Page 1 of 1

samandari toofaan (taaza kalaam)

Posted: Thu Dec 30, 2004 2:39 pm
by khozema husaini
Monday, December 27, 2004
samandari toofaan

suna hay keh samandar main koee toofaan aaya hay
parayshani ki zad main Aalam e insaan aaya hay

samandar say nikal kar aa gaee haiN mouj saRkoN per
gharoN say beh kay paani main sarosaamaan aaya hay

huaa hay youN to Indonasia main zalzala barpaa
magar zad main Srilanka o Hidutaan aaya hay

nahiN poochha ajal nay naam o mazhub marnay waloN say
nah zindah Ram louTa hay nah wapas Khan aaya hay

dawayeN baap ki laynay jo apnay ghar say nikla tha
woh KHidmat main pidar ki be dawa be jaan aaya hay

machhairoN nay samandar main jahaN ik jaal Daala tha
samak kay saath phans kar us main ik insaan aaya hay

main roTi laykay aata hooN gaya tha keh k bachchoN say
nah KHud louTa nah khanay ka koee saamaan aaya hay

ilahee movt yeh kaisi hay jis main marnay waloN ko
muyassar nah chita aayi nah qabrastaan aaya hay

luTairay loot main masroof haiN aisi tabaahee main
badal kar apna chehra daykhiye shaitaan aaya hay

husaini hum khiyaaloN main jo jaa e hadesa ponhchay
nazar manzar hamaiN charoN taraf veeraan aaya hay

Khozema Husaini Khandwi

Posted: Fri Dec 31, 2004 8:21 am
by Hashmat Usmani
salaam Khuzaima saaHib,

aapkaa kalaam paRha aur dil be_saaKhta maGhmoom ho gaya aur ranj o Gham kii ek lahr saare maaHaul meN phail gaii. aapne waaqi'aat aur jazbaat kii umdagii se tarjumaanii kii hai.

Allah kare zor e qalam aur ziyaada.

faqat Khaak_nashiiN,

Hashmat

Posted: Fri Dec 31, 2004 12:44 pm
by khozema husaini
Hashmat Usmani wrote:salaam Khuzaima saaHib,

aapkaa kalaam paRha aur dil be_saaKhta maGhmoom ho gaya aur ranj o Gham kii ek lahr saare maaHaul meN phail gaii. aapne waaqi'aat aur jazbaat kii umdagii se tarjumaanii kii hai.

Allah kare zor e qalam aur ziyaada.

faqat Khaak_nashiiN,

Hashmat
hashmat sahib
nacheez is housla afzaaee kay liye mamnoon o mashkoor hay
husaini

Posted: Fri Dec 31, 2004 12:47 pm
by khozema husaini
sara_j wrote:Khozema ji waah! aapne nihayet umdagi se aur bohat hi dil soz zalzale ki haqeeqat ko qalam band kiye hain, waah bohat khoob!

dil udaas hua aur bas dua kiye un logon ke liye.

shukriya.

sara
sara sahib
housla afzaaee kashukriya
husaini

Achce ta'assuraat heiN

Posted: Fri Dec 31, 2004 3:31 pm
by Abdullah Nazir

Muhtarami
Khuzema Husaini Saahib


Aapki nazm paRhkar bahut khushi houi.

Khaas Taur per aapke ta'assurat ne mujhe bhi bahut muta'assir kiyaa.

Meri daad aur mubaarakbaad haazir hei.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Re: Achce ta'assuraat heiN

Posted: Sat Jan 01, 2005 3:07 pm
by khozema husaini
WEBMASTER wrote:
Muhtarami
Khuzema Husaini Saahib


Aapki nazm paRhkar bahut khushi houi.

Khaas Taur per aapke ta'assurat ne mujhe bhi bahut muta'assir kiyaa.

Meri daad aur mubaarakbaad haazir hei.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


bohat bohat shukriyah
husaini

Posted: Sat Jan 01, 2005 7:25 pm
by jawaid badauni
Mohtarmi wa mukarrami Khuzema Husaini Sb

Aap ki murassa' nazm paRhkar dil bhar aaya. Bahut khub manzar kashi ki hai aap ne inn museebat ke maroN ki. Aap ki nazm dekh kar besakhta ghair daanista taur per ek she'r maiN bhi kah baitha. Jisaarat ki ma'zrat chaahta hooN Bhai.


KahaN se dhoond kar laaye koii ab Nooh ki kashti

Khuda ka qahr banker aaj phir toofan aaya hai


Meri janib se nazm ki bharpoor daad qubool farmaiye.

Mukhlis,

Jawaid Badauni
Musact - Oman

shukriya

Posted: Sun Jan 02, 2005 2:48 pm
by khozema husaini
aadaab

housla afzaee ka shukriya

husaini

Posted: Sun Jan 02, 2005 9:03 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

moHtarami Khozema Husaini SaaHib,

aap ka bahut saaraa kalaam paRhne ko mil raha hai in dinoN. maashaa Allah nazar na lage khoob aamad horahi hai :wink:

kyaa khne Huzoor ! ham tu ab aap k kalaam k deevaane hogaye haiN :D .
kamaal k likhte haiN saaHib aap tu :!: . bahut khoob!
aap ne samandari tofaan ka jo naqsha kheNcha hai, us keleye mere paas lafz nahiN :roll: . bahut u'mda ! DherooN daad !
aayenda bhi intezaar rahyega :!: . shukriya
mokhliS : Zia Baloch

Posted: Mon Jan 03, 2005 2:45 pm
by khozema husaini
Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,

moHtarami Khozema Husaini SaaHib,

aap ka bahut saaraa kalaam paRhne ko mil raha hai in dinoN. maashaa Allah nazar na lage khoob aamad horahi hai :wink:

kyaa khne Huzoor ! ham tu ab aap k kalaam k deevaane hogaye haiN :D .
kamaal k likhte haiN saaHib aap tu :!: . bahut khoob!
aap ne samandari tofaan ka jo naqsha kheNcha hai, us keleye mere paas lafz nahiN :roll: . bahut u'mda ! DherooN daad !
aayenda bhi intezaar rahyega :!: . shukriya
mokhliS : Zia Baloch
zia sahaib
aadaab
bohat bohat shukriya aap ki daad ka.

husaini

Posted: Sat Jan 29, 2005 4:01 pm
by Shummu
wah Khozema sahab..bahut khoob manzar kashi ki hai aapne tsunami ki...bahut hi afsosnaak haadsa pesh aaya hai yaqeenan jo kitni hi jaaneiN le kar chala gaya...daad haazir hai is koshish par.

Shumaila

Posted: Sat Jan 29, 2005 5:31 pm
by khozema husaini
Shummu wrote:wah Khozema sahab..bahut khoob manzar kashi ki hai aapne tsunami ki...bahut hi afsosnaak haadsa pesh aaya hai yaqeenan jo kitni hi jaaneiN le kar chala gaya...daad haazir hai is koshish par.

Shumaila
shumaila ji
aadaab

buhat buhat shukriyah
husaini