Page 1 of 8
is HAFTE kaa lafz hai ... "RAAT yaa SHAB" par ash'
Posted: Mon May 02, 2005 3:20 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,
maiN ne moHtaram janaab-e-Syed Bilal "Armaan" saaHib kaa kaafii der intezaar kiyaa...lagtaa hai mausoof kahiiN amshGhool haiN aur idhar ka chakkar nahiN laga sake.
is liye, majbooran maiN ne is hafte ke liye lafz chunaa hai...RAAT yaa SHAB.
to please aap log ash'aar raqam kijiiye...shukria.
kaamraan yuuN thaa meraa baKht-e-javaaN kal raat ko
jhuk rahaa thaa mere dar pe aasmaaN kal raat ko
Jagannath Aazaad
Posted: Mon May 02, 2005 3:42 am
by najma
raat bhar sooraj kisi ke sir pe manDlaata raha
din me tare toRne ki rasm dohraaee gaee
najma
Posted: Mon May 02, 2005 5:21 am
by Hashmat Usmani
Husn jab thaa 'ishq ke ghar mahmaaN kal raat ko
uTh chukaa thaa har Hijaab-e-darmiyaaN kal raat ko
Jagannaath Aazaad
Posted: Mon May 02, 2005 12:41 pm
by najma
raat kaaNToN pe basar ho to Ghazal hoti hay
shab-e-hijraaN ki sahar ho to Ghazal hotii hay
najma
raat
Posted: Tue May 03, 2005 2:55 am
by Abdullah Nazir
raat aankhaoN se mirii neend churaate kiyooN hou
aur tanhaa mujhe phir chouR ke jaate kiyuN hou.
Nazir.
Posted: Tue May 03, 2005 4:24 am
by Hashmat Usmani
kaash ban jaatii Hayaat-e-jaavidaaN kal raat ko
kis_qadar maHbuub thii 'umr-e-ravaaN kal raat ko
Jagannaath Aazaad
Posted: Tue May 03, 2005 11:59 am
by syed bilal armaan
assalam walekum.
hashmi sahab! app ka shukriya ke app ne is martaba ka unwan diya. tabiyaat ke na saaz hone ki wajhe se main kai dinoun se nahi a paya maffi chahounga.
raat ayi tou chand sa chahera
le ke aya sharab ankhoun main
Posted: Tue May 03, 2005 12:36 pm
by Hashmat Usmani
raat sone lagii, subHa hone lagii
shamm'a bujhne lagii, dil machalne lage
waqt kii raushnii meN nahaaii huii
zindagii pe 'ajab saa nikhaar aa gayaa
Roshan Nanda
Posted: Tue May 03, 2005 12:44 pm
by najma
pareshaaN raat taari hay, sitaro tum to so jao
sukoot-e-marg tarii hay, sitaro tum to so jao
Posted: Tue May 03, 2005 1:11 pm
by Hashmat Usmani
shab tum jo bazm-e-Ghair meN aaNkheN churaa gaye
khoye gaye ham aise k aGhyaar paa gaye
Momin KhaaN "Momin"
Posted: Tue May 03, 2005 7:36 pm
by najma
donoN jahaan terii mohabbat meiN haar ke
lo jaarahaa hay koee shab-e-Gham guzaar ke
Posted: Wed May 04, 2005 2:59 am
by Hashmat Usmani
dil agar tanhaa meraa tiir-o-kamaaN kii zad pe thaa
dil kii zad par bhii rahe tiir-o-kamaaN kal raat ko
Jagannaath Aazaad
Posted: Wed May 04, 2005 9:08 am
by najma
shaam dehleez pe aaeygii lye shab ka khiraaj
zar-fishaaN sub,h ki jab pehlii kiran hay itnii
khawar qureshi
Posted: Wed May 04, 2005 10:03 am
by najma
ik wo, keh shab ko soorat-e-rang-e-sahar kareN
ik ham, keh jinko raat pe, din ka qayaas hay
bakhsh
Posted: Wed May 04, 2005 10:09 am
by najma
tum raushni meiN raat ke asbaab ki tarah
ham teeragii meiN kirmak-e-shab-taab ki tarah
bakhsh