Search found 193 matches

by Raji
Fri Jul 01, 2011 4:15 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
Replies: 5
Views: 551

Re: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee

SUBHAAN ALLAH , bahut khoob ! Bahut peyaari ghazal hai Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey Mukhlis : Tanwir Phool http://www.globalurduforum.org/authors/view/485 Assalam o alaikum janab e Tanwir Phool SaaHeb, Ghazal kee pasandeedgi aur daad ke liYe dil kee gehrahiyooN se aap kee mamnoon hooN...
by Raji
Fri Jul 01, 2011 3:08 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
Replies: 5
Views: 551

Re: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee

MoHtaramah Zahida Raees Raji SaHeba :salaam2: Gar duA’aoN ka saleeqa, tujhe aataa Raaji Phir tu mushkil tha keh us dar se tuu khaali jatee Aap iss bazm ke awaleen rukn hain. Aapki umda ghazal par meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN. Mukhlis Salem Bashwar Janab e Salem Bashwar SaaHeb, :walikum...
by Raji
Wed Jun 29, 2011 4:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
Replies: 5
Views: 551

jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee

azeezan e bazm, aadaab o tasleemaat, ek taveel a'rsay ba'ad meHfil meN aana hoova hai. parsooN FB par Arshad Mehmood SaaHeb kee Ghazal paRhte paRhte chand asha'ar mujh se bhi sarzad hoove. aap kee adalat meN pesh e Khidmat heN so apnii belaag aaraa aur rehnumayii se mustafeed keejiye ga. mamnoon wa ...
by Raji
Tue Jan 23, 2007 10:55 am
Forum: Baat cheet
Topic: Raat ko suraj kyun nahi nikalta........:))
Replies: 3
Views: 773

ARAY WAH SIS YEH BAAT TU MUJHE PATAH HEE NAHEEN THEE :)
by Raji
Thu Jan 18, 2007 4:53 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Replies: 6
Views: 751

Re: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii

Dear Rajii, bohat din baad apki tehrer dekhi aur khushi hui, aapki ye ghazal aapki pehli tehreeron se bohat mukhtalif aur ustadana rang liye hue hai. radeef tou mujhe bohat attract ker rahi hai :-) sabhi ashaar bohat ache hain aur alfaaz ka chunao bhi umda. daad qubool keejiye. sara Azeezah Sara Je...
by Raji
Mon Jan 15, 2007 9:26 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Replies: 6
Views: 751

Re: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii

Azeezan-e-bazm: Aadaab-o-tasleemaat, is bazm meN aaj apnii ek taazah Ghazal pesh karnaa chahtee hooN. apnee aaraa aur rehnumayii se zaroor navaziye gaa bohat mamnoon hooNgii. Wassalam Zahida Raees :Raji: Ghazal: ~~~~~~ nafeer-e-SubHa bajaao keh shab tamaam hoovii Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tama...
by Raji
Tue Jan 09, 2007 11:59 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Replies: 6
Views: 751

Re: Umdah ghazal

Raji sahiba Assalam alaikum Bahut umdah zameen mai aik khoobsurat ustaazana tarz ki ghazal par dili mubarakbaad . nafeer-e-SubHa bajaao keh shab tamaam hoovii Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii wah wah bahut khoob moHtaram janab-e-Mahtab Qadr SaaHeb: Walaikum Assalam, Ghazal kee pasandeeg...
by Raji
Mon Jan 08, 2007 8:01 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Replies: 6
Views: 751

Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii

Azeezan-e-bazm: Aadaab-o-tasleemaat, is bazm meN aaj apnii ek taazah Ghazal pesh karnaa chahtee hooN. apnee aaraa aur rehnumayii se zaroor navaziye gaa bohat mamnoon hooNgii. Wassalam Zahida Raees :Raji: Ver: 2 Ghazal: ~~~~ nafeer-e-SubHa bajaao keh shab tamaam hoovii Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab...
by Raji
Wed Nov 08, 2006 7:49 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Zaheer kaashmiri kee aek ghazal is hafteh ke liye
Replies: 1
Views: 234

moHtaram janab Webmaster jee:
Aadaab-o-tasleemaat,

bohat hee KhoobSooart Ghazal ka intiKhaab kiyaa hai aap ne.
tamaam hee ashaar bohat lajaawab heN .

mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:
by Raji
Tue Oct 10, 2006 7:11 am
Forum: Moshaairah
Topic: hadiYah-e-na't (SWWS)
Replies: 9
Views: 925

mashaAllah bohat Khoob

moHtaram janab-e-Muzaffar SaaHeb: Aadaab-o-tasleemaat, is taraHee mushairah maiN miSrah-e-taraH dekh~ kar maiN qadre chonk gayii thee ke isee zameen aur behr meN meree ek puraanii Ghair taraHee Ghazal isee meHfil meN maujood hai. jab kabhi DhoonDne nikle the Khushii ka chehraa mujh se miltaa hee ra...
by Raji
Mon Oct 02, 2006 3:11 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek saadah see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.
Replies: 7
Views: 687

moHtaram janab-e-Abdulllah Nazir SaaHeb: Aadaab-o-tasleemaat, aap kee yeh Ghazal bohat taKheer se dekh rahii hoN jiske liye bohat ma'azrat Khwah hooN. aap kee is dilkash Ghazal kee jahaN zameen bohat mushkil aur khoobSoorat hai waheN aap ne is meN ashaar bhi bohat KhoobSoorat baandhe heN. meree jan...
by Raji
Mon Sep 25, 2006 4:15 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Arooz ke baare meiN tabaadila-e-khayaal: Abdullah Nazir.
Replies: 3
Views: 432

moHtaram janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb: Aadaab-o-tasleemaat, mujhe bohat Khushii hai keh is meHfil meN is baare meN sanjeedgii se ek tajveez pesh kee gayii hai. ilm-e-urooz se nabalad mujh jaise log yeh zaroor chahte heN keh is ilm kee baabat juzyaat se hee seyr-HaaSil ma'aloomaat HaaSil kar sakeN....
by Raji
Thu Sep 21, 2006 4:39 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Is hafte ka kalaam.......Iqrar-e-wafa ummeed-e-karam.
Replies: 4
Views: 507

aray waah saraa sis kyaa baat hai... :-)

yeh meree pasand aap kee pasand se kyaa Khoob Thakraayii hai. :grin:
moHtaram janab-e-Sarwar SaaHeb kee is be-panah dil-kash Ghazal ko ham se share karne ka bohat bohat.... balkeh bohat hee shukriyah :-)

wassalam

Zahida Raees :Raji:
by Raji
Thu Sep 14, 2006 10:51 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ikk sadaa aarehi hai...
Replies: 2
Views: 250

Azeeza Tahirah aapii:

mashaAllaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah bohat hee pur-acr aur dilkash koshisheN heN aap kee.
meree jaanib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji
by Raji
Wed Sep 13, 2006 11:37 am
Forum: Moshaairah
Topic: BardaSHt kartay hain-----by farhan
Replies: 16
Views: 1830

Janab-e-Farhaan SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemaat,

in dushvaar zameen par itnee achii koshish pesh karne par meree jaanib se bhi daad qubool keejiye.

Khair andesh
Zahida Raees Raji