evil: :-)

.............................................................................................
hmmm, paRh chuke na Ghazal aap ? achcha Theek hai , abhi jaasakte haiN , magar reply dena mat bholeyega !! :evil:
Hukm ki taa'meel ho chuki hai , ab chalna chaahiye ;), aap ki agli ghazal per mulaaqaat hogi :), inshallah

Posted: Mon May 02, 2005 12:20 pm
by Star Mind
najma wrote:janab zia baloch sahib!

shukr hay apki masroofiyat me itni to kami aaee keh ham aap hameiN apne khoobsoorat kalam se nawaz sake :grin:
ham to samjhe thay keh ye ek manzoom safar-namah hoga. :grin:
to janaab!
masha allaah masroofiyat ke ba-wujood itna waqt aur itna khoobsoorat kalam :o
waah waah bohat khoob

moHtarama Najma SaaHiba,

ye aap ki zarra-nawaazi hai , jo aap aisa sochtee haiN , warna man aanam k man daanam :lol:



1. diyaar-e-dil maiN tire koii aarzoo to rahe !
:Zia: rahe na rahe, us ki justujoo to rahe !

bohat khoob janaab! matl,a bohat nikala hay aap ne :grin: pasand aya.aur daad bhi qubuul kije

shukriya janaab :-)

2.
mujhe tiree hi moHabbat ka aasraa mat^loob !
koii rahe na rahe mere saNg, tuu to rahe !

wallaaah, kya aasraa hay, fikr na kijiyey :-) ham bhi dua go rahengay. :-) :-)

Huzoor, aap ki du'aayeN saath hoN to hameN bhala kyaa fikr hosakti hai :wink: . bahut bahut shukriya :-)


3.
usey bulaa k kaheN sey , kahoo ye qaatil se !
maiN jaan bhi doN khushee sey, voh roo-ba-roo to rahe !

wallaaah, kya jigra paya hay aapne, un ke roo-ba-roo rehne ki ye khoobsoorat tamanna :o zara phir soch lijye :wink: :-)

Huzoor , ye jigar-aazmaai to i'shq ka KhaaSSa hai, aur phir maqaaam-e-shauq maiN sochna kyaa ? :wink:


4.
nishaan-e-manzil-e-gum-karda mil hi jaayegaa !!
koii qadam to chale, koi justujoo to rahe !

bohat pukhtagii hay azm meiN, waah, bohat khoob sahib! :grin:

bahut bahut shukriya janaab :-)

5(a).
nigaah-e-dahr se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-jahaaN pe magar , meri guftugoo to rahe !

naheeN janab! apka kalam apko kisi se chupne naheeN de sakta.waqt to apko masha allaah itna raas aya hay ke ye apko ubharta hi rahega :twisted:

Allah kare aisaa hi ho, laken .............. :lol: :lol:
kaheeN ham khud ko "a'ndaleeb-e-gulshan-e-naa-aafareeda" na samajh beThoN ! :lol:



5(b).
nigaah-e-yaar se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-Sanam pe magar, meri guftugoo to rahe !!

ye bhi bohat khoob hay , lekin muqabilatan ''a'' ziyada hi acha laga hay
:-)

jee , hameN bhi, shukriya :-)

aur ab maqt^a'

6.
machalte naachte Khanjar pe jaan dey de :Zia:
lahoo bahe to sahii, dil ki aabroo to rahe !


hmmmmm
apka maqt,a to hamesha hi Ghzab Dhata huaa ---------- :lol:

ye to aap ki zarra-nawaazi hai Huzoor !! :wink: . bahut bahut shukriya :grin:

.............................................................................................
hmmm, paRh chuke na Ghazal aap ? achcha Theek hai , abhi jaasakte haiN , magar reply dena mat bholeyega !!


