moHtarmah Sara SaaHibah aadaab. aap kii naZm paRh kar baRi udaasi chaa gayee hai, bachpan maiN jin buzurgoN kii shafqat maiN aur jis maaHol (purana ghar) waghera maiN aankh kholii thi, woh sub shiddat say yaad aaraha hai . mujh pe chahi hi yeh maayusi aap kii naZm kii kaamyabi kii zamaanat hai ...
Sameer SaHeb, aap ki ghazal par dobraa nazar paRi to is sher par aTTak gayee tez suuraj maiN par ko jalaati raheeN shub ko murjhaa kay sub titliyaaN so gayeeN par sooraj jalaataa hai ke dhoop? titliyaaN murjhaati heN ke thakti heN? regards, moHtaram janaab Khawar SaaHib, aadaab. aap ney nah cheez ...
apni har haar meN ik jeet ka rasta daikheN ham agar haar ke har maat pe mucbat socheN moHtaram Khawar SaaHib, aadaab. yuN toh poori Ghazal hi ach~chi lagi, lekin uper diya huwa shair toh bahat hi Khoob laga, is nayee aur mushkill zameen ko aap ney Khoob nibhaya hai. naa cheez kii daad aur ...
moHtarmah Rukhsaar SaaHibah aadaab. abhi abhi aapki dusri Ghazal per daad di thi kay is ghazal per bhi nazar paRh gayee, aap toh waqiee kamaal shaaiiri kar rahiN haiN, choti choti behroN maiN, sel e mumtana ko apnatey huwe baRi fikr ko shair band karney kaa fun Khoob hai aap kay paas, aapkii laga ...
HaaZreen e meHfil aadaab. apni naii Ghazal aap ki Khidmat maiN pesh kar raha hoN, is ummeed kay saath, kay aap apni qimati aaraa say, har giz mahroom nahiN kareNge. shukriyah. din bhi Dhalnay lagaa bastiyaaN so gayeeN chaand niklaa nahiN khiRkiyaaN so gayeeN tez suuraj maiN par ko jalaati raheeN ...
Ghazal lajawab hai, aur iski bharpoor daad bhi maiN aapko dusri maiN maiN de chuka, lekin Ghazal itni ach~chi hai kay yahaN bhi daad diye bina koi charaa nahiN.
[align=center] http://www.geocities.com/mmmughal_3m/udrubhandahan.gif http://www.geocities.com/mmmughal_3m/udrubhandahan1.gif http://www.geocities.com/mmmughal_3m/udrubhandahan2.gif [/align] pyaaray bhaaii Mughal aapkii aamad bila shubaa mere aur ehbaab kay liye baaiC e musarrat hai SAMEER