azeezan e bazm,
aadaab o tasleemaat,
ek taveel a'rsay ba'ad meHfil meN aana hoova hai.
parsooN FB par Arshad Mehmood SaaHeb kee Ghazal paRhte paRhte chand asha'ar mujh se bhi sarzad hoove. aap kee adalat meN pesh e Khidmat heN so apnii belaag aaraa aur rehnumayii se mustafeed keejiye ga.
mamnoon wa taalib e dua'a
Zahida Raees Raji
Ghazal
Shaanah-e-Haq peh jo dastaar sajaa lee jaatee
Uskee Hurmat sar e meHfil nah uchaalii jaatee
jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
raastii tab pas e deewaar chupaa lee jaatee
Harf e Khamosh ko bas itna gilah thaa us se
Saath~ dene kee koyii raah nikaali jaatee
Go ke har shakhS ko har waqt nibha ka daawa
Kaash is darjah agar ehed nibhaa lee jaatee
Baat go raaz naheN thee magar apna tha bharam
Kaash voh paas e wafa rakh~ ke sanbhaali jaatee
Woh sawaali jo guzar-gah e wafa peh tha khaRaa
Uske kaaseh meN koyii bheek hee D’aali jaatee
Gar duA’aoN ka saleeqa, tujhe aataa Raaji
Phir tu mushkil tha keh us dar se tuu khaali jatee
(Zahida Raees Raji)
شانہءِ حق پہ چو دستار سجالی جاتی
اُسکی حُرمت سرِ محفل نہ اُچھالی جاتی
چھوٹ کی کوئی توبُنیاد بنا لی جاتی
راستی تب پسِ دیوار چُھپا لی جاتی
حرف ِ خاموش کو بس اتنا گلہ تھا اُس سے
ساتھ دینے کی کوئی راہ نکالی جاتی
گو کہ ہر شخص کو ہر وقت نبھا کا دعویٰ
کاش اِس درجہ اگر عہد نبھالی جاتی
بات گو راز نہیں تھی مگر اپنا تھا بھرم
کاش وہ پاسِ وفا رکھھ کے سنبھالی جاتی
وہ سوالی جو گزرگاہِ وفا پہ تھا کھڑا
اُسکے کاسہ میں کوئی بھیک ہی ڈالی جاتی
گر دُعاؤں کا سلیقہ تجھے آتا راجی
پھر تو مشکل تھا کہ اُس در سے تُو خالی جاتی
زاہدہ رئیس راجی
jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
- sbashwar
- -
- Posts: 1654
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
- Do you know URDU language?: Yes
- Location: Hyderabad, India
- Contact:
Re: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
MoHtaramah Zahida Raees Raji SaHeba
Gar duA’aoN ka saleeqa, tujhe aataa Raaji
Phir tu mushkil tha keh us dar se tuu khaali jatee
Aap iss bazm ke awaleen rukn hain. Aapki umda ghazal par meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.
Mukhlis
Salem Bashwar

سالم احمد باشوار
-
- -
- Posts: 2217
- Joined: Sun May 30, 2010 5:06 pm
- Contact:
Re: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
SUBHAAN ALLAH , bahut khoob !
Bahut peyaari ghazal hai
Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey
Mukhlis : Tanwir Phool
http://www.globalurduforum.org/authors/view/485
Bahut peyaari ghazal hai
Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey
Mukhlis : Tanwir Phool
http://www.globalurduforum.org/authors/view/485
http://www.abitabout.com/Tanwir+Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
Re: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
Janab e Salem Bashwar SaaHeb,sbashwar wrote:MoHtaramah Zahida Raees Raji SaHeba
Gar duA’aoN ka saleeqa, tujhe aataa Raaji
Phir tu mushkil tha keh us dar se tuu khaali jatee
Aap iss bazm ke awaleen rukn hain. Aapki umda ghazal par meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.
Mukhlis
Salem Bashwar
Ghazal kee pasandeedagi aur daad ke liYe dil kee gehrahiyooN se mamnoon hooN. aap ne awwaleen rukun keh kar khoob yaad dilaya hai keh Urdustan aur Urdugulban jaisee adabi meHfilooN se shairee kee baareekiyooN ko samajhna shuru kiya tha lekin maSroofiyaat kee ziyadahti ne Urdu meHfilooN se khaSa door kar diya hai.
aap kee izzat afzayii ke liYe bohat shukr guzaar hoooN.
wassalam
Zahida Raees Raji
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Re: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
Tanwir Phool wrote:SUBHAAN ALLAH , bahut khoob !
Bahut peyaari ghazal hai
Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey
Mukhlis : Tanwir Phool
http://www.globalurduforum.org/authors/view/485
Assalam o alaikum janab e Tanwir Phool SaaHeb,
Ghazal kee pasandeedgi aur daad ke liYe dil kee gehrahiyooN se aap kee mamnoon hooN.
wassalam
Zahida Raees Raji
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
- Nayeem Khan
- -
- Posts: 280
- Joined: Sun Jan 13, 2008 2:32 pm
- Location: Mahbubnagar, India.
- Contact:
Re: jhooT kee koyii tu bunyaad bana lee jaatee
Wah, bohat khoob. Daad hazir hai.