jee janaab paRhaa aur baar baar paRhaa :lol: aur apne ta,assuraat bhi qalam-band kar diye
ab ye aap par hay keh aap is bhar-pur daad ko kese wusuul kijiye, ham to khuloos ki tashtarii meiN rakh ke pesh kar rahay haiN.
:grin:

aur ham us KhlooS ko kaish ko baRe KhlooS se kaish karte haiN :-)
aap ki zarra-naawazi hai :grin:


moKhliS :
Zia Baloch

zia baradaram!
mana keh aap mukhlis haiN, lekin ham bhi kisi se kam naheeN, :lol: :lol: :lol:

ek bar phir dilii daad qubool kijiye aur sada khush rahiye
:grin:


Najma khwaaharam !

jee jee , ham aap ko bhi moKhliS maante haiN , balke pore ahl-e-bazm ko bhi maante haiN :grin:

aap bhi ik baar phir shukriya qabool kejeye :grin:
bahut bahut shukriya aap ka :grin:

moKhliS : Zia Baloch :grin:

Posted: Mon May 02, 2005 12:31 pm
by Star Mind
Sarwar A. Raz wrote:muHibbee Zia SaaHeb: salaam-e-muHabbat!

aap jaldee se :suffer: se waapas aa jaa,iYe. log aap ke muntaz^ir haiN! Ghazal dekh`ee. suniYe janaab! aap meN she'ree SalaaHiyat hai aur bohat hai lekin aap ko apnee soch kuch` ooNchee karnee ho gee! ma'moolee se alfaaz^ meN a'am baat keh dene ko :she'r mauzooN karnaa: kehte haiN. usee Khayaal ko baland kar ke behtar t^aur se keh deejiYe to shaa,i'ree ho gayee!

moHtarami Sarwar SaaHib, w/salaam :)

inshaa Allah jald waapas aajaaoNga, Huzoor, ye aap ki zarra-parwaree hai jo aap aisa sochte haiN k mujh naacheez maiN bhi ye moa,addab SalaaHiyat paayee jaati hai, warna "man aanam k man daanam" :C
jee maiN aap ki baatoN ko hameesha Ghor se hi paRhtaa hoN, aur un par a'mal karne ki bharpoor koshish kartaa hoN, aap tamaam asaatiza-e-kiraam (moHtaram janaab-e-Qais, moHtaram janaab Amjad SaaHiban) aur deegar asaatiz-e-kiraam ki is bazm maiN maujodgee , aur phir unki ham jaise nau-mashq tuk-bandoN ki is qadar KhulooS aur moHabbat se iSlaah karna yaqeenan ham sab keleye ne'mat-e-be-bahaa se hargiz kam nahiN, Allaah ta'aala aap tamaam asaatiza ka dast-e-shafqat hamaare sar par rakkhe aameen .
aap Hazaraat agar isee tasalsul aur isee KhulooS se hamesha mujh jaise nau-mashq shu'araa waa shaai'raat ki iSlaaH karte rahe , to woh din door nahiN k ham sab TUK-BAND se Shaai'r hojaayeNge inshaa Allah :D
aur mujhe zaati t^or par i'teraaf bhi hai k aap Hazaraat ne is kaam ko ba-Khoobi nimTaayaa hai aur musalsal nimTaa rahe haiN, jis keleye maiN aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN :)


aap kaheN ge keh yeh maiN kyaa falsafah le baiTh`aa! chaliYe to aap kee Ghazal par :machalte naachte: Khanjar aazmaate haiN! :-) yeh :iSlaaH: naheeN hai bal.k ek hee baat ko kisee aur t^araH kehne kee koshish(-e-naakaam?) hai!

Huzoor , nahiN , maiN aisee gustaaKhee karne ka taSawwor bhi nahiN karsaktaa, aap hamesha bajaa hi farmaate haiN , aap buzurgoN ki baatoN par a'mal paira ho kar hi ham sab kaamyaab hosakte haiN :) . maiN to aap se darKhwaast kartaa hoN , k aap apni naSeeHatoN se hamesha hameN saHeeH raastoN ki taraf rahnumaai kareN , aur ham inshaa Allah aap k saath qadam se qadam milaa kar chaleyNge :)


----------------------
1. diyaar-e-dil maiN tire koii aarzoo to rahe !
:Zia: rahe na rahe, us ki justujoo to rahe !

