Page 1 of 3
maahaanah [MAY] muntaKhib sha'ira...Dr. Parveen Shaakir
Posted: Mon May 02, 2005 4:36 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,
is silsile se marHoomah [Dr.] Parveen Shaakir pahlii sha'irah haiN jo hamaarii maHfil kii is laRii kii zeenat banii haiN. mausoofah kisii ta'arruf kii moHtaaj nahiiN magar phir bhii ham meN se merii taraH kuchh maHmaan zaroor aayeNge jo Parveen jii kii zindagii ke baare meN paRh kar bil_zaroor mustafeed hoNge.
aap sabhii mo'azziz Khawaateen_o_moHtaram Hazraat se guzaarish hai ki aap is laRii meN baRh chaRh kar Hissa leN aur ise kaamiiyaab banaayeN aur ham sab ko Parveen jii ke Khoob_soorat kalaam se maHzooz hone ke mavaaq'e 'ataa farmaayeN. shukria.
to lijiiye mulaahizah farmaaiye unkii zindagii aur adabii kaar_kardagii par ek muKhtasir Khaakah. shukria.
faqat Khaak_nashiiN,
Hashmat
Posted: Mon May 02, 2005 4:52 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,
maiN is laRii ke tahet Parveen jii kii yeh ma'roof aur maqbool e 'aam Ghazal pesh kar rahaa huuN...uummeed hai ki aap pasand farmaayeNge. shukria.
Hashmat
Posted: Mon May 02, 2005 4:55 am
by Hashmat Usmani
meraa to dil karta hai ki bas maiN Parveen jii ka kalaam bas post hii kartaa jaauN magar maiN aap logoN kii bhii pasand ke kalaam paRhnaa chaahtaa huN...is liye maiN apnaa haath roktaa huuN fil_Haal
Posted: Tue May 03, 2005 4:01 am
by Hashmat Usmani
salaam Saara,
aapne kitnii Haseen Ghazal pesh kii hai Parveen Ji kii, maiN bataa nahiiN saktaa. yeh to bas kuchh tum mujh se poochho nahiiN...bahot Khoob Saara, bahot jhii Khoob. maiN ne to yeh Ghazal apne desktop par save kar li thii aur abhi abhii use background ke ba_taur save kiyaa hai...har lamHa, har aan lutf uThaataa rahuuNga, bahot shukria Saara, jiyo!
Hashmat
Posted: Tue May 03, 2005 4:16 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,
ek Ghazal aur pesh e Khidmat hai Parveen jii kii...mulaaHizah farmaaiye:
Posted: Wed May 04, 2005 10:08 am
by najma
is shart pe kheloongii piyaa! pyaar bazi
jettooN, to tujhe jeetooN, haarooN, to iya! terii
Posted: Wed May 04, 2005 12:33 pm
by Hashmat Usmani
salaam Saara,
dekhiye meraa ai'temaad aapne kaise rakkha...aapne kitnii Haseen o jameel GhazleN parveen Ji kii pesh kii haiN...aapkaa bahot bahiot shukria. ummeed hai aap aise hii behtareen kalaam yahaN hamaare liye chaspaaN kartii raheNgii. ek baar phir se shukria Saara.
Hashmat
Posted: Wed May 04, 2005 12:37 pm
by Hashmat Usmani
najma wrote:is shart pe kheloongii piyaa! pyaar bazi
jettooN, to tujhe jeetooN, haarooN, to iya! terii
salaam Hamsheerah saaHiba,
bahot Khoob, balki bahot hii Khoob! mujhe aapkaa pesh kardah she'r bahot pasand aayaa. agar aap poorii Ghazal post kar deNgii to 'inaayat hogii baRii aapkii. shukria.
Hashmat
Posted: Wed May 04, 2005 12:46 pm
by Hashmat Usmani
merii pasand kaa ek kalaam mulaaHizah farmaaiye, shukria.
Aik Aur Ghazal Parveen Shakir ki
Posted: Mon May 09, 2005 11:17 am
by Mahtab Qadr
Parveen shakir ki aik aur ghazal pesh hai
Posted: Sat May 14, 2005 9:46 pm
by najma
waaah sara j sahiba!
bohat khoob
aap ne parveen shakir k umda kalaam, khoob dulhan ki tarah saja k peshliye haiN
kalam aur bhi haseen hogaey
khush kardiya
so
aap bhi sada khush rahiye
Posted: Sun May 15, 2005 8:01 am
by Mahtab Qadr
Parveen shakir ki aik puraani ghazal ke do sher pesh e khidmat , agar poori ghazal kisi ke paas ho to marhamat farmaiN.
jalaa dia shajar e jaN ke sabz bakht na tha
kisi bhi rut maiN hara ho yevo darakht na tha
zaraa se jabr se maiN toot bhi to sakti thi
meri tarah se tabiat ka vo bhi sakht na tha
shukria
Posted: Wed May 18, 2005 3:58 am
by Hashmat Usmani
salaam Saara,
aapne jo bhii marHooma ke pesh kiye haiN vo bahot Khoobsoorat haiN. ek ek Ghazal aur uskaa ek ek she'r unke andaaz kii 'akkaasii karte haiN. bahot Haseen kalaam share kiyaa hai aapne. shukria.
Hashmat
Posted: Mon May 23, 2005 5:53 am
by Mahtab Qadr
Bahut Bahut shukria sara ji ke aap ne parveen shakir ki behad shandaar ghazliaat se nawaza .:)
Posted: Thu May 26, 2005 4:23 am
by Star Mind
moHtaramaat-o-moHtarameen-e-baalaa aadaab :)
aap sab ne maashaa Allah Parveen Shaakir kaa bahut u'mdah kalaam paish kiyaa hai , bahut bahut shukriya
moKhliS : Zia Baloch