Page 1 of 6
Harf-e-"BE" se ash'aar raqam kijiiye...shukria
Posted: Sat Apr 30, 2005 1:09 pm
by Hashmat Usmani
salaam dosto,
Harf-e-"ALIF" se 111 posts ho chukiiN thiiN, lehaaza ab ham Harf-e-"BE" se ash'aar raqam kareN to behtar hogaa. shukria. pahlaa she'r pesh-e-Khidmat hai:
butaan-e-mahvish ujaRii huii manzil meN rahte haiN
k jis kii jaan jaatii hai, usii ke dil meN rahte haiN
DaaGh Dehlavii
Posted: Sat Apr 30, 2005 9:00 pm
by najma
ba-zaahir shaan-o-shaukat se khaRe haiN
sab andar se magar TooTe paRe haiN
bakhsh
Posted: Sun May 01, 2005 12:41 am
by Hashmat Usmani
ba'd muddat unheN dekh kar yuuN lagaa
jaise be_taab dil ko qaraar aa gaya
aarzuuoN ke gul muskuraane lage
jaise gulshan meN jaan-e-bahaar aa gayaa
Roshan "Nanda"
Posted: Sun May 01, 2005 12:44 am
by najma
baa,d muddat ke khile daaman-e-ummeed ke phool
der ke baa,d baharoN pe nikhaar aayaa hay
nafis ahmad siddiqui
Posted: Sun May 01, 2005 12:48 am
by Hashmat Usmani
baadaloN kaa qaafila aataa huaa achchhaa lagaa
pyaas kii dhartii ko har saavan baRaa achchhaa lagaa
[naa'ma'loom]
Posted: Sun May 01, 2005 12:50 am
by najma
baaGhbaaN ka ye taqazah hay keh ab gulshan meiN
baad-e-sar sar bhi chale, naam sabaa ka rkhna
bakhsh
Posted: Sun May 01, 2005 12:53 am
by Hashmat Usmani
badalte waqt kaa ik silsila saa lagtaa hai
k jab bhii dekho use, duusraa_saa lagtaa hai
Manzar Bhopaalii
Posted: Sun May 01, 2005 1:10 am
by najma
balaa ke haadise kashtee -o-baadbaan me thay
samumdaroN pe magar ik sukoot taarii tha
bakhsh
Posted: Sun May 01, 2005 1:53 am
by Hashmat Usmani
baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii maHfil kabhii aisii to na thii
Bahaadur Shaah "Zafar"
Posted: Sun May 01, 2005 2:00 am
by najma
baraste badaloN ke raqs aasmaaN meiN thay
dahakte pyaas ke kaanTe bhi har zabaan meiN thay
bakhsh
Posted: Sun May 01, 2005 2:11 am
by Hashmat Usmani
badal diyaa hai nigaahoN ne ruKh zamaane kaa
kabhii rahaa hai zamaane pe iKhtiyaar mujhe
Azeez Waarsii
Posted: Sun May 01, 2005 2:13 am
by najma
ba-sad afsos apna jhoNpRa tak ham luTaa aaey
gumaaN ye tha keh wo khana-badoshoN ko mahal dega
bakhsh
Posted: Sun May 01, 2005 2:18 am
by Hashmat Usmani
baat phuuloN kii sunaa karte the
ham kabhii she'r kahaa karte the
Saagar Siddiqui
Posted: Sun May 01, 2005 2:22 am
by najma
baRe khuloos se apna liya hay ghar ki tarah
maiN taa-hayaat nazar-band jis qafas meiN rahaa
bakhsh
Posted: Sun May 01, 2005 2:24 am
by Hashmat Usmani
badlaa na apne aap ko, jo the, vahii rahe!
milte rahe sabhii se, magar, ajnabii rahe
Nidaa Faazlii