Khyaal bohat Khoob hai lekin aap jaise :a'ashiq-mizaaj: se kuch` yooN sochne kee ummeed hai!

(dayaar-e-dil meN "Zia"! ek aarzoo to rahe
balaa se woh nah rahe, us kee justjoo to rahe!)

Huzoor, aap ne to mashaa Allah matla' ka raNg hi badal diyaa !!, ab to matla' kafee jaandaar hogayaa hai :) , aap ki tajveez aur mujhe pasand na aaye bhalaa ye mumkin hai sir ? :roll:
aap ki tajveez na sirf mujhe tah-e-dil se qabool hai, balke ek DARS bhi hai mere leye , jese maiN hamesha yaad rakkhoNgaa :) . shukriya :)

--------------------------------------------
2.
mujhe tiree hi moHabbat ka aasraa mat^loob !
koii rahe na rahe mere saNg, tuu to rahe !

:mat^loob:? :saNg:? in ko badal deN to behtar ho gaa. yooN aap kab meree sunte haiN! :-)

(rah-e-wafaa meN tiree aarzoo hee kaafee hai
koyee rahe nah rahe mere saath`, too to rahe!)

jee aap k hote howe , meri kyaa majaal jo badal doN , ab aap ne badal diyaa hai to dil ko tasalli milee hai :D
Huzoor , maiN aur aap ki na sunoN ? aisa waqt Khuda na laaye kabhi (aameen) !!
buzurgoN ki farmaanbardaari maiN hi ham nau-mashqoN aur NAU-JAWAANON kii bhalaaii pinhaaN hai !! :-)
bahut bahut shukriya :)

---------------------------------------
3.
usey bulaa k kaheN sey , kahoo ye qaatil se !
maiN jaan bhi doN khushee sey, voh roo-ba-roo to rahe !

pehlaa miSra' bohat kamzor hai. is ko yooN soch sakte haiN:

(woh aaYe to sahee maqtal meN, kyaa takalluf hai?
maiN jaan dooN gaa Khushee se, woh roo-ba-roo to rahe!)

jee pehle zaroor kamzoor thaa , magar ab jab aap ne use badal diyaa hai , ab to ye itnaa TAQATWAR hogayaa hai k kayee MISRA'ON ka tan-e-tanhaa muqaabila kare aur unheN shikast ka muNh dikhaaye !! :) . bahut bahut shukriya :)

--------------------------------
4.
nishaan-e-manzil-e-gum-karda mil hi jaayegaa !!
koii qadam to chale, koi justujoo to rahe !

"chale" ko "uTh`e" kar ke dekh` leN. Khanjar chalte haiN, zabaan chaltee hai, lekin qadam :uTh`te: haiN!

jee , zaroor , maiN apni is kam-i'lmee par sharminda zaroor hoN , magar kam-i'lmee ka izhaar karne maiN mujhe koi a'aar nahiN , isee taraH to i'lm maiN izaafa hotaa hai, ba-shart^eeke aap jaise ahl-e-i'lm k saamne is ka izhaar kyaa jaaye !! :) . bahut bahut shukriya :)

--------------------------------
5.
nigaah-e-dahr se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-jahaaN pe magar , meri guftugoo to rahe !

achh`aa she'r hai! kahaaN se churaayaa hai miaaN? :-) aur haaN lafz^ :guftgoo: hai :guftugoo: naheeN!

Huzoor , qudrat k Khazaane se :D aise chooree to mustaHsan hai ? :-)
shukriya zarra-nawaazi keleye :)

---------------------------
6.
machalte naachte Khanjar pe jaan dey de :Zia:
lahoo bahe to sahii, dil ki aabroo to rahe !

itne achh`e doosre miSre' kaa :machalte naachte Khanjar: se yooN to Khoon nah kareN!

