ik dasht-e-naamuraadee dil kee yeh bastiyaaN haiN!
Posted: Tue May 03, 2005 2:21 pm
yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!
kuch` a'rSeh qabl Irfan Abid SaaHeb ne Mir Taqee "Mir" ke raNg meN ek Ghazal i'naayat kee th`ee jis kaa mat^la' th`aa:
aaneN baRe baRoN kee Khat^re meN DaaliyaaN haiN
kitnoN kee TopiyaaN ik dil ne uchh`aaliyaaN haiN
mujh` ko bh`ee "baiTh`e-biTh`aaYe shauq charraayaa" keh kyoN nah maiN bh`ee puraane raNg meN kuch` kehne kee koshish karooN? sawaal yeh th`aa keh zameen aur beHr kyaa ho?
is fikr meN meraa Zehn us she'r kee jaanib gayaa jo mujh` ko beHad pasand hai, ya'nee:
woh SoorateN ilaahee! kis des bastiyaaN haiN?
ab jin ke dekh`ne ko aaNkh`eN tarastiyaaN haiN!
so maiN ne bh`ee isee zameen-o-beHr meN t^aba'-aazmaayee karne kee koshiah(-e-naakaam?) kee hai jo pesh-e-Khidmat hai. z^aahir hai keh is raNg meN mere liYe kaamyaab sahaa,i'ree taqreeba" naa-mumkin hai. fikr-e-suKhan se andaazah huwaa keh chooN.k yeh aaj kal kee zabaan naheeN hai aur maiN is se kam hee waaqif hooN, lihaaZah is meN asha'ar kehnaa mumkin to hai lekin yeh sab :aawurd: kee shaai'ree hai. "aamad" kaa is meN daKhl bohat hee kam hai.
mazeed yeh keh qawaafee (bastiyaaN, tarastiyaaN) ne bh`ee fikr par saKht paabandee lagaa rakh`ee hai. is silsileh meN maiN ne kuch` aazaadee iKhtiyaar kee hai jo shaayad aisee buree bh`ee naheeN hai. lekin is kaa faiSilah to aap hee kareN ge!
ba-har-Haal yeh Ghazal kehne se kam-az-kamdil kee ek Hasrat to nikal gayee! ab yeh i'lm naheeN hai keh aa,indah bh`ee aisee koyee "bid,a't" karooN gaa keh naheeN!
ab aap Ghazal suniYe aur apne Khayaalaat aur raaYe se be-takalluf aagaah keejiYe. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
======================================
GHAZAL:
ik dasht-e-naamuraadee dil kee yeh bastiyaaN haiN!
saaNseN behaktiyaaN haiN, aaheN sisaktiyaaN haiN!
deewaanagee hee apnee pehchaan ho gayee hai
dh`aRke hai be-t^araH dil, aaNkh`eN barastiyaaN haiN!
kyaa Khoob ham ne seekh`aa furqat meN zeest karnaa
us aaNkh` kaa taSawwur aur mai-parastiyaaN haiN!
lohoo kabh`oo piyaa hai, lab ko kabh`oo siyaa hai
tis par bh`ee teree z^aalim! yeh baalaa-dastiyaaN haiN!
zinhaar dil nah dewe koyee kabh`oo kasoo ko
is raah-e-a'ashiqee meN pastee see pastiyaaN haiN!
dunyaa ko jis gh`aRee bh`ee Tuk ik nigaah dekh`aa
Hasrat ke haiN so kooche, aahoN kee bastiyaaN haiN!
mere sawaal-e-Gham par us kee yeh be-niyaazee?
eedh`ar yeh HasrateN haiN, oodh`ar woh mastiyaaN haiN!
tujh` naatawaaN ko "Sarwar" is a'ashiqee ne maaraa
yaadeN tujh`e kasoo kee din raat DastiyaaN haiN!
--------------------------
dasht = SeHraa, registaan, desert
dast-e-naamuraadee = naa-muraadiyoN kaa registaan
furqat = hijr, meHboobah se judaayee
zeest = zindagee
taSawwur = Khayaal
mai-parastee = sharaab peenaa
lohoo = Khoon
tis par = is par bh`ee
baalaa-dastee = haath` kaa ooNchaa honaa ya'nee kisee par apnaa iKhtiyaar ho jaanaa
zinhaar = kabh`ee naheeN
kabh`oo = kabh`ee
kasoo = kisee
pastee = neechaayee
Tuk = Zaraa see, th`oRee see
kooche = galiyaaN
be-niyaazee = be-ruKhee, tawajjuh kaa nah honaa
eedh`ar = idh`ar
oodh`ar = udh`ar