Search found 16 matches

by asad
Thu Apr 07, 2005 11:31 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye
Replies: 20
Views: 2134

Najma Sahiba Adab! :-)

iss behad murassaa' kalaam pe nacheez ki daad bhi qubool farmaayeiN!

khairaNdesh
asad
by asad
Thu Apr 07, 2005 11:17 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!
Replies: 10
Views: 979

Nigaah Sahiba,
Adab!
aapki Ghazal bohat pasaNd aayee!!
Ghazal mashaAllah pooree hi bohat umdah hai!....lekin is sh'er ki baat hi aur hai...

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa

kya khoob kahaa hai! subhanAllah!

khairaNdesh
asad
by asad
Thu Apr 07, 2005 10:59 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: hosh_mandaan-e-adab hoNT siyaa karte haiN...taazah Ghazal
Replies: 6
Views: 419

Mohtaram Janab Hashmat Usmani Sahib,
Adab!

aap ki Ghazal behad pasaNd aayee!.... khaastaur pe ye sh'er to kamaal kaa hai!

kia karoge Gahm-e-hastii kii davaa, chaarah_garo!
daaGh dil ke to ba_har rang jalaa karte haiN

nacheez ki jaanib se mubarakbaad qubool farmaayeN!

talib-e-dua
asad
by asad
Fri Mar 18, 2005 8:30 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil ke zakhmoN pe....
Replies: 12
Views: 1116

Safiya Sahiba Adab!
aap ka tah-e-dil se mamnoon hooN ke aap ne ghazal kee yooN pazeerai kee.
bahot bahot shukria!

khairaNdesh
asad
by asad
Sun Mar 13, 2005 9:34 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil ke zakhmoN pe....
Replies: 12
Views: 1116

Sara Sahiba Adab!
umeed hai mizaaj bakhair hoNge!
aap ko agar ek bhi sher pasand aa gayaa to samajhiye mehnat vsool huyee! :-)
bohat shukria!

niyaazmand
asad
by asad
Sun Mar 13, 2005 9:30 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil ke zakhmoN pe....
Replies: 12
Views: 1116

Raji Sahiba :Adab!
mere paas le de ke vuhee ghisaapitaa lafz hai! :-)
aap kee baRee inaayt hai k aap ne na sirf yahaN bal.k aur mehfiloN meiN bhi is naa.ahl ki hauslaa-afzaai farmaayee.
meraa dilii shukria qubool farmaaeN.

niyaazmaNd
asad
by asad
Sun Mar 13, 2005 9:15 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil ke zakhmoN pe....
Replies: 12
Views: 1116

Mohtaram Janab Nazir Sahib Adab!
hausla afzaai ke liye aap ka behad shukrguzaar hooN. aap ki duayeN aur mohabbateN haiN.....varna khaaksaar kis qaabil hai!

talib-e-dua
asad
by asad
Sun Mar 13, 2005 9:08 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil ke zakhmoN pe....
Replies: 12
Views: 1116

Tahira Sahiba Adab!
zarranavaazee ke liye aap ka tah-e-dil se mamnoon hooN!
bohat shukria!

niyaazmaNd
asad
by asad
Sun Mar 13, 2005 9:01 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil ke zakhmoN pe....
Replies: 12
Views: 1116

Fatima Sahiba Adab!
ghazal ki pazeerai ke liye aap ka mamnoon hooN!
shukria!

niyaazmaNd
asad
by asad
Sun Feb 27, 2005 11:15 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil ke zakhmoN pe....
Replies: 12
Views: 1116

dil ke zakhmoN pe....

Adab dostoN! :-) nacheez aap ki bazm meiN pehli martaba apni kaavish (urdustan pe diye gaye tarahi misre' pe) le kar haazir hua hai, aap ki qeemati aara ka intezar rahega --------------------------------------------------------- dil ke zakhmoN pe barchee chalane lage! :aap bhi mujh pe tohmat lagane...
by asad
Tue Feb 15, 2005 6:48 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khush_aamded ASAD saaHib
Replies: 11
Views: 999

Najma Sahiba Adab!
shukria!
aur aap bhee khush rahiye. :)

khair aNdesh
asad
by asad
Tue Feb 15, 2005 6:47 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khush_aamded ASAD saaHib
Replies: 11
Views: 999

Mohtaram Janab Nazir Sahib Adab!

aap iss mukhlisaanaa isteqbaal ke liye tah-e-dil se mamnoon hooN.

talib-e-dua
asad
by asad
Mon Feb 14, 2005 8:50 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khush_aamded ASAD saaHib
Replies: 11
Views: 999

Janab Naveed Sahib Adab!

aap kaa dili shukria isii mehfil meiN! :)

asad
by asad
Mon Feb 14, 2005 8:42 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khush_aamded ASAD saaHib
Replies: 11
Views: 999

Khurram Shaikh Saheb Wassalam!
bahot shukria janab! khusaamded ke liye aur itne bahot se mugs ke liye! :wink:

nacheez
asad
by asad
Mon Feb 14, 2005 8:26 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khush_aamded ASAD saaHib
Replies: 11
Views: 999

Sara Sahiba Adab!
aap ne surkh qalam se itna baRa 'WECOME' likh diya k ab maiN iss pas-o-pesh meiN hooN k itna baRa 'shukria' kahaN le laaooN! :)
is navaazish ke liye tah-e-dil se mamnoon hooN!

khaaksaar
asad