(maqaam-e-shauq meN kyaa sochnaa "Zia" SaaHeb!
lahoo bahe to bahe, dil ki aabroo to rahe !)

janaab , wallah lut^f aagayaa , aap ne bhi Khoob farmaaya k "machalte naachte Khanjar se Khon na kareN" :lol: :lol: , bahut Khoob

janaab aap ne na sirf maqta' ko qatl hone se bachaayaa , balke ise woh zindagee a'taa kii hai k shaai'r jese jaawidaaN kehte haiN :) . bahut bahut shukriya :)

==========================
jab GhuSSah kam ho jaaYe to ek lafz^ :shukriyah: kehnaa nah bh`ooliYe gaa! :-)

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Huzoor , aap sharminda kar rahe haiN , bhala maiN aap ka shukriya kaise adaa karsaktaa hoN? magar kareoN bhi to kyaa karoN k mujh kam-i'lm ko aur koii lafz bhi to nahiN mil rahaa, , albatta aap mere JAWAAN iHsaasaat k saath is lafz "shukriya" ko qabool kejeye , aur
Huzoor, ye aap kyaa keh rahe haiN maiN GhuSSah kyoNkar karoNga , aap to itne KhulooS se aur itnee shafqat se iSlaaH farmaate haiN , k woh luT^f aataa hai jo tamaam GhamoN ka safaaya karde :-) . haaN albatta Khud par GhuSSah zaroor aataa hai k abtak aap ki rahnumaaii se khaat^ir khwaah faai,da uThaane maiN naa kaam hi rahe, laken ye meri apni kam-i'lmee aur naaqis fahmi ki wajh se hai , warna aap ka andaaz to Jaahil ko bhi pal bhar maiN A'aalim banaade !! :) , aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN :) , umeed hai k ye silsila waqtan fa-waqtan jaari rahyega :D

moKhliS : Zia Baloch :-)

Posted: Mon May 02, 2005 12:37 pm
by Star Mind
Ibn-e-siddique wrote:
StarMind wrote:

to lejeye Ghazal Haazir hai , par Khudaara apne iHsaasaat se aagaah zaroor farmaayegaa !! agar aap ki nigaah paRtee hai Ghazal par , aur phir aap ko Ghazal achchi lage yaa buree lagee , raye-zani zaroor kejeyega , aakhir aap log samajhte kyoN nahiN ! shaai'r ka dil TooT jaataa hai :cry: :cry:
zia saHib

aadaab-o-tasleemaat ;)

is se pehle ke aap ka "nannhaa" sa dil TooT jaaye (kyuNke dil-e-shaair to hota hi nannhaa aur maasoom sa hai :D), ham ne socha ke ham apne taacuraat qalam band kar deN :twisted:

w/salaam :)

aaye janaab aaye , tashreef laaye , aap hi ka intezaar thaa hameN :D
aap to mashaa Allah aaye bhi to Khoob hi aaye,
janaab , kyaa bataayeN k aap ki aamad se "AAMAD" maiN kis qadar izaafa hotaa hai :lol: :lol:
ajee , ye aap ki moHabbat hai jo aap DIL-E-SHAAI'R ko TooTta nahiN dekh sakte , wese bhi shaa'ir k DIL ko aek shaai'r hi pihchaan saktaa hai !! ;)




1. diyaar-e-dil maiN tire koii aarzoo to rahe !
:Zia: rahe na rahe, us ki justujoo to rahe ! :D
matla acha hai, aur bavaqt-e-zaroorat misra-e-caani ko ham maqte mein "convert" bhi kar sakte hain :D

shukriya janaab , aap ne bajaa farmaayaa ,
arey miyaaN zaroorat paRne par to ham maqt^'aat ki barsaat barsaayeN !! :lol: :lol:


mujhe tiree hi moHabbat ka aasraa mat^loob !
koii rahe na rahe mere saNg, tuu to rahe ! :evil:
sarwar saHib ki raaye pasand aayee hai, vaise Huzoor koi aur ho na ho ;), ham to aap ke saath haiN , aap jaante hain na :D :D

shukriya janaab, jee Sarwar SaaHib aaKhir aek manjhe howe ustaad haiN , unki raaye kaise na pasand aaye :-)
jee hameN ma'loom hai Huzoor , k koii ho na ho aap to saath haiN , arey miyaaN "jo saath de woh saathi howe na" ;)



usey bulaa k kaheN sey , kahoo ye qaatil se !
maiN jaan bhi doN khushee sey, voh roo-ba-roo to rahe ! :cry:
theek hai, qatil saHib isi meHfil mein haiN, main keh deta hooN :twisted:

Huzoor ye kyaa? hameN pata hota qaatil SaaHib, yahaaN pe tashreef rakhte haiN .......ham to..........ham to bahut pehle hi ye shea'r kehtey :D , zara bulaaye to sahi unheN !! :twisted:


nishaan-e-manzil-e-gum-karda mil hi jaayegaa !!
koii qadam to chale, koi justujoo to rahe ! :evil:
khoob kahaa, lutf aaya, daad qubool kijiye :)

shukriya, mehrabaani, karam :)

5(a).
nigaah-e-dahr se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-jahaaN pe magar , meri guftugoo to rahe ! :evil:

5(b).
nigaah-e-yaar se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-Sanam pe magar, meri guftugoo to rahe !! :twisted:
dono hi soorate achi haiN, magar "a" zyaada pasand aayee, vaise bavaqt-e-zaroorat aap "b" ka bhi iste'maal kar sakte haiN ;)


zarra-nawaazi hai, Huzoor, bajaa farmaayaa aap ne, mujhe bhi ZAATII tor par pehlee hi Sorat zyaada pasand hai , isee leye to Urdu Version maiN yahi Soorat likh Daali hai :D



machalte naachte Khanjar pe jaan dey de :Zia:
lahoo bahe to sahii, dil ki aabroo to rahe ! :twisted:
mohtaram sarwar saHib aur mohtarma Anmol saHiba ki tajaaveez ko yakjaa kar dijiye, maqte ko chaar chaaNd lag jaaiN ge ;) :)

Huzoor , sochne waali baat to ye hai k baaqi k 3 chaaNd kahaaN se le ke aayeNge ? jee hameN pata hai k CHAAND ab to aek se kaheeN zyaada haiN , magar laane ka sawaal jo beech maiN aataa hai us ka kyaa kareN ? :twisted:


hamesha ki taraH aik umda ghazal sunaane ke liye bahot bahot shukria, magar ye kia, itne kam ash'aar ? :evil: :-)

hamesha ki taraH aap ka tabSira hameN beHad pasand aayaa , Khaas kar CHAAND waali baat !! :D
ajee ash'aar to ham 20 kehtey , laken socha is BAHR ko baKhshaa jaaye kyoN ke is se be-takallufee zyaada nahiN !! :lol: :lol:



.............................................................................................
hmmm, paRh chuke na Ghazal aap ? achcha Theek hai , abhi jaasakte haiN , magar reply dena mat bholeyega !! :evil:
Hukm ki taa'meel ho chuki hai , ab chalna chaahiye ;), aap ki agli ghazal per mulaaqaat hogi :), inshallah

bahut achcha kyaa jo ta'meel ki Huzoor, hameN bahut Khushee hoi, ham to saraapa aap k iHsaan-mand haiN , aur aaaaap ki aglee mulaaqaat keleye to ham intezaam pehle se hi karchuke haiN , magar aap ki Khushee bhi to hameN a'zeez hai miyaaN :lol: :lol:

ba-har-Haal, aap ko hamaari kaavish is qadar pasand aayee , jis keleye ham aap ka saraapaa mamanoon haiN , bahut bahut shukriya :)

moKhliS : Zia Baloch :-)