Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Wed Jul 25, 2007 11:30 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: shauq ko chaand, tamannaa ko sitaaraa karne ::
Replies: 4
Views: 648

zia saHib salaam arz hai janaab ghazal bahot umdah hai, zabaan-o-bayaan ka iste'maal baRay saleeqay se kia gayaa hai, shusta tarz-e-sukhan hai. is kaamiyaab kaawish ke liye meri daad Haazir hai. magar mazmoon aafreeni ki kami kuch kuch meHsoos hui. matla bahot acha hai, lutf aaya paRh ker, us ke baa ...
by Ibn-e-siddique
Wed Jul 25, 2007 10:53 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "humnay har lamha aashiqui kee hai"taza tarhi ghaz
Replies: 10
Views: 2410

moHtaram Haamid saHib

salaam arz hai

aap ne bahot umdah ghazal kahee hai. aur sab se aham baat ye hai ke zameen koi bhi ho aap us per apni aqeedat ke phool khilaa hi dete haiN. ye kalaam-e-mid'Hat qaabil-e-teHseen-o-sitaaish hai.

bahot umdah likha hai, dheiRon daad qubool keejiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Wed Jul 25, 2007 10:51 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ik kar ke voh rukhsat hue haaye ghar se
Replies: 5
Views: 613

moHtaram Muzaffar saHib salaam arz hai taakheer se javaab dene ke liye maa'zirat. aap ne is qadar pazeeraai farmaayee hai ke adnaa ko aa'laa aur zarray ko aaftaab banaa diya. tamaam ash'aar ko pasand farmaane aur daad-o-sitaaish se navaazne ke liye maiN aap ka mamnoon-o-mutashakkir hooN. umeed hai ...
by Ibn-e-siddique
Thu Jul 05, 2007 9:07 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ik kar ke voh rukhsat hue haaye ghar se
Replies: 5
Views: 613

aik ik kar ke voh rukhsat hue haaye ghar se

assalam-o-alaikum aik taraHi ghazal pesh-e-khidmat hai, umeed hai apni aaraa se navaazeN ge : zeest ke saare maze maine jo paaye ghar se aik ik kar ke voh rukhsat hue haaye ghar se gham-e-tanhaai ki aavaaz jo aaye ghar se aisi soorat meiN to Allaah bachaaye ghar se she'r kehte hue taari tha junooN ...
by Ibn-e-siddique
Mon Jun 25, 2007 5:12 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 108277

mire ash'aar ae Iqbaal kyuN pyaare na hoN mujh ko
mire TooTay hue dil ke ye dard.angaiz naale haiN
by Ibn-e-siddique
Mon Jun 25, 2007 5:10 am
Forum: Anjuman
Topic: Harf Zuaad/Toye/zoye se ash'aar qalam_band kijiiye
Replies: 27
Views: 6822

zulmat-e-shikva-e-shab se to kahiN behtar tha
apne Hissay ki koi sham'a jalaate jaate
by Ibn-e-siddique
Mon Jun 25, 2007 5:09 am
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 68443

dik ke varaq pe cabt haiN sad mohr-e-daagh-e-ishq
ham karte ZAUQ ishq ka daa'va sanad se haiN
by Ibn-e-siddique
Mon Jun 25, 2007 5:09 am
Forum: Anjuman
Topic: riwayati 'bait-baazi'
Replies: 265
Views: 53084

ye misra likh diya kis shokh ne meHraab-e-masjid per
ye naadaaN gir gaye sajday meiN jab vaqt-e-qayaam aaya
by Ibn-e-siddique
Mon Jun 25, 2007 5:07 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: nayee shakl
Replies: 4
Views: 600

Khawar saHib

salaam arz hai

aap ki ghazal pasand aayee. ghazal dekh ker andaaza hota hai ke aap ne kaafi meHnat ki hai.

meri jaanib se daad Haazir hai, qubool farmaaiye.

shukria

Amjad
by Ibn-e-siddique
Wed Jun 20, 2007 9:47 am
Forum: Anjuman
Topic: Harf-e-"CHE" se ash'aar raqam kijiiye...plz.
Replies: 65
Views: 13627

chaara saazoN se alag hai mira me’yaar ke maiN
zakhm khaauN ga to kuch aur sanvar jaauN ga
by Ibn-e-siddique
Wed Jun 20, 2007 9:46 am
Forum: Anjuman
Topic: riwayati 'bait-baazi'
Replies: 265
Views: 53084

noor-e-Khudaa hai kufr ki Harkat pe khandah zan
phooNkoN se ye charaagh bujhaaya na jaaye ga
by Ibn-e-siddique
Wed Jun 20, 2007 9:45 am
Forum: Anjuman
Topic: is HAFTE kaa lafz hai ... "RAAT yaa SHAB" par ash'
Replies: 111
Views: 34018

din gayaa meri masarrat ka janaazah lay ker
raat aayee hai mire gham meiN izaafah karne
by Ibn-e-siddique
Wed Jun 20, 2007 9:38 am
Forum: Hamd aur Naat e Rasool
Topic: Teri zaat, zaat-e-sifaat hai......Ibrahim Ashk
Replies: 2
Views: 791

sara saHiba

Allah subHaanahu wa ta'aala ki Hamd-o-canaa pesh karne ke liye bahot bahot shukria

jazaakillah

bahot umdah kalaam hai

Amjad
by Ibn-e-siddique
Wed Jun 20, 2007 9:30 am
Forum: Anjuman
Topic: Harf Zuaad/Toye/zoye se ash'aar qalam_band kijiiye
Replies: 27
Views: 6822

talab jis ki sadiyoN se thi zindagi ko
voh soz us ne paaya inhiN ke jigar meiN
by Ibn-e-siddique
Mon Jun 18, 2007 5:38 am
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 68443

maiN us ko manaauN ke gham-e-dehr se uljhooN
moHsin voh koi kaam bhi karne nahiN deta