Search found 13 matches
- Sun Dec 17, 2006 2:02 am
- Forum: Moshaairah
- Topic: Guzarish #24 ke muta'liq meree tarHee ghazal
- Replies: 8
- Views: 863
bahut khoob
Janab Munawwar Saahib,
Tasleemaat,
Apki Tarahi ghazal bahut pasand aayi jiske liye aapka shukriyah. Is kamyab kavish per khaksar kee daad aur mubarkbad qubool farmaayiye.
Khaksar,
Abdulhadi Ruswa,
- Sun Dec 17, 2006 1:56 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Meri booooooohat puranee Gazal..............
- Replies: 7
- Views: 396
wah, bahut kjhoob
HaZrat Jawaid Badauni Saaheb, Aadab,, Apki ghazal ke saare ashAar bahut pasand aay jinke liye khaksar kee dili daad aur mubarakbad qubool farmayiye. jitnee baar gaye gulshan tak kaanTe hi aaye daaman tak kaise kaise moR aate haiN Khuwaahish.e fun se manzil.e fun tak Zikr chalaa tha ashk.e Gam ka ...
- Wed Dec 13, 2006 8:18 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: qitaa
- Replies: 0
- Views: 132
qitaa
[align=center]Allah kare door yeh qismat kaa andhera
Chaaya hei mire zehn pe zulmat kaa andhera
Dekhenge yahaN sardiy-e-khursheed Ajab kyaa
Phailega yeh mumkin hei sharaafat ka andhera[/align]
Ruswa
Chaaya hei mire zehn pe zulmat kaa andhera
Dekhenge yahaN sardiy-e-khursheed Ajab kyaa
Phailega yeh mumkin hei sharaafat ka andhera[/align]
Ruswa
- Thu May 04, 2006 2:53 pm
- Forum: Moshaairah
- Topic: Guzarish # 16
- Replies: 5
- Views: 437
bahut achchi ghazal hei
Saara ji,
apki tarahi ghazal bahut hi khoosoorat hei. sare ashar bahut hi dilkash hein.
is kamyab koushish per meri janib se dili dad aur mubarakbad qubool farmayiye.
khair andesh
ruswa
- Thu Jan 26, 2006 7:23 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: hameN Khudaa kee qasam! yaad aa,iyaaN kyaa kyaa!
- Replies: 6
- Views: 233
kya kehne
Qiblah Sarwar Sahib,
aadaab o tasleemaat,
Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Qadeem urdu ke alfaz Meer ke andaz meiN istemal karna apka hi hissah hei.
Khaksar ki dili daad qubool farmayiye.
khair andesh,
Ruswa,
- Thu Jan 26, 2006 7:15 am
- Forum: Moshaairah
- Topic: tarhi ghazal guz#13
- Replies: 9
- Views: 959
bahut khoob
MuHtaramah Zmufti Sahibah, Tasleemaat, Aapki TaraHi ghazal pasand aayi jiske liye daad aur mubarakbad qubool farmayiye. Mulahizat: 1. chaand jab who surmaayii aanchal zara sarkaaye hei dil machal kar kyouN mirra seeney se baahir aaye hei Lafz "baahir" saHeeH hei yaa "baahar", iski taHqeeq zaroori ...
- Mon Jan 23, 2006 10:28 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Faiz Ahmed Faiz ki zameen meN chund ashAAr.................
- Replies: 8
- Views: 430
bahut achchi ghazal kahi hei aap ne mashaallah
janabe muhtaram Jawaid badauni Sahib,
Tasleemat,
Aapki ghazal paRhkar dil khush hougaya. Isqdar dilkash ghazal kehna aap hi ka haq hei. Khaksar ki dili daad qubool farmayiye. Ummeed ke ayindah bhi apka kalam sunne ko milta rahega.
Talib e duaa,
ruswa
- Tue Dec 06, 2005 5:44 pm
- Forum: Moshaairah
- Topic: TARAHI GHAZAL (GUZ.12) . Dunya
- Replies: 4
- Views: 312
daad qubool keejiye
Muhtarama Dunya Sahibah, aadab, Aapke bare meiN Janab Jawaid Badayuni Sahib ne likhkha thaa ke aap ka andaz-e-bayan Janab Abdullah Nazir Sahib se milta julta hei. Iski haqeeqat to khuda hi jane. Apni tarahi ghazal per nacheez ki daad aur mubarkbad qubool keejiye. khair andesh, a. Ruswa. [/size ...
- Sat Sep 24, 2005 3:26 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: aek kamyaab beHr meiN ghazal Abdullah Nazir.
- Replies: 9
- Views: 622
yeh bhii koii baat hei
Janab Nazir Saahib, Tasleemaat, Aapki is ghazal ke baare meiN paRhkar maiN kisi nateejeh per nahiN pahonch sakaa. Kyaa aap samajhte heiN ke saare asaatizah is beHr se waaqif nahiN heiN. Aapki taqTeeA bhi mujhe iTmenan-bakhsh nazar nahiN aayi. Behtar hei ke aap aayindah se ilm-e-Arooz meiN dakhl nah ...
- Tue Sep 20, 2005 4:59 pm
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: Khush-Amdeed Abdulhadi Ruswa Saahib
- Replies: 8
- Views: 946
shukriya
Janab Salem Bashwar Sahib
MuHtaramah Saara Ji
Janab Handsome Sahib,
Aadaab,
MaiN aap sabk ka tahe dil se shukrguzar hooN. Dua'a hei ke aapki site phale phoole aur taraqqi kare.
khair andesh,
Ruswa,
- Tue Sep 20, 2005 4:48 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: aek kamyaab beHr meiN ghazal Abdullah Nazir.
- Replies: 9
- Views: 622
aahange nau
Janab Nazir Sahib,
Kya is ghazal ko tarannum se paDha jaasakta hei aur gaayaa jaasakta hei?
khair andesh,
ruswa
- Fri Sep 16, 2005 2:24 am
- Forum: Anjuman
- Topic: Harf-e-'dAAL' se ash'aar bhejiye..shukriya!
- Replies: 36
- Views: 5023
"daal se"
Dard kii tees jo bijli sii chamak jaati hei
khirman-e-dil ko bachaanaa nahiN houtaa aasaaN
Ruswa
- Fri Sep 16, 2005 2:18 am
- Forum: Anjuman
- Topic: Lafz par ashar#19--TANHAII/TANHAA
- Replies: 37
- Views: 5109
"tanhaayi"
YooN tou yaad uski bahut aati hei tanhaayie meiN
Phir bhi rou rou ke basar karletaa hooN raateN tanhaa.
Ruswa.