Kijiye zulm woh mujhper keh mujhe yaad rahe....

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Kijiye zulm woh mujhper keh mujhe yaad rahe....

Post by jawaid badauni »

Azeezan-e Gramee! Tasleemat.

"Urdu Duniya" ke pahle mahana tarhee Mushaireh ke liye lamhoN meN ek sada see Ghazal kahi thee. Aaj azeezi Zia Sahab ki Ghazal dekh kar khyaal aaya kyooN na maiN bhi apni Ghazal Urdubandhan waloN ki nazr karooN. Ummid hai apne graNqadr tabsare se nawazewNge.

Niyazmand,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman





G H A Z A L



MiTne wale ki doa hai woh sadaa shaad rahe
Jis ne barbaad kiya hai mujhe aabaad rahe


Umr guzree hai aseeri ke azaaboN men sadaa
Yoon to kahne ko hamesha hi hum aazaad rahe


Hafiza mera hai kamzor bhoola deta hooN
"Kijiye zulm woh mujhper keh mujhe yaad rahe"


FaKhr se paaooN dabaate they jo ustadoN ke
Ab woh shaagird haiN baaqi nah woh ustaad rahe


Meri khaamoshi ko kamzori samajhne waale!
MaiN bhi rakhta hooN zubaN monh meN tujhe yaad rahe


Jaam Takrake yeh maiKhwaroN ne maangee hai doa
Hum raheN ya nah raheN maikada aabaad rahe


Aaj :Jawaid: kahaN aisa koii ahl-e junooN
Apni SheeriN ke liye banke jo Farhaad rahe
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Jawaid saaHib,

aapkaa pesh kardah kalaam [ek taraHii Ghazal] mujhe bahot pasand aayaa...subHaan Allah. aapkii Ghazal kii zameen aur mazaameen nihaayat dil_aavez haiN. sabhii ash'aar pasand aaye. aapne gireh umda lagaaii hai. aapke yeh ash'aar bil_Khusoos:


MiTne wale ki doa hai woh sadaa shaad rahe
Jis ne barbaad kiya hai mujhe aabaad rahe

Hafiza mera hai kamzor bhoola deta hooN
"Kijiye zulm woh mujhper keh mujhe yaad rahe"

FaKhr se paaooN dabaate they jo ustadoN ke
Ab woh shaagird haiN baaqi nah woh ustaad rahe

Meri khaamoshi ko kamzori samajhne waale!
MaiN bhi rakhta hooN zubaN monh meN tujhe yaad rahe
Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtarami Jawaid Badaauni SaaHib, aadaab :)

aap ki ye shaahkaar taKhleeq Urdu Dunyaa maiN paRh chukaa hoN , yahaaN paRh kar lutf dobaalaa hogayaa :)
aap ka beHad mamnoon hoN k aap ne is meHfil ko apne KhoobSoorat kalaam se zeenat baKhshee ! :)

Ghazal k tamaam ash'aar hi nehaayat pasand aaye har shea'r qaabil-e-daad hai ! is leye kesi shea'r ko maKhsoos nahiN karoNga ! . DheroN daad qabol ho :)

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Sara Bahin,

Bhai Hashmat Sahab,

Aur

Azeezi Zia Sb


Ghazal ki pazeeraaii ke lye aap sub ka mamnoon hooN.

Mujhe Khooshee bhi hai aur hairat bhi keh meri itnee sada Ghazal ko aap sub ne pasaNd farmaya. Ek baar phir shukriya.

Khair Andesh,

Jawaid
Post Reply