Page 1 of 1

taraHi ghazal dukhaa kar dil mira pachhtayega woh tund KHo

Posted: Thu Dec 30, 2004 2:03 pm
by khozema husaini
December 30, 2004

Ghazal

qaraar o kaif mil jayeN yahi thee justajoo barsoN
rulaati hee rahee ashk e luhoo yeh aarzoo barsoN
yaqeenan aap say hum ho sakay nah roobaroo barsoN
magar tanhaaeeyoN main aap say kee guftagoo barsoN
kiya zikr e nawazish maiN tiree main nay GHuloo barsoN
kaf e afsos youN maltay rahay mayray Adoo barsoN
judaa tum kiya huye nikli hamaari jaan seenay say
liye phirtay rahay hum laash apni koo ba koo barsoN
mili theeN aik pal kay waastay tum say miree nazreN
raha charcha miree barbaadiyoN ka chaar soo barsoN
diye deedaar us nay baarha KHuwaboN main aa aa kar
khuli aankhoN say hee bachtaa raha woh maahroo barsoN
utar aatay haiN maqtal kay manazir KHuwaabgahoN main
suna kartay haiN kuchh KHaamosh cheeKHaiN jangjoo barsoN
mire nanhay say dil per zaKHm haiN itnay mohabbat kay
rafoogar chaak e dil karta rahayga ab rafoo barsoN
faqat do pal ki lazzat kay liye khaila mire dil say
girah
dukhaakar dil mira pachhtayega woh tund KHoo barsoN
chaman ki aap kay raAyaeeyaaN mayri badoulat haiN
piya hay is kay KHaaroN nay bhee mayra hee luhoo barsoN
woh yeh keh kar husaini dil ki jaanib daykhtay haiN aaj
“khilona aik mayray paas bhee tha hoo ba hoo barsoN”

Khozema Husaini Khandwi

Re: taraHi ghazal dukhaa kar dil mira pachhtayega woh tund

Posted: Fri Dec 31, 2004 8:35 am
by Hashmat Usmani
salaam Khozai'ma saaHib,

bahot Khoob janaab! aapne ek bahot hii umda aur 'aalaa taraHii Ghazal kahii hai. Khayaal aur bayaan bahot nafees haiN. gireh bhii Khoob lagaaii hai. Allah kare zor e qalam aur ziyaada. ek kaamiyaab aur achchhii Ghazal kahne par DheroN mubaarak-baad aapko, gar qubool uftaad!

mujhe to tamaam ash'aar achchhe lage is liye nishaan-dehii nahiN kar rahaa huN. masha Allah bahot umda Ghazal kahi hai aapne.

faqat aHqar,

Hashmat

shukriya

Posted: Fri Dec 31, 2004 1:08 pm
by khozema husaini
sara_j wrote:Khozema saahib,

Adaab arz hai.

aapki ghazal pasand aayi, bohat umdah asha'ar likhe hain aapne. is kamyaab ghazal per daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara
sara sahib
aadaab

housla afzaee ka shukriya
husaini