"jafaaYeN dekh` liyaaN, be-wafaa,iyaaN dekh`eeN"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Bahut khoob waah waah

Post by jawaid badauni »

dunya wrote:
Janab Sarwar Sahib,

Tasleemat, :roll:

MaiN ne aapki poori ghazal kii copy apne computer kii Hard Disk meiN meHfooz karlii taakeh tafseeli tabsirah pesh karuN.

Matle se lekar maqTe tak saare ashaar parhne ke bad main yeh souchi rehi ke aek baar aur parha jaaye. Is tarah kaii baar parhti rehi lekin is nateejeh per pahonchi ke itni murassa ghazal per tabsirah karne ke liye alfaz kahaN se laaooN.

Meri daad aur mubarkbad qubool farmaayiye. Aur aek shear bhi:


rahaa nah khauf judaayi kaa umr bhar ke liye
jab apne haathaoN mei teri kalaayiyaaN dekheeN

Khair andesh,
Dunya,
Mohtarmah Duniya SahibaH, Tasleem,

Sarwar Aalam Sahab qiblah ki Ghazal per maiN kisee doosree site per tabsara kar chuka hooN. Mukarrar daad.o.tahseen ka koii jawaz nahiN. Albattah, aap ne jis andaz se mausoof ko daad pesh ki hai, woh daad Khood bhi qabil-e sud-daad hai. Mujhe aapka andaz pasaNd aaya.

HaaN Maadaam, aapke sheir ke hawale se kuch arz karna chaahta tha. Mumkin hai mera Khyaal ghalat ho aur yeh bhi mumkin hai aap iss se ittefaq na kareN. Ab baat dil meN aa gayee hai to kahta hi chalooN. Yeh dostoN ki mahfil hai.

Insaan ko jo cheez mil jati hai, usko hamesha yeh Khadsha laga rahta hai kahiN woh khooshi uss se chin na jaye. Lihaza iss sher meN gar yeh kaha jaaye keh teri kalaaiyaN hathoN meN aane ke baad teri judaai ka Khauf aur bhi darane laga to ziyada munasib hoga. Mera matalb hai, shayad yeh she'r kuch yooN hona chahiye tha:


Nah jane Khauf judaaii ka kyooN satane laga
Jab apne haathoN meN teri kalaaiyaaN dekheen

Aap ke jawab ka intezar rahega.

Mukhlis,
Jawaid Badauni
Post